Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Inquilabi. » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Chalo aaj phir ek ho ke chalen mere mominon. Aaj phir aazmaish ke din aagaye, kya raub tha tumhara, kya shaan thi tumhari, kis kadar buland the irade tumhare. Kuch yaad karo arsa nahin beeta hai ek sadi jo guzar gayee ke tum bhool jao, fateh tumhare kadam choomti hi, choomegi age bhi zuroor-ameen.
Tharra ke kaanp uthte dushmanon ke sine. Bijli si chamakti shamsheer tumhari. Kya shaan thi mere mominon tumhari.
Inquilabi.
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

\"Zabaan se josh-e-qoumi dil mein paida ho nahin sakta\" - \"Ubalney sey kunwaa wis\'aath mein dariyah ho nahin sakta\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Masjid to banadi shab bhar mein Iman ki hararat walon ney, Barson mein namazi ban na saka man apna purani pappi (Allama Iqbal)
Bhaimiya
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Shikasta khafilon sey kuch na hoga miya, in ladlon sey kuch na hoga, yey andhon ka nagar hey tod dalo, tumharey aaeono sey kuch na hoga, udho ab apnee rahien khud nikalo, sisaktey rahbaron sey kuch na hoga, jahan sab gungey bahrey so rahey hon, wahan dheemey saron sey kuch na hoga, badan mein khoon bhi to laazmi hey, nisabi madarson sey kuch na hoga, amal bhi laazmi hey zindagi mein, fakht youn mashoron sey kuch na hoga
Bhaimiya
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Hazaron chand hazaron aaftab jaley, hamari aankhon key zinda chamaktey khawab jaley, yeh kis ney aag lagayee hey bhetey paani mein, key sir utha bhi na paye the aur ahbaab jaley, yeh kis ka shola safat bey hijab jalwa tha, pighal key rah gaye aaeeney aks naab jaley, abhi pados key bachon ney phal utharey the, harey dahrakt tawjub kis hissab jaley, jo ghar jaley hein wo do din mein hum bana lengey, magar jo bag, jo compass, jo ghulab jaley, ajab nahi koyee rah nijaat mil jaye, yahi bahut hey safeeno key kuch hi baab jaley, hamarey naam likhey the yeh rat jagey lekin, khuda karey key kisi ka no koyee khawab jaley
Bhaimiya
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Bhai Saheb, agar ijazat ho to shayr ko sahi kardoon?? Doosra misra is tarah hai \"Man apna purana paapi hai, barson mein namaazi ban na saka\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Kulcha Hyderabad » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Chaliyeh, jab baat inquilaab ki shuroo ho gayee hai to chand asha\'ar peshey khidmath hai. \"Jis mein na ho inquilaab mout hai woh zindagi\" - \"Rooh-e-ummam ki hayath kashmakash-e-inquilaab\". \"Main jaanta hoon jamaat ka kya hashr hoga\" - \"Masaeele nazree mein ulajh gaya hai khateeb\" - \"Rahmatien teri aghyar ke shaano par\" - \"Barq girtee hai to bechaare musalmaano par\" (Allama Iqbal)
Kulcha Hyderabad
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Bhai Kulcha: Suhkriya sher sahi karney ka
Bhaimiya
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Radha » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

har dharm kii ramaayan yug-yug se ye kahtii hai
sone ke heron honge sitaa kaa haran hogaa.
saNkat ke andhero mein tum aas nahii chodho
har raat kii mutThii mein suraj kaa ratan hogaa.
vigyaan ke bhaktoN ko ab kaun ye samjhaaye?
vardaan se apne hii Dashrath ka maran hogaa.
insaan kii surat mein jab bhedhiye phirte hoN
tab tum hi kaho kaise duniyaa mein aman hogaa.
Radha
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Bahut Khoob!
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Bahut khoob Radha: \"Tum hi kaho kaise duniya mein aman hoga\"
Bhaimiya
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Radha » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

cheen loge doosron se jeene ka sabab, skoon dil mein kayaa paaogey -- tod daaloge koi masjid ya dargaah,,dilon se logon ke kaise mitaaogey,-- raste anek manzil eik, granathon ki bhaasha,, tang nazron se to na samajh paaogey,
paaloge ta-assab ka cancer, ek din,khud fanaah ho jaaoge
Radha
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Bahut Bahut Khoob! Engrave this on metallic plates and distribute to all political and religious leaders of our country. They need to be reminded of the damage and destruction they are causing to this great nation. Still time for them to put their acts together, before it gets too late. It will be a shame if we lose all after having worked so hard for so many years. Good posting Radha, keep \'em coming. You are really kewl.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Radha » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

jism aur jaan bik chuke honge,
diin-o-iimaan bik chuke honge,

in dinon mandion men raunaq hai,
khet-khalihaan bik chuke honge,

in mahanton ke haath se ab tak,
kitne bhagwaan bik chuke honge,

mandiron-masjidon ke saude men,
raam o rahmaan bik chuke honge,

kans bekhauf ghoomtaa hai ab,
krishna bhagwaan bik chuke honge,
Radha
Guest
 

Chalo aaj phir ek ho ke chalen

by Bhaimiya » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

Welldone Radha, aap ki shayeri mein kafee nikhar aagaya hey, mera matlab hey key yeh shayeri hyderbad.tv chat sey bhi bahut unchee hey. Keep it up.
Bhaimiya
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 10 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Hyderabad ka Shola
Hyd chalen
inquilabi massage
E chalen hyderabad city
hyderabad e chalen enquiring
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.