Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Wed May 22, 2002 12:30 am

Abba dada betey potey ek ek karkey so jayeingey, upper nichey mithi hogee hum bhi mithi ho jayeingey, mithi hi aagaaz hey sub ka mithi he anjaam hey sabka, mithi hi anjaam jahan hey mithi hi hey ek haqeeqat, baaqi sab ahsas zayaan hey, lekin hum jo ahad waafa hein lafaani hein aur raheingey, bazam jahaan key rooh rawan hein, lasaani hein aur rahiengey, khalq khuda mein mouj hawa hein, sozdaron mein nagma jaan hein, haraf wa saada mein lafaz wa bayan mein, kun ki lahrein ab bhi rawan hein, jesey jesey rut badlegi, hum zinda hotey jayiengey, abba dada betey potey phir sey peda hotey jayiengey
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by KC(Dammam) » Thu May 23, 2002 12:30 am

Zindagi kya hai, koyee chak-e-kafan hai fakir:::::Umr ke hathon ham jisko siye jaatey hain
KC(Dammam)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by Kulcha Hyderabadi » Thu May 23, 2002 12:30 am

Marne ke baad yaro bataaon main kya hoga, log palao khayenge ghar mein fatiha hoga! lol
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by hina » Thu May 23, 2002 12:30 am

Bhaimiya Adaab, Mujhe badi qwahish thi ke kisi ko Bhaimiya bula sakoon, lekin mera koi bada bhai nahin tha.Aaj woh quahish bhi puri ho gayi, umeed karti hoon ke aap bura na manaayen gay. Aap ka yeh sher shayeri kaa shouq bada pakka lagta hai.Mai is maamlay mein apni ammi ki madad leti hoon jo urdu ki maher hain aur aksar \"siasat\" mein sadia khan ke naam say mazboon likhti hain.Aaj kal woh yahaan meray paas hain aur yahaan ke urdu section of \"pakistan link\" mein likh rahi hain.
Zindagi bahoth qoobsurat hai.Quda ka behtareen atiya hai,lekin zindagi sirf saans ki amodarafth ka naam nahin balkay azeem maqsad ka naam hai,aur zindagi ko har mushkil mein qubool karna hi bahaaduri hai. Zindagi choti hoti hai aur hayaath moqtesar isay nafraton mein zaya karnay say kyaa hasil.
1. Ek muamma hai samajhnay ka na samjhanay ka
Zindagi ka hay ko hai ek qwaab deewanay ka!
2.Baazichaye athfaal hai duniya meray aagay
Hota hai naya roz tamasha meray aagay!
hina
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by hina » Thu May 23, 2002 12:30 am

Bhamiya Adaab, meri guzaarish hai kuch mazaahiya sher sunayen , Please! Aaj kal har taraf buray halaath aur buri qabrein hi sunnay mein aati hain jissay dil bhi udaas hai.
hina
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by Kulcha Hyderabadi » Thu May 23, 2002 12:30 am

Theek kaha aap ne hina, duniya tabahi ke raste par ja rahi hai aur insaan insaniyath ko khatam karke hi dam lega. Sab dekh kar dil udas ho jata hai - Duniya ki mehfilon se ukta gaya hun ya rubb----Kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya. Lekin jeena to hai... .chaliyeh, apki farmaish per mazaiyah kalaam pesh hai: Ladki kahan se laaon main shadi ke wastey---Shayed ke is mein mere muqaddar ka dosh hai,,,,Azra, Naseem, Kausar, Tasneem bhi gayee----Ek Shama rah gayee hai, so woh khamosh hai! Chaliyeh muskuraiyeh aur apni muskurahat se phool barsaaiyeh
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

Hina Bahen, aapka bahut bahut shuriya mujhey bhai bananey ka, aapki farmaeesh per kuch mazahiya sher hazir hey.
\"Dekhney ko jo tujhey miss terey pichey pad gaya, padi jo shakal pey nazar mujhey bukhar chad gaya, ek dinner mein in ka aaj pol khul gaya,kharahey the to chokda ukad gaya, dum hey teree kutey ki misaal woh mashoor hey, sudhar gaya tha kal talak woh aaj phir bigad gaya, ab petkal agaya hey apna gawoon chod key, bhed sab key khoney woh rastey mein ad gaya\"
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

Per kati mashook lekin sher lambi zulf per, is liye kehtey hein jhooti shayeri acchi nahi, shayeeri jidat ki ho ya ho mijaz wa tanz ki, shayeri mein dekhiye bahodgi acchi nahi, muskara kar khyon raqeebon ko lagatey ho galey, dil jalon sey dekhiye ga dil lagee acchi nahi, woh dhara ker ley rahey hein daad hum sey aaj kal, shayeri ki aad mein dada geeri acchi nahi, hum nahi kheliengey holi keh rahey hein woh udhas, khoon ki kheeli hey holi rang ki acchi nahi\"
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

Haye kya zindagi hogayee, insey phir kirkeri hogayee, mein ney himmat sey sach keh diya, dosti dushmani hogayee, der sey ghar ko lota jo mein, ek aafat khadi hogayee, is mein mera nahi kuch khusoor, late meri ghadi hogayee, in ka bigda nahi kuch magar, jag mein meri hansi hogayee, jab sey shayer bana hoon miya, meri shorat badi hogayee, waqt dekhar bhi aaye nahi, aesi ab aasheki hogayee, hans key milna ghazab hogaya, meri pocket tadi hogayee, naam suntey hi in ka saher, aesi khyon thar thari hogayee\"
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

chai nahi beedi nahi khana nahi, phir bhi khetey hein key ghabrana nahi, thok deingey log is mein shak nahi, vote leney mein to sharmana nahi, film bobby aap dekhein aur hum mughaley aazam dekhney jana nahi, aap ki chikni bana dengey zaroor, leadron key haat jana nahi, bheek deney per bhikaree lad pada, ek rupiya dey key tarkhana nahi, aaj ka hit geet mehngayee ka hey, dusra ghana koyee ghana nahi, aagayee begum hamari dosto, ab kaheen jaana nahi aana nahi, hum ney poto ko to apnaya magar, mandir wa masjid ko pehchana nahi, yeh bhi koyee baat hey wajid miya, ghar ki murgi daal hey khana nahi
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

Peet meri khujani lagi yaad teri sataney lagi, is ka sir mein dabaya to woh tulli meri dabaney lagee, nawi sarkar phir sey bani hum ko ullu bananey lagee, ghoortey hi raha jo usey mujhko sandel bataney lagee, aey petkal teeri shayeri ghamzadon ko hasaney lagee
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Thu May 23, 2002 12:30 am

That\'s all for today Hina Bahen, Allah-hafiz
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by Kulcha Hyderabadi » Thu May 23, 2002 12:30 am

Gustaaqi maaf Hina bibi..... lekin shay is tarah hai... Hota hai shab o roz tamasha mere aagey.....
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by Siasatdan » Thu May 23, 2002 12:30 am

Hey, some of these are the nazams from Siasat\'s Sunday edition. Come on Bhaimiya, get some new stuff!!
Siasatdan
Guest
 

Kuch sher nasihat aamez, Nazam ka unwan hey "Mithi"

by bhaimiya (ex-udhas) » Sat May 25, 2002 12:30 am

Sisatdan:

Yes you are correct, yeh nazams unkey liye hey jo siasat nahi padtey. Thanks for pointing.
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 6 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
ik moimma hay samajhnay ka na samjhanay ka
hadrabaad murge Katti ke
meri ammi per mazboon
unwan sher
naseehat aamez baten photoos
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.