Friday, 19 April 2024 »  Login
in

Vaaldain ki qidmat

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Vaaldain ki qidmat

by hina » Tue May 14, 2002 12:30 am

Kehtay hain maa ke paon ke neeche jannat hoti hai,aur baap ki dua aulaad ke liye bahot jald qubool hoti! yeh to hamay pataa hai lekin hum nay esay paane ke liye kyaa kiya hai,yeh aap sub say jaan naa chahoongi.Aaj kal suna hai America ki taraah India mein bhi home for the aged khul gaye hain. Yeh jaan kar bahuth takleef huvi.Hum Hyderabadi\'s kub say apnay budhay maa baap ko nursing homes kay hawalay karna shuroo kiya hain . Hamay to yeh sikhayaa jaata tha ke badon ki qidmat karna,bimaari mein saath dayna aur doosron ki zarooraton ke aagay apnay quahishon ko peechay daalna.Yahaan America mein to mainay bahot dekha hai lekin hyd. ke baaray mein sun kar taajub huva.Kyaa yeh qabar sach hai is par roshni dalain, aur iski wajaah bhi bataayen.
hina
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by MOIN » Tue May 14, 2002 12:30 am

Hina sister ....\"Home for aged people\" in Hyderabad ,almost 15 saal pehle se hi hai ....baat to afsos ki zaroor hai ....lekin ek had tak faidamand bhi hai ,aise maa baap jinki koi aulad na ho woh agar beemaar padh jayein to kahan jayein ...koi to hoga unki qidmat karne waala.Its not suprising if these kind of centres are mushrooming in our society.....kehte hain na ke \'apnon se ghair hi achhe hote hain\' dekhte hain yeh idaare kya rang laate hain !
MOIN
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Ma ka Ladla » Tue May 14, 2002 12:30 am

Is that right! I am shocked that this cruel and insensitive treatment is also becoming a part of our society. I thought it only existed in the West. Yaqeenan badey afsos ki baat hai. Jo ma baap hamey itney laad aur pyar se paltey hain, hame nourish kartey hain aur jab unko hamarey pyar ki zaroorat hoti hai to ham unke saath aisa sulook karte hain. It\'s shame. It really is.
Zindagi koyee chak-e-kafan hai fakir:
Umr ke haathon ham jisko siye jatey hain
Ma ka Ladla
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Sher Khan » Tue May 14, 2002 12:30 am

I dont see this as strange or something to feel shocked about. I am sure every one staying in Hyderabad knows atleast one family where the parents are totally dependent on their earning Son. In many cases Parents are totally ignored and are treated as a burden. These parents are almost dead emotionally and mentally having absorbed every unkind act of their own children and lead a humiliating life waiting for their death. These kind of institutions are almost heaven for them because they can live independently and keep themselves away from those unfortunate faces they were otherwise bound to see and die slowly.
Sher Khan
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Shahed » Sat May 18, 2002 12:30 am

Hina baaji, Ham sab accha sonchte hai, accha bolte aur likhte hai kyonki ham hyderabadi hai aur hamaare khoon mein... rooh mein yahan ki tehzeeb , tameez aur khush aqlaaqi basee huvee hai. Mai aapki bahoot izzat karta hoon lekin aapki chand baaton se mujhe thoda afsoos zaroor huva,..... jaisey aapne CHANDU ko jo advise di aur jis tarah ki language aapne istemaal ki woh shayad zaroori na tha,..Zara sonchiye agar uski baaton mein 1% bhi sacchai huvee to..Waisay usey ye baat board pe nahin daalni chahiye thee. Doosri baat aapne ab tak is board pe 2 shaks ko apni ghalat fehmi ka shikaar banaya aur unko ruswa kiya(excluding chandu). Ek to they dd aur doosra tha Mai .. Mera message dd se kuch din pehle aaya tha. about religion ... hope you got it...
Shahed
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by hina » Tue May 21, 2002 12:30 am

Dear Shahed,Aapnay jo likha hai woh mein clear karnaa chahoongi.Aaj say chaar din pehlay jab mein Hyd B-Board par aaayi to meray hosh gum hogaye.There were 350 messages posted by chandu and woh itnay ganday they ke meraa dil chaaha ke mein is board par kabhi wapas naa aaoon.Chandu nay apnay bahen aur uskay dost kay \"illegitimate relations \"kay baaray mein details likhay they aur same thing kuch usna 150 times with few minutes difference aur time kay saath likhey they. doosra aur ek message board tha jo woh apnay aur apnay ganday acts ko aur body parts ko openly describe karkte huay likha tha. Yeh B-Board bhi 150 times with few minutes Difference kay saath likha. Aksar Hyd. board par thoday say active messages hotay hain lekin us din 4700 messages they. mein nay fowrun hi Hyd. B-Board ko E-mail kiyaa key yeh messages Erase kiye jaanay chaahiye aur woh log immediate action lay kar usay mitaa diye.Shahed, shaayad aap woh messages nahin dekhay warna chandu, ko aap bhi wahi likhtay jo mein nay likha hai balkay mujhey taajub hai kay kisi nay kuch nahi likha is baaray mein.Hum sub is board par achi aur tameez ki guftagoo karnay aate hain kisi ki personal intimacy jaanne kay liye nahin. Yeh kaam ganday dimaagh ka ho saktaa hai.Raha pehli waali ghalti ki baath to mein nay DD saheb say aap sub kay saamnay maafi maang li hai.Ghalti insaan say hoti hai mujh say bhi hui jisi mein qobool karti hoon. Meri aadath nahin kay mein kisi kaa dil dukhaoon, yah badi baath karoon lekin \"Chandu ke us din waalay messages nay mera qoon khowlaa diyaaa tha\". Umeed karti hoon ke aap apnay dil say meray taaluq say jo ghalat fehmi huwi hai woh nikaal dein....
hina
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Shahed » Tue May 21, 2002 12:30 am

Hina baaji aadaaab. ye baat sach hai aur meri khush khismati ke maine waqai chandu ke pehle messages board pe kabhi na dekhe aur na pahde isliey ho sakta hai ke mere dil mein uskey liye thodi hamdardi se jaagi thee. Lekin us board pe kayee logon nein is baat ka khulaasa kiya ke \'its a kina cheap popularity & bla .. bla... , is baat se mujhe andaaaza ho raha hai ke woh waqai ek cheap type ka aadmi hai. Aur aapke talluq se mere dil mein koi mail na tha na hai aur na rahega.
Shahed
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by hina » Wed May 22, 2002 12:30 am

Dear Shahed, Kal aap kaa message padhnay kay baad mein bahut sonch rahi hoon kay woh kaun saa religious board tha jiska jawaab mein nay likha tha,lekin mujhe bilkul yaad nahin. Aap agar thoda yaad dilayen to shayad yaad aajaye.Shahed bhai,mein ek bahot hi straight forward or outspoken person hoon. I speak my mind and I\'m not scared to tell what I feel is wrong , and that sometimes hurts other peoples feelings. I\'m sure you understand what I mean. Nothing personal . This board is the only place I like spending my time and I feel very close to Hyderabad. Even though I have never met or seen any of you I feel like I\'ve known all of you for a along time. Baaz waqt is board par log aaisy baatein likhtay hain jisay padh kar lagta hai ke Hyderabad ab bahot westernise ho gayaa hai, qaas kar the very young generation.Mein nay bhi USA mein 18yrs guzaaray hain meri do teenage betiyaaan hain jo dono cultures kay beech badi huvi hain and I always encourage them to go to this board but the other day when I sat down with my daughter we found those Chandu messages and I was ashamed to read those with her.
hina
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Maaz » Wed May 22, 2002 12:30 am

ASAK Hina Baji, I am just new to this board, god knows how did I reach to this board but I found it very interesting rather I would prefer to say that it is a clean discussion board over all. Hyderabad se itni door reh kar aisa nahin lagta hai ke haqeeqat mein hum hyderabad se door hai, aur abroad reh kar Hyderabad ki itni saari bataen maloom ho jati hai. Frankly speaking to you Hina Baji especially your messages make sense and it touches the heart. I would like to request you to keep writing on board.
Maaz
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by Maaz » Wed May 22, 2002 12:30 am

Firstly, I would like to say that there is no substitute of parents in this world. Woh loog bahut khusnaseeb hai jin ke upar maa-baap ka saaya hota hai. Jo loog Maa-Baap ki Qadr nahin karte hain unke baare mein bas itna keh sakte hain ke woh bohut badnaseeb hain, woh loog duniya main bhi zaleel honge and aaqirat mein bhi. Duniya mein jitne bhi great people guzre hain un ki khubi yeh thi ke woh maa-baap ke khidmat guzaar thay, jaise Sir Syed, Alaama Iqbal etc etc. Mein is message board se bas itne kahoonga ke Maa-baap ki khidmat kijiye, unki izzat kijiye.
Maaz
Guest
 

Vaaldain ki qidmat

by shoaib » Sat Feb 01, 2003 5:25 pm

asak,if u discuss on the board,any body can send messages,take down the email of ur good friends and contact them personally .my name is soaib from riyadh.
my email id is telecomind@hotmail.com
shoaib
Registered User
 

waldayn ki khidmat

by imran27_4u@yahoo.com » Sun Mar 09, 2008 1:29 pm

dear Hina



App ne bahot acha topic nikala hai iss ke bare main kitni bhi baat ki jaye kam hai.magar kuch log is topics se hat te huve bat krte hain ager aap iss topic ka jo khulasa kiya wo bahot acha raha. well done

main itna hi kahe sakta hoon ke walidayn anmol hai
imran27_4u@yahoo.com
Registered User
 
Posts: 8
Joined: Sun Mar 09, 2008 12:24 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 11 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
takleef huvi
maa baap ki qidmat
maa ki qidmat
aap ki qidmat ka
raha_well@yahoo.com
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.