Friday, 29 March 2024 »  Login
in

"Sher aur Shayeri"

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

"Sher aur Shayeri"

by Bhaimiya » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Ek sawal uttah merey deemag mein (office mein kaam nahi hoto sawalaniech uttien deemag mein)\"Aaj tak to bahut sey sher aur shayeri Mahbooba key barey mein padney aaye, koyee Shayer Bhai \"Biwi ki tareef mein bhi koyee sher phekey ya nahi\" agar aap sabko biwi key barey mein sher yad hein to zara mujhko aur sab doston ko sunaiye.
Bhaimiya
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Ek shayr mereku yaad aagaya hai.... and it fits well. Despite all the nok jhonk, sweet bitter times, ups and downs, your Bhabhi has been a wonderful gal! Ahmed Faraaz ka ek shayr pesh karta hoon. Behad lateef andaaz mein kaha unhoney \"...Umr bhar kaun nibhata hai ta\'luq itna, Ai meri jaan ki dushman, tujhe Allah rakhe\" .... Ek aur Shahmeem Jaipuri saheb ka \"Nigahe shouq wohi hai, nigahe shouq Shameem, Jo ek baar rooqe yaar pey tahar jaye\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 20, 2002 12:30 am

Isee silsilay mein ek filmi geet. Waise apne shayr poocha tha, choonke yeh gana isi zumar mein fit hota hai, pesh kar raha hoon....mujhe bahut pasand hai.. apne dost ki khatir isey bardaasht karlijeeye. Shukriya. \"Main khush naseeb hun mujhe kisi ka pyaar mila\" - \"Bada haseen mere dil ka raaz daar mila\" - \"Hai dil mein pyaar, zaban chup, jhuki jhuki nazar\" - \"Ajab adaa sey koyee aaj pahli baar mila\" - \"Kisi ne pooray kiye aaj pyar ke waadey\" - \"Meri wafaa ka sila mujh ko shandaar mila\" - \"Mere chaman ka har ke phool muskurane laga\" - \"Woh kya miley mujhe mousam-e-bahaar mila\"....Main khush naseeb hoon....
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai: Nice and wonderful.
Bhaimiya
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Shahed » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Hamsafar nahin huva to kya... Sher tou Keh Sakta Hoon !!
Apna nai huva to kya .. Doosroun ka tou Phek Sakta hoon !!
Shahed
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Farhaan » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Janaab Bhaimiya, Firaq Gorakhpuri ne ek Rubaii apni biwi ke nazar ki thi, pesh karta hoon. \"TU HAATH KO HAATH MEIN JAB LE LEETI HAI/DUKH DARD ZAMAANAE KA MITTA DETI HAI/SANSAAR KE IS TAPTAE HUWE VIRAANAE MEIN/SUKH SHAANTH KI TU GOYA HARI KHETTI HAI
Farhaan
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Shabaash Farhan...Jeetey Raho Dost!...Kya cheez dhoond kar laye ho!....chalo isi silsile mein mere chaheetey shayr Sahir ki ek nazm ke kuch bol \"Har waqt tere husn ka hota hai saman aur, har waqt mujhe chahiyeh andaaz-e-bayan aur\" - \"Phoolon sa kabhi narm, to sholon sa kabhi garm, Choo lene se huta hai tera jism jawan aur\".......Mere khayal mein Azeem Qadri yehi \"Chu\" ki baat kar rahein hongey!!!!lol
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Bhaimiya » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

Farhan Bhai aur Kulcha Bhai: Bahut khoob, likleyon diary mein. Shahid bhai aap bhi lik lo waqt aaney per kam aaiengey yeh sher aur inshallah waqt bahut jald aaney wala hey.
Bhaimiya
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by khajabi » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

bhaimiyan, sher kiya, poori nazm liyu,
deekho kitta samjharoun main nai bole to sunte nai, apni man maani tum karain nai bole to sunte nai / karne ke joo kaam hain woh to jaise ke waise hain, nai karne ke kaaman kar\'rain nai bole to sunte nai / mare ghar main reh ko baataan amma bawa ke kar\'rain, yaan ka kha ko waan ka gaarain nai bole to sunte nai / dubai nai to jidda jao kaisa bi yaan se niklo, uth\'te baith\'te bheja khaarain nai bole to sunte nai / itti omar main baher ja kar khaak kama ko la\'oun ga, haataan dhoo ko jeeche padgain nai bole to sunte nai / din bhar kaam se thak ko a\'youn chumti\'yan mat loo soone diyou, subba jaldi uth sakta nai nai bole to sunte nai / moon poo make-up thoop ko jaati omar ke peeche mat bhaago, gayi soo jawani phir a\'ti nai nai bole to sunte nai / baaloun main jutla joode to banta hai saar ka jooda, phir bhi baalaan set karwa\'rain nai bole to sunte nai / un ke baalaan set hoo ne tak mere saar main ginti ke, hai soo baalaan ghad ko jaarain nai bole to sunte nai / charbi chat kar duble dikhne ek haf\'te se \"diet\" poo hai, chalte phirte dhak\'liyan khaa rain nai bole to sunte nai / bichoo ke kate ka mantar yaad nai aur opar se, saanp ke bil main ungli\'yaan kar\'rain nai bole to sunte nai / phoode poo jam gayi soo khipli naakhun se nakko noocho, bhar gaye soo zakhm taaza ho rain nai bole to sunte nai.
khajabi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by khajabi » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

lijiye aur ek.
main hoon diye ke jaisa ek joot ko taras\'roun, biwi ke waste main ek sout ko taras\'roun / shaadi ke baad mera yeh haal hoo gaya hai, aab-o-hayat pee le ke mout ko taras\'roun.
khajabi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by khajabi » Sat Jun 22, 2002 12:30 am

lijiye aur ek.
main hoon diye ke jaisa ek joot ko taras\'roun, biwi ke waste main ek sout ko taras\'roun / shaadi ke baad mera yeh haal hoo gaya hai, aab-o-hayat pee le ke mout ko taras\'roun.
khajabi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Saira » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

How about this one / ayesa nahin ke aadmi achha nahin hai voh...jaisa hamara khwab tha vaisa nahin hai voh / uljha hua hai khud kahin apne tazad main..ya aina nahin hai ya chehra nahin hai voh / taqleeq aasman pe voh mere liye hua.. mana ke is zameen pe mera nahin hai voh / takmeel kya karega voh auron ke khwab ki..ab tu khud apne paas bhi pura nahin hai voh / jhulsa na de badan ko tu suraj hai bejvaz..tapta agar nahin hai tu sehra nahin hai voh / Ruhi tamam talq navai ke bavajud..yek pal ko mere dhayan se jata nahin hai voh
Saira
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by khajabi » Mon Jul 01, 2002 12:30 am

Wonderful Saira ji, dil ko choo lene wali baat kahi hain aap. BTW, agar is board ke bajaye aap ek naya board create karti ko shayad accha hota, c\'oz don\'t know how many is reading this...
khajabi
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by Bhaimiya » Mon Jul 01, 2002 12:30 am

Saira: Bahut khoob, aapney hyderabad.tv chat room ki yaad diladi, woh bhi kya chat room tha (is site per apney puraney satiyon mein sey kc(dammam), Radha aap aur mein participate kar rahey hein) , wesey khajabi ney sahi kaha key agar aap naya board create karti toh bahut accha hota kyonkey yeh Board purana hogaya hey aur dusrey page per hey.
Bhaimiya
Guest
 

"Sher aur Shayeri"

by hard stone » Thu Dec 26, 2002 2:55 pm

biwi ke baray main aik shair arz hai

woh meray haatoon ki raykhaaoon ki tarha saath hain.

saath hi meray woh aatay hain , jidhr jaataa hoon main
hard stone
Guest
 

Re:

by Pheku » Fri Jan 01, 2010 11:40 am

khajabi wrote:bhaimiyan, sher kiya, poori nazm liyu,
deekho kitta samjharoun main nai bole to sunte nai, apni man maani tum karain nai bole to sunte nai / karne ke joo kaam hain woh to jaise ke waise hain, nai karne ke kaaman kar\'rain nai bole to sunte nai / mare ghar main reh ko baataan amma bawa ke kar\'rain, yaan ka kha ko waan ka gaarain nai bole to sunte nai / dubai nai to jidda jao kaisa bi yaan se niklo, uth\'te baith\'te bheja khaarain nai bole to sunte nai / itti omar main baher ja kar khaak kama ko la\'oun ga, haataan dhoo ko jeeche padgain nai bole to sunte nai / din bhar kaam se thak ko a\'youn chumti\'yan mat loo soone diyou, subba jaldi uth sakta nai nai bole to sunte nai / moon poo make-up thoop ko jaati omar ke peeche mat bhaago, gayi soo jawani phir a\'ti nai nai bole to sunte nai / baaloun main jutla joode to banta hai saar ka jooda, phir bhi baalaan set karwa\'rain nai bole to sunte nai / un ke baalaan set hoo ne tak mere saar main ginti ke, hai soo baalaan ghad ko jaarain nai bole to sunte nai / charbi chat kar duble dikhne ek haf\'te se \"diet\" poo hai, chalte phirte dhak\'liyan khaa rain nai bole to sunte nai / bichoo ke kate ka mantar yaad nai aur opar se, saanp ke bil main ungli\'yaan kar\'rain nai bole to sunte nai / phoode poo jam gayi soo khipli naakhun se nakko noocho, bhar gaye soo zakhm taaza ho rain nai bole to sunte nai.


bhot mast hai bhai, bhot dino se main ye dhundra tha,
ek sher merku bi yaad aaya, arz kiya hai,

Bohot hi pyar se boli ye shohar se jahan araa,
aji sunte zara, meri samaj mein kuch bi nai aara,
ghadey po baithtoN bolko ye potta sar khaara,
bithalo khaandey po to khush ho jainga bichara,
Pheku
Registered User
 

Re:

by Join Brown » Fri Mar 11, 2011 11:29 am

bhaimiyan, sher kiya, poori nazm liyu, deekho kitta samjharoun main nai bole to sunte nai, apni man maani tum karain nai bole to sunte nai / karne ke joo kaam hain woh to jaise ke waise hain, nai karne ke kaaman kar\'rain nai bole to sunte nai / mare ghar main reh ko baataan amma bawa ke kar\'rain, yaan ka kha ko waan ka gaarain nai bole to sunte nai / dubai nai to jidda jao kaisa bi yaan se niklo, uth\'te baith\'te bheja khaarain nai bole to sunte nai / itti omar main baher ja kar khaak kama ko la\'oun ga, haataan dhoo ko jeeche padgain nai bole to sunte nai / din bhar kaam se thak ko a\'youn chumti\'yan mat loo soone diyou, subba jaldi uth sakta nai nai bole to sunte nai / moon poo make-up thoop ko jaati omar ke peeche mat bhaago, gayi soo jawani phir a\'ti nai nai bole to sunte nai / baaloun main jutla joode to banta hai saar ka jooda, phir bhi baalaan set karwa\'rain nai bole to sunte nai / un ke baalaan set hoo ne tak mere saar main ginti ke, hai soo baalaan ghad ko jaarain nai bole to sunte nai / charbi chat kar duble dikhne ek haf\'te se \"diet\" poo hai, chalte phirte dhak\'liyan khaa rain nai bole to sunte nai / bichoo ke kate ka mantar yaad nai aur opar se, saanp ke bil main ungli\'yaan kar\'rain nai bole to sunte nai / phoode poo jam gayi soo khipli naakhun se nakko noocho, bhar gaye soo zakhm taaza ho rain nai bole to sunte nai.
Join Brown
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Fri Mar 11, 2011 11:18 am

Billi Bivi Baataan

by HH » Sun Mar 13, 2011 7:17 pm

Billi Bivi Baataan ...
Sher Aur Shayeri
Chhodo Miyan Logaan
Miao Miao Karte Raina
Billi Bivi Baataan Karna!

------
:wink: :) :wink:
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Re: Teli ke churaye huye sher

by teliraja » Mon Mar 14, 2011 2:27 pm

Bichad Gaya Hai Jo Uska Sath Kya Mangu,
Zara Si Umar Hai Gam Se Nijat Kya Mangu,
Wo Sath Hota To Hoti Zarurat Bhi Bahut,
Akeli Zaat Ke Liye Kaynat Kya Mangu.

Khuda Ne Sharaab Jo Banai Pine Ke Liye,
To Piya Kyun Na Jaye,
Duniya Banai Jeene Ke Liye,
To Jiya Kyun Na Jaye,
Mahobbat Ne Diya Mauka, Shayari Karne Ka,
To Phir Shayari Kari Kyun Na Jaye.

Mere Saki Ne Mere Yaar Ka Kya Haal Kar Dala,
Usko Zindagi Se Azaad Hi Kar Dala,

Pehle To Sirf Tadapta Tha Uski Yaad Mein,
Ab To Hallal Hi Kar Dala,

Aur Jo Maalik Se Rehmat Ki Guzarish Ki Usne,
To Wo Bola “Tujh Jaiso Ko Aapni Riyaasat Se Bedakhal Kar Dala”.
teliraja
Registered User
 
Posts: 16
Joined: Tue Aug 10, 2010 4:01 pm

Re: sher o shayiri

by teliraja » Tue Mar 15, 2011 4:52 pm

us ne hamein chor diya hai to ab jee k kya karna hey
kya kami thi mujh mein siwaye vitamin A, B aur C ke..
teliraja
Registered User
 
Posts: 16
Joined: Tue Aug 10, 2010 4:01 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 7 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
tu ti bole ajab miyan banra
arey maine kaha biwi chawal picadally song Hyderabad funny
bichu kaysa huta
Hyderabadi silicon sher shayari
inshallah sth ho ga shayeri
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.