Friday, 19 April 2024 »  Login
in

Pyar ka Matlab

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Pyar ka Matlab

by Zoya » Wed Jun 19, 2002 12:30 am

Hi Guyz and Gals .Define love in your own terms I will be glad if it is in terms of poetry. So your precious messeges please
Zoya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Wed Jun 19, 2002 12:30 am

Chehrey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyar bhi hai, Is Shauq-E-Ada ko kya kahiye, Inkar bhi hai Iqraar bhi hai.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Wed Jun 19, 2002 12:30 am

Use chaha bhi tou izhaar nakarna aya, Kat gayee ummer hame PYAAR na karna aya, Uss ne manga bhi ager tou judai mangi, Aur ham ko mager inkaar na karna aaya
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Ucchu Mian » Wed Jun 19, 2002 12:30 am

Mohabbat (pyaar) ko samajhna na hai to naaseh khud mohabbat kar; keh saahil se kabhi andaaza-e-Toofan nahin hota:
Ucchu Mian
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Ucchu Mian » Wed Jun 19, 2002 12:30 am

Sorry for an extra \"an\" in my previos posting: It is

Mohabbat ko samajhna hai to Nasseh khud mohabbar kar;
Keh Saahil se Kabhi andaaza-e-Toofan nahin hota:
Ucchu Mian
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

\"Muhabbat ke liye kuch khaas dil maqsoos hotey hain\" - \"Yeh woh nagma hai jo har saaz pey gaya nahin jaata\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Zoya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Marhaba Folks! all of you are just fabulous
Zoya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Zoya: Ahlan wa sahlan and thanks for appreciation.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Kaun kheta hai mohabbat (PYAR) ki zuban hoti hai, Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hey, Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko, Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hai, Rook ko shaad karey dil ko jo purnoor karey, Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hai, Zabt-e-shelaabay mohabbat ka kahan tak rokay, Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hey, Zindagi ek sulgati se chita hai \'Sahir\', Shola banti hey na yeh bhuj key dhuaan hoti hai, Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hay, Yeh haqeeat to nigahon sey bayan hoti hay.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Bhai Zoya: Kya aapko shayeri ka shok hey ya phir mohabbat key sher kahin istemal karna hey \"Ibtedayeh ishq mein hum saree raat jagey, Allah janey kya hoga aagey, Moula janey kya hoga aagey\".
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Ucchu Mian » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Bhaimiya tum bhi yaaro Zoya ko Bhai bolke chedrain.. Zoya mere khyaal se ladki ka naam hai..
Ucchu Mian
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Ucchu mian: Mein samajton Zoya bhadey bhadey munch waley bhai hein, zara uppar pado aap \"Marhaba\" bol rahey hein, aur agar koyee nazuk see hasina hey to difinetely Gulf mein rehteye hongey. Bhai ya Bahen Zoya agar aap yeh message padey to zara apney barey mein clarify kardo key aap \"F\" hein ya phir \"M\".
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by BOND » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

There is not yet anything done about the MATrix LABoratory of pyar. lol
BOND
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Ucchu Mian » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

sookh jaate hain lub, lufz milte nahi
hota nahi humse ishq bayaan
unhe kaise bataoon dil ki lagi
kaise samjhaoon aankhon ki zubaan
Ucchu Mian
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Zoya » Fri Jun 21, 2002 12:30 am

Bhaimiya : I am female and yep you are right I am in Gulf.
Zoya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Shahed » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Pyaar.............Khuda ka diya huva Ek tohfa hai ... jo do roohoun mein panapta hai !! Chahat ki har Dharkan leke .. ek dooje ke dil mein ye Dhadhakta hai!!
Shahed
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Zoya: Welcome on fullhyd boards aur in boards per braber hissa letey rahiyega.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Badnaam mere pyaar kaa afsana hua hai, Deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai, Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa, Apnaa tha tabhi tou koi be-gaana hua hai, Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din, Dil aap ke hote huye viraana hua hai, Baste hain khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo, Kuch din se mera ghar bhi pari-khaana hua hai, Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi, Jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Apney haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, Mujh se sharmaate ho tou saamney aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa, Pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, Dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, Mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho.
Bhaimiya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by cyberabad » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

jisse dil diyaa Woh Dilli chalee gayee
jisse pyar kiya woh Italy chalee gayee
Dil ne kaha Khud-kushee karley
Bijlee ko haath lagaya
tho Bijlee chalee gayee
cyberabad
Guest
 

Pyar ka Matlab

by cyberabad » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

jisse dil diyaa Woh Dilli chalee gayee
jisse pyar kiya woh Italy chalee gayee
Dil ne kaha Khud-kushee karley
Bijlee ko haath lagaya
tho Bijlee chalee gayee
cyberabad
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Farhaan » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

These lines are dedicted to someone I love most. MUJHE SAHAL HO GAYI MANZILEIN WA HAWA KA RUKH BHI BADAL GAAYA/TERA HAATH HAATH MEIN AA GAYA CHIRAAG RAH MEIN JAL GAAYE
Farhaan
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Farhaan » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

PUCHHA JO MAINE UNSE KE CHAND NIKALTA HAI KIS TARAH / ZULFOUN KO RUKH PE DAAL KAR JHATKA DIYA KE YOUN
Farhaan
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Zoya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Well said Shahed Bhai, Execellent thought.
Zoya
Guest
 

Pyar ka Matlab

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Bahut khoob Farhan.
Bhaimiya
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 7 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hydera ka matlb
pyarkaarth
afsana matlb
zoya ka mtlab
Afsana Name ka matlab kya he
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.