Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Mein bhi ek sher sunata hoon

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Bhaimiya » Sun May 19, 2002 12:30 am

Chehrey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyar bhi hai, Is shauq-e-ada ko kya kahiye, Inkar bhi hai iqraar bhi hai
Bhaimiya
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Ex-Udhas » Sun May 19, 2002 12:30 am

Tamaam pedho ko jala kar khud apne hathon se, Ajeeb shaqs hai, saya talaash karta hai
Ex-Udhas
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Haider Ali » Mon May 20, 2002 12:30 am

sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa


sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa
kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa kyaa

ziinaa sabaa kaa Dhuu.NDhatii hai apanii musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar kaa hai aastaanaa kyaa

aatii hai kis tarah se merii kabz-e-ruuh ko
dekhuu.N to maut Dhuu.NDh rahii hai bahaanaa kyaa

betaab hai kamaal hamaaraa dil-e-aziim
mahamaa.N saaraay-e-jism kaa hogaa ravanaa kyaa
Haider Ali
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Imran Khan. » Mon May 20, 2002 12:30 am

Ba Khuda kushi ka alam hai ,
Yahan har bashr ka mijaaz shaer-ana hai.
Imran Khan.
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by dd » Mon May 20, 2002 12:30 am

ishq me.n hamane ye kamaa_ii kii


ishq me.n hamane ye kamaa_ii kii
dil diyaa Gam se aashanaa_ii kii

dekh lo aaj hamako jii bhar ke
koii aataa nahii.n hai phir mar ke

go Thikaane nahii.n hai hosh-o-havaas
itanaa kahane ko hai bulaayaa paas

daur-e-aalaam se naamuraad chale
dil me.n leke tumhaarii yaad chale

phir ham uThane lage biThaalo tum
phir biga.D jaaye.N ham manaalo tum

hashr tak hogii phir ye baat kahaa.N
tum kahaa.N ham kahaa.N ye raat kahaa.N

dekh lo aaj hamako jii bhar ke
koii aataa nahii.n hai phir mar ke
dd
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by dil -e dushman karaar » Mon May 20, 2002 12:30 am

un se nain milaakar dekho

ye dhokhaa bhii khaa kar dekho



duurii me.n kyaa bhed chhipaa hai

isakii khoj lagaakar dekho






kisii akelii shaam kii chup me.n
giit puraane gaakar dekho



aaj kii raat bahut kaalii hai
soch ke diip jalaa kar dekho



jaag-jaag kar umr kaTii hai
nii.nd ke dvaar hilaakar dekho
dil -e dushman karaar
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Ex-Udhaas » Mon May 20, 2002 12:30 am

Badey logon se jab milo to kuch faasla rakhna::::Kyoon ke samandar mein mil kar dariya, dariya nahin rahta
Ex-Udhaas
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by real udaaas » Mon May 20, 2002 12:30 am

faasle aise bhi honge -yeh kabhi soncha na tha.
real udaaas
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Bhai ex-udhas, apna id jo aap hyderabadtv.chat per use kartey they woh to de leek jatey, I think u r kc(dammam)
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Dil ki weerani ka kya nazkar hey, yeh nagar so martaba loota gaya, Jadey ka maheena ho key barsaat ka mousam, yaksan yahan rehta hey fasadat ka mousam, aag aur khoon ko hum dekh na saktey teh udhas, lot kar shaher sey badeeda tar agaye hein, log to dhar kar bhag gaye hein, shaher mein ab lashkar rehta hey, saamaan loot kar mera humsaye ley gaye, mein apney ghar ki aag bujaney mein rah gaya, cheerag wa haram lad rahey hein aapas mein, ghareeb shaher ka ek ek makan jalta hey, ajeeb shaher ka mahol hey key sham dhaley, makan sey niklo to jurmana lagney lagta hey, karfeew zada tha shaher giraftariyan thi aam, khateel ka laz is ney mery ghar pey lik diya, fasaad shaher mein loota gaya tha mera ghar, saman bhi court ka merey hi naap per aaya
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by KC(Dammam) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Bhaimiya! it was intentional! I just wanted to know if you are the same Bhaimiya... Good to see you again.
KC(Dammam)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by KC(Dammam) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Haider bhai.. gustaqi maaf... lekin \"Dil-e-hazeen\" hai...Hazeen means: Ghamzadaa....
KC(Dammam)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by KC(Dammam) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Kitney mohtaat hai mere sheher ke rahne waley::::Chatriyan oadh kar barish ki dua kartey hain
KC(Dammam)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by KC(Dammam) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Tum se na mil key khush hain, woh dawaa kidhar gaya?? Do roz mein gulaab sa chehra utar gaya! (Kaif Bhopali)
KC(Dammam)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

KC(dammam):

Thanks KC, yeh sher aapkey liye hey aur koyee haseena ko pasand hey to uskey liye bhi?
\"Mujh ko maloom hey khatil hey yeh izhaar bahut, Aaj kehta hoon key tum sey hey mujhey piyar bahut\"
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Udan bharna to phir aasmaan tak jana, Yahi junoon to sir ko utahey rakhta hey, Na khat mein naam hey udhas na kuch theekana hey, Magar woh seeney sey apney lagaye rakhta hey
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Dusra koyee tamasha na tha zaleem key pass, Wahi talwar thi us ki wahi sir tha mera
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Jab mohabat na ho to lutf wa nishat zindagi mein samo nahi sakta, jesey sukha darakat shera ka kabhi sirsabz ho nahi sakta
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Mon May 20, 2002 12:30 am

Apney Rab hakeem key aagey jo jhukata nahi jabeen apnee, fayeda is key ilm ka kya hey woh na paye jagah kaheen apni, Lams aur zayeka wa beenayee khuwat samah khuwat shamna, khadar her his ki jaan ley jo shaks saree duniya pey ektedar us ka
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by KC(Dammam) » Tue May 21, 2002 12:30 am

Yaar Bhaimiyah.....yeh to ziyadati ho gayee... humko aur ek haseena ko aap ne ek hi saf (line) mein khada kar diya!

Apne barey mein sirf itna kah sakta hoon:
Khulta kisee pey kyoon mere dil ka maamla:::::Shayron ke intekhaab ne ruswa kiya mujhe!
KC(Dammam)
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by Maaz » Wed May 22, 2002 12:30 am

Chaman mein gul jo khile huwe hai
Woh sahme sahme dare huwe hai
Unhi se pucho fasaad kiya hai
Fasaad mein jo lute huwe hai
Duaein kaisi khubool hogi
khataoon mein hum ghire huwe hai
mohaabatoun ke bohut se rishtey
zarooratoun pe tike huwe hai
Unhi ki raahoun mein manzilein hai
Jo raastoun pe daate huwe hai
Maaz
Guest
 

Mein bhi ek sher sunata hoon

by bhaimiya (ex-udhas) » Wed May 22, 2002 12:30 am

Sakt uljhan mein pada hoon, kya karoon ghabra raha hoon, mei ney jhagdey key dino mein janey kitney ghar jalaye, ab yeh aadaat hogayee hey, mein agar soney sey pheley, koyee jaltaa ghar na dekhoo, need ud jatee hey meri, gar yahi hallat rahi to need ki khahish mein, ek din apna ghar bhi phoonk donga
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 5 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
haydarapad baddeeda
dil hazeen meaning/
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.