Friday, 29 March 2024 »  Login
in

kuch yaadeh

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

kuch yaadeh

by ajju miya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

na this hum kashish itni ke kisi ko yaad rehejaye
shikwa ni tum se, tumare bhool jane ka
ajju miya
Guest
 

kuch yaadeh

by gabbu » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

wah ! wah ! Wah! ajju miya agar aap pas hote aap ko chom leta
gabbu
Guest
 

kuch yaadeh

by ajju miya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

na ji bhar ke dekha na kuch ba\'at ki
badi arzo this mulakha\'at ki
ajju miya
Guest
 

kuch yaadeh

by gabbu » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

hokar tum se joda rote rahe hum
zaher ka ghont peekar jeete rahe hum
gabbu
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Bachpan ki mahobat ko dil sey na bhoola dena, jab yaad kisi ki aayeh milney ki duwa karna
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Hum chod chaley hein is mehfil ko, jab yaad aayeh kabhi to mat rona
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by naomi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Din tho beeth gaye, pyar tho na raha, Deewaane rehgaye,


Khuda na kare koyi mujse pyar kare
ye duah hai ki koye bhool se Bhi dil de baite
ye shola, ye thanhayi, ye darde mohabbat
farishte kya, kisi dushman ko bhi na tharsaye!!!
naomi
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

\"Kaise maaney ke unhe bhool gaya tu ai Kaif\" - \"Un ke khat aaj hamein tere sirhaane sey miley\" (Kaif Bhopali)
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

\"Ham ne jee bhar ke usko dekh liya\" - \"Usko uljhaa ke kuch sawaalon mein\" (Waseeh Shah)
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Ucchu Mian » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Kulcha miya - yeh to sarasar dhoka hai
Ucchu Mian
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Hieght of desperation! \"Marta kya na karta\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Dhagan. » Fri Jun 14, 2002 12:30 am

yeh hayaat to maut ki hai dagar,
koin khaak mein koi khaak par,
kiye aadmi ne bade jatan,
magar is ke kaam na aa saki,
na koi dua na koi dawa.

Jo chala gayaa use bhool ja whoh na sun sakega teri sada.
Dhagan.
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

\"Zindagi kya hai, koyee chak-e-kafan hai Faakir\" - \"Umr ke hathon ham jis ko siye jaatey hain\" (Sudarshan Faakir)
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Koh gaya jo kuhar mein us shask ko paana chahoon mein, khawabon key godham ki teh sey dhoond key lana chahoon mein, Tahat shaoor ki mehrabon sey kiteny rang jhalktey hein, apni hi neend sey koyee khawab churana chahoon, ek basti mein ek makaan key darwazey ki chowkhat tak sir key bal bhi jana padey to Akbar jana chahoon mein.
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by Ucchu Mian » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Koi Khaas makaan dikhra bhaimiya.. jan po tum Dammam ki is jalti dhoop mein.. sar ke bal chalke jaana chahrain.. Hum logaon ku bhi aise patay bataao bhyee.. zara aaasaan rasta batao kyky bolto apne sar po balaan naam ku hai.. unku sambhalna bhot zaroori hai.. Shahed mian ki Shaadi tak to bhi...
Ucchu Mian
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Ucchu Mian: Maffi chaton woh ghar nahi bata sakta, agar bata sakta to zaroor apney Board key doston ko batata, per yeh sher phek sakton \"Kuch na kisi se bolenge, tanhaaii mein ro lenge, hum bey-rahabaron ka kya, saat kisi ke ho lenge, KHUD TO HUE RUSVAA LEKIN, TERA BHAID NA KHOLENGE, jeevan zahar bharaa saagar, kab tak amrit gholenge, need to kya aaegi \"Faraz\" maut aai to so lenge\"
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

\"Umr-e-rawaan ki rahon mein ek din aisa bhi aata hai\" - \"Jab duniya ki ek gali, dil ka watan ban jaati hai\" (K. Aman)
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Bahut Khoob....jeetey raho pyare. Ahmed Faraaz bhi kya cheez hai...
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Bahut Khoob....jeetey raho pyare. Ahmed Faraaz bhi kya cheez hai...
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Bhoolne waale sey koyi keh de zara, is tarah yaad aane sey kya faaida, Jab mere dil ki duniya basti nahi, phir khayaalon mein aane se kya faaida
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Yes Kulcha Bhai \"Ahmed Faraz\" bahut badiya cheez hey, agar unki shayeri pasand hey to yeh suniye.
\"Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liya aa, aa phir se mujhe chhod key jaane ke liye aa, Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou, rasm-o-rah duniya hi nibhane ke liye aa, Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham, to mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa, kuch tou mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh, tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa, ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum, aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa, ab tak dil-e-khusfeham ko tujh se hain ummeedien, ye aakharii shamma bhi bujhaane ke liye aa\"
Bhaimiya
Guest
 

kuch yaadeh

by Kulcha Hyderabadi » Mon Jun 17, 2002 12:30 am

Jab baat nikli hai Ahmed Faraaz ki to phir suniyeh, ek rare ghazal ke kuch ash\'aar...\"Umr bhar kaun nibhata hai ta\'luq itna, Ai meri jaan ki dushman, tujhe Allah rakhe\" - \"Ham ko accha nahin lagta koyee ham naam tera, Koyee tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakhe\" - \"Qana\'at hai, ita\'at hai ke cha\'hath hai Faraaz, Ham to raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhe\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

kuch yaadeh

by Bhaimiya » Mon Jun 17, 2002 12:30 am

Bahut khoob Kulcha Bhai, zara yeh suniye;
\"Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga, Mera din bhi teri raat se behtar hoga, Yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna, Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga\"
Bhaimiya
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 6 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
ajju miya kolkata
hyderabadi faakir
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.