Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by amoodi » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Ek budhey kanwarey sey shaadi na karney ki wajeh daryafat ki gayee to is ney jawab diya \"Ek acchi cheez ki khahish mein tammam umar guzari ja sakti hey lekin ek buri cheez key saat tammam zindagi ghuzarna mushkil hey.
amoodi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Neighbor talk: \"Aapa meri murghi dekhe kya tum - subah se nazar nai aree mereku.\" \"Aieee, ek khatora saalan bheji na, nai mila kya??
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Sania » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Good Joke Kulcha hyderabadi.Seems you are very mazaakiya
Sania
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Do aadmi Nizam College Bus Stand per therey huwey the, utney mein ek phelwan (jo key hakley the) aaye aur ek aadmi sey puchey - kya bha bha bha bha bhai sahib abids ka ka ka ka pata pada saktey, woh sahib kuch jawab nahi diye, phelwan ney phir wohee suwal kiya per woh sahib phir bhi jawab nahee diye, phalwan ko gussa aaya aur kaha sa sa sa sa sala bhe bhe bhe bhe bhera hey shayed aur phir dusrey sahib sey wahee sawal kiya, dusrey saheb ney kaha aap sidey jayee Abids phunch jayiengey, phelwan ney kaha shu shu shu shuriya bhai sahib, jab pahalwan wahan sey chaley gaye to dusrey sahib ney pheley sahib sey pucha bhai sahib aapney unko Abids ka pata kyon nahi bataya, phley sahib ney jawab diya kya kya kya kya kya mer mer mer meri mou mou mou mout pukari th th th thi (yeh bhi hakley the).
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by kite » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Do gawonwaley Hyderabad dekhney ko aaye, Abids ki hotel mein cofee peney gaye, waiter sey puchey bhai waiter ek coffee kitney ki hey, waiter bola gharam coffee 3 rupye ki aur thandi coffee 5 rupye ki, ek gawonwala bola bhai waiter 2 gharam coffee laao, waiter 2 gharam coffee laya, ek gawonwala jaldee jaldee coffee zaban ku churkey lagney key baujood piliya, dusra ghawonwala bahut hi itmenan sey coffee piraha tha, phela ghawonwala dusrey ghawonwaley sey bola arey jaldi jaldi coffee pi bhai nai to coffee thandi hojayengi aur waiter 5 rupye linga.
kite
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sat Jun 01, 2002 12:30 am

Ek sahib kisi dawat mein bey thasha ka rahey the. Inkey brabar betey huwey aadmi sey zabt na hosaka. Is ney kaha: Janab khaney key darmiyan paani bhi pi liya kartey hein. Theek hey jab darmiyan aayega paani bhi pilengey, unhno ney itmenan sey jawab diya.
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai: Aapkey liye thaka huwa hey per shayed kisi aur key liye naya hoga
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by amoodi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Ek South Indian aur North Indian ek train mein safar kar rahey they, south Indian dubla patla tha aur north indian tagda tha, south indian berth key upper sey suitcase utarney laga, suitcase bhari tha usey utharney mein mushkil ho rahi thi, north indian gussey sey suitcase ek hi jhadkey mein niche uttar diye aur south indian sey boley gayhoon (wheat) khawo takkat aati, south indian bechar khamoosh hogaya, phir dusri baar south indian suitcase uppar rakhna cha raha tha lekin usey phir mushkeel ho rahi thi, north indian woh suitcase uppar rak diye aur phir wohee kaha gayhoon khawo takhat aati, abki baar south indian train ki ghanti (bell) khichney ki koshish (try)kar rahey the per unhey mushkil ho rahi thi, north indian gussey sey ghanti ka wire kheech diye, thodi der baad TT aaya aur pucha ghanti kis ney kheechi, south indian phoran boley yeh sahib ney kheechi, TT ney ghanti kheechney ki wajeh poochi north indian sahib kuch nahi bata sakey, TT unko pakad kar lejaney laga, south indian muskoratey huwey boley chawal (rice) khawo deemag accha hota.
amoodi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

1. Ustaad class mein aaye to darwazey mein kisi ki kitab padi thi - ustaad ney kitab utahee aur class key bacchon sey pucha yeh kitaab kis ki hey - tamaam bachon ney ek saat jawab diya Moulana Altaf Hussein Hali ki hey.
2. Ek Khan sahib bey thasha laddo bantey ja rahey the, kisi ney marey herat key pucha, arey bhai! yeh kesi khushee hey- Khan sahib tan kar boley tumhey maloom nahi aaj Bharat ney one day match jeet liya, lekin final to kal hey, arey bhai to kya huwa, bahut dino baad yeh khooshi meyeser aayee hey, kal ka kya theekana.
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Thanks Sania. Kulcha Bhai aur Ucchu Mian - ligeye kuch naye latife suniye pasand aaye to hasinye aur pasand nahi aaye toh tankheed karna to aap dono ka haq hey.
1. Bhikari ney ek ladkey sey kaha beta ek pesey ka sawal hey - ladkey ney foran jawab diya \"Babba mein hisab mein bahut kamzor hoon.
2. Teacher: Banjar kisey khetey hein - Shagird: Jahan kuch na ug sakey - Teacher \"Maslan kisi jagah ka naam batao -shagird: Jesey merey walid ka sir.
3. Ek Science key ustaad ek shagird sey: Batao Rasheed seb (apple) dahrakt sey nichey hi kyon gheerta hey - upper kyon nahi jata - shagird ustaad sey: is liye key upper khaney walla koyee nahi hota.
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Farhaan » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Ek Bachha bowli mein gir jaata, saare loogan wan pe jama ho jaatae magar kis ki bhi himmat nai hoti bachaay to bowli mein se nikalne ki, achanak ek pahelwan bowli mein kuud jaatae aur bachaay ku bahar nikaal ke laatay, utnay mein ek bade miya aake pahelwan ki peet thapak kay boltay, wah wah miya, wah wah, waakay mein tum pahelwan hai, kisi ki himmat nai huwi bowli mein kudnay ki, magar tum bowli mein kuud kay bachay ku sai salamat bahaar nikal ke laaye. Pahelwan palat ke baotain woh soob jaane do Chichha pehle yeh bolo apne ku pichay se bowli mein dhaaka kaun maaray thay.
Farhaan
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Ucchu Mian » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Sania Amma Kulcha ke bolna mere hisaab se bilkul sahi hai, unu koyee ghalat baat nai bolrain bus ittaich bolrain ke kuch nai cheez sunao - dekho yeh board ke uppar takhreeban hyderabadian hai aur takhreeban sob logan yeh latife yeh sheran sune huwe hai kyonki main jan tak padraon bhaimiya jo hai wo sob siasat mein ke jokan , sheran likhrain - is se kya boltain woh horai - kya boltain - idhar ki utha ko udhar patke sarka. Main Sania amma se aur Bhaimiya se ummeed kartaon tum logan bura nai maningay - bus zara latesh / naya maal post karo takey sob ko mazaa aye. Agar puran bhi hai to zara masala lagao taake nai raunaq aaye.
Ucchu Mian
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Nai ab apki baari hai! kab tak sunte rahinge amma? kuch sunao bhi.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by sania » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Dear kulcha , Bhaimiya par comment karne ke bajaaye aap hi kuch naya sunaayiye waisey mujhe Bhaimiya ke latife pasand aaye.
sania
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Bhaipasha, hansna kya??? Bhai mere, yeh to thakey huwe morning show ke pethiyan hai..kuch nayee cheez sunao yaro... yeh to woi joke hogaya... jab bhi koyee thaka huwa joke sunata tha, ham sab boltey \"Kya hansee, Kya hansee\" hahahaha
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Do aurtan (ladies) baldiya key nal (tap) per paani pheley bharney per jhagad rahey they, ek aurat dusri aurat sey bolee dek mereyku bharney dey pheley warna who langda fakheer khada huwa hey na usey teri shaadi kara doongi, dusri aurat boli ja ja tu kya meri shaadi karati mein teri shaadi who andhey fakheer sey kara dungi. Thodi der mein dono mey comprise hogaya aur paani ek bad ek bharliye. Langda and andha fakheer thodi der intezar kiye phir aurton sey puchey shaadi key liye tharna ya jana, dono aurtan boley mathimiley aab jatien ya juteeyan nikal ko batana.
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Hey, let\'s post Hyderabadi ishtyle jokes, not blondes and others.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by hina » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

A blonde goes out to her mail box, looks in, closes
the door and goes back into her house.
A few minutes later she comes out, goes to her mailbox, looks in,
closes the door and goes back into her house.
She repeats this process several times before aneighbor who has been
witnessing this series of events says to her; \"Youmust be expecting a
very important letter or package today.\"
The blonde answers; \"No, I\'m working on my computer
and it keeps telling me that I have mail
hina
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Be careful when the kids are around, especially at night. Nine year old asking his Dad - \"Bawa, Bawa, chand ku tanga (legs) hotey kya?\" - \"Nai hotey beta, chand ku tanga nai rahte\" - \'Bawa, Bawa, nai, chand ku tanga rahte\" - \"Arrey bola na beqoof, chand ku tanga nai rahte bolkey\" - \"Phir Bawa tumich bolrain the na raat ku \'chand zara taanga tho uthao!\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 02, 2002 12:30 am

Mazaakiya?? Yani, apka matlab maskhara! Jee haan, most hyderabadis are humorous by nature.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Radha » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

bhaimiya,
adaab arz hai,

Lateyfey hi sahi,

miya biwi baher sair ko jarahe teh, showhar ne kaha dekho woh darakht(tree) par totha tothee kitne pyar se baith kar baat kar rahe hai, aur tum ho ki har waqt ladti rahti ho.

Do char ghante ke baad jab yeh donu wapas ho rahe teh to showhar ne kaha dekho begum yeh tota tothee abhi tak bathe hain kitna pyar hai in donu mein, aur tum mere saath lad rahi ho isi waqt mein.

Toh biwi ne kaha, zara ghor se dekho tota badla hua hai.

I hope you like it!
Radha
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Kulcha Hyderabadi » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Miyan, bhabi ki shopping? bawa ya khaney ku nahi hai shopping wopping ka se karinge bawa? saal mein ek baar, munaish (numaish) khatam honey ke doosrey din, discount sale mein kuch khareed lete bawa hamlongan.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Bhaimiya » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Bhai Kulcha: Aapney bhabi ki shopping key barey mein kuch nahi likha.
Bhaimiya
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Sania » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Dear Kulcha :How nice of you! You made very happy today.
Just relax all your bills will be cleared aur aap ki zindagi mein koi janjaal nahi rahega.
Sania
Guest
 

Chalo hojaye kuch latifey (jokes)

by Sania » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Janab Ucchu mian aur Kabacha :I truly appretiate your Hyderabadi style. Let me tell you onething I dont read Siasath so Bhaimiya ke latife are new for me.
Sania
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 7 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Lol latifey
hyderabadi chutkule aingle line
mirza ghalib ke latifey
Naye latife
ganday joks
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.