by Kayceed@hotmail.com » Mon Jun 03, 2002 12:30 am
Kanjoosh logon ke uppar hai yeh. Pet ku mar mar ke paise jama kartey, ya phir idhar udhar moonh maari kartey... magar ek aad kharcha aisa aata ke sab jama huva bahar aajata! \"Thaylee (oil seller) joda dhaar-e-dhaar, Kuppa ludka ek hi baar\" F
Bhokne waala kutta kaatta nain : Haathi ke daanth chabaane ke aur dikhaane ke aur : Zillat ki Zindagi se Izzat ki maut achchi : Gaun basa nain luteray aagaye : Mulla ke pet mein shaitaan : kal ki murghi se aaj ki daal bhali : Sar mundae ke nain ki olay pade : Naadan ki dosti se dana ki dushmani achchi :