Wednesday, 29 May 2024 »  Login
in

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Bhirrrr Ustaad » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Shero Yeh Padho aur Apney Nakaam aashiquiyoun

ke zakhmoun keuppar thoda marham lagaalo

Bhaimiya Khajabi Kulchey Bhai ,Apan apna Naam

chainje karliye apan aajsey yahan Bhirrrr Ustaad ke naam

sey post karingey ............Yeh kaisi dikhi bolo
Hyderabadi Aashiq ki Daastan
Dabaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

mitaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

haamrey dilaan hai faqat inka mewaa

chabaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh odniyan hila ke dupattey dikhaakey

mitaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

umar bhar key waastey bus istandoun pey

phasaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

kabhi saala aara kabhi baawa aarain

phataa key rakhey ji hamaaku palaachaan

hai jallaad har ek potential susraa

daraa key rakhey ji hamaaku palaachaan

inkey waastey humku din bhar khadaakey

sadaa key key rakhey ji hamaaku palaachaan

amrika key duloun ke khaaboun me scene sey

hataa key rakhey ji hamaaku palaachaan

collegoun key pherey yaa galli key chakkar

ghasaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

chabootroun pey garmi ki kadli tapish mey

bithaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

Examoun mein ludkey mohobbat mey inki

giraa key rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh hil hil key rangeen libaasoun me har dum

hilaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

mateen sey bhi miltey shakeel ku bhi dekhtey

phiraa key rakhey ji hamaaku palaachaan

badey they hum ustaad magar dhool mitti

chataa key rakhey ji hamaaku palaachaan

naqaaboun key andar sey teeraan chalaakey

sazaa pey rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh nakhroun sey naazoun sey baatan bana ke

dubaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

lipistik lagaakey yeh faishun dikhaa key

haraa key rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh autowoun mein aur rikshoun mey sitaarey

dikhaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

zaki merku chedaa fasih merku dekhaa

ladaakey rakhey ji hamaaku palaachaan

ladaiyoun mein har ek palaachoun ke kissey

bhidaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

anjaan chichaaoun sey mohalloun mein gaaliyaan

khilaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

amma bawa se kittey jhootey bahaaney

bulwa ke rakhey ji hamaaku palaachaan

pehley boley janoo banaayey phir maamu

dhasaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

Badey tigeraan inke chakkar mey royey

rulaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh phooloun key kharchey ya dateoun key karzey
dhasaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

kabhi uthney waley na they jo fajar mein

utha key rakhey ji hamaaku palaachaan

ho chillar ya sober kehtaa hai har aashiq

bhagaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

faqeeroun key waisa hazaroun jagaa pey

khada key rakhey ji hamaaku palaachaan

inkey shadiyoun me hum kursiyan lagaaye

ghasaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

mereku yaqeen hai bas timepass ke waastey
bachaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

tumarsey ich shaadi karoongi yeh bolkey

chadaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

shaadi karkey dusroun sey, huwe mast motey

sukaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

saala tha kameena phudaaya hamaari

pitaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

yeh pottiyoun key picchey, jawaani diye hum

lutaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

mere saamneich inku unku lubhaakey

jalaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

ab kya bolun bas sob jileley gawah hai

nachaa key rakhey ji hamaaku palaachaan

Bhirrrr Ustaad
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Azhar Lala » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Are kya baat hai Bhirr ustad Chagaye tum,kahan se laare yaro tum itta chichorapan samet key? Bhot hasa mai pad key . mazaa aagaya purane dinaan yaad agaye.....
Jiyo Tum..........Azhar Lala
Azhar Lala
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Shahed » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Arey ! Bhirr Bhai.. Arey Kya hai yaaro tum bhi ... Arey doosroun ko bhi mauqa do.. Arey bolteich chale jaa ra\'in... blteich chale jaa ra\'in...rukney ka naamich nai le ra\'in..
Accha jaane dio woh sob mereku ye bolo ye tum linaan kaisa tod ra\'in(break). Ek ke baad ek line aare tumaari , accchaich likh le re na ji tum.. zara mereku bhi bolo mai bhi break karke likh toun. Yaaali - Dulaaa !!
Shahed
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Bhaimiya » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Bhirr Ustaad, aapki ghazal tho bahut hi Bhirrrrrrrrrrrrrrrr hey, theek hey per Chulboli Choti sey pichey hey (wesey Chindi Chor ka kya matlab tha).
Bhaimiya
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by khajabi » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

naam badal badal ke a\'rainch ji palaachaan, padwa ke choodainchh ji hamaku yeh laina.
bahoot khoob bhirr ustad, magar aap ke naam ka board daekh taich shoonchna padainga mera ko khool ne ke liya... koi tug hai yaroo, zara mufeed mukhtasar karo usko
khajabi
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Bhirr Ustaad » Wed Jun 26, 2002 12:30 am

salam shero !!
pehley to aap logaoun ka shukria,tareef karey so, ab aagey yeh key khajabi tumare purana masla hai yeh zyada nai padtoun bolke zindagi ki yeh haalt karliye tum, dekho saath ke bacchey kidar hai kahan hai,...kya bolun mai ab. Mere mazaakh ka bura nakko mano...
Bhirr Ustaad
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by khajabi » Wed Jun 26, 2002 12:30 am

nai bhir ustad bura nai manroun, magar sar khuja te khuja te yeh soonch roun, apan nai pade bolke idi\'rich rai gaye, magar tumaku kia hoa, itta pad ke bi yainch board pe hai hamare sath.... hota kabi kabi aisa, ek aad case fail hojata.
khajabi
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Bhirrrr ustaad » Wed Jun 26, 2002 12:30 am

Khajabi out af kantrol nakko hojao, mai yahan sob ki sarparasti ke waastey aayoun.....merey kalijey mein qaum ka darad hai miyan.....mai social service karne aaya to basti mein tum samajhrey mai yahinch rehtoun....woi bolroun na thoda padlete to yeh kaifiyat nai rahti thi...wassalam
Bhirrrr ustaad
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by khajabi » Thu Jun 27, 2002 12:30 am

hamare bhir, yaan sub \"sarparastaan\" hai appne appne logaan ke (siwai Shahed ke), unko sarparasti ki koi zaroorat nai hai miyan, sub se bada sarparast uppar se daekh ra aur voich basse. Waise khoum ke dard wala khayal bhoot accha hai... aur kam se kam yeh board wali khoum ke waste apna naam zara badal lo, padne se ilm kam zulm ziyada nazar a\'ra. waise marzi aapki, aur maaloom mareko tum phir kuchh to bi bolte.
khajabi
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Radha » Thu Jun 27, 2002 12:30 am

Bhirrrr Ustaad, aap ke khatir ek ghazal pesh hai.---- Dil meiN kisee kism ka na koi gubbaar rakh, Mujh ko bhi apne dostoN meiN tu shumaar rakh, Jiska khayaal aate hi dil ho jaaye baag baag , Aisee hi koi pehloo meiN fasal-e-bahaar rakh, Vaqt ki jhukti shaakh se maazi ke lamhe tod kar
Guzarte hue vaqt ko yaadoN se sawaar rakh, Tujh ko bhi mil jaayegi dil ki muraad kabhi, Aane vaale vaqt pe tu thoda aitbaar rakh, Aa ke laut jaaye na tassavur-e-baharaaN kahiN
Khol ke tu apne dil ka dayyaar rakh.
Radha
Guest

Hyderabad key PalaachaaN -The full post

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bohot Khoob !! Radhaji aapki pesh ki hui ghazal behad umda hai, Padh kar Bada lutf aaya
Aap sukhan-shinaas hain,lehaaza Nayaab Hain,kyoun key aajkal ki khawateen ko sher-o-sukhan se koi dilchspi nahin, garchey aap haqiqatan laDki haiN aur sukhan-fehem bhi haiN to mubarakbaad khubool kijey !!

--Niyaazmand

Bhirr Ustaad
Bhirr Ustaad
Guest

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad naakaam aahiq
appne musi
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.