Thursday, 18 April 2024 »  Login
in

Bait Bazee

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Bait Bazee

by shaikh » Sun May 11, 2003 2:40 am

Bhaimiya mulaheza ho ...on the recent Iraqi situation... apni hasti habaab ki si hai / ye numaish saraab ki si hai... meer
shaikh
Registered User
 

Bait Bazee

by \"BM\" » Sun May 11, 2003 3:33 pm

Yeh tapti chand ki kirney aur jalti barsatein thee, Kya janey woh kesey din they kesi ratein thee, Mein khudbeen wa khudaar tha \' aawara bhi tha, Merey andher apney ahad ki saari batein thee.
\"BM\"
Registered User
 

Bait Bazee

by Radha » Mon May 12, 2003 1:00 pm

BM, bahut khoob,

RaateiN haiN udaas, din kaRe haiN
Aey dil tere haosale baRe haiN

Aey yaad-e-habeeb saath deyna,
Kuch marhale saKHt aa paRe haiN,

Rokna ho agar , to sao(100) bahaane,
Chalna ho to raaste baRe haiN,

Ab kaisey bataayeiN wajh-e-Gerya,
Jab aap bhi saath ro paRe haiN,
Radha
Registered User
 

Bait Bazee

by \"BM\" » Mon May 12, 2003 3:14 pm

Napaak hawaon ney sher angezi ki, Sir sabz zameeno pey jo khun rezi ki, Us arz baharran ko banaya banjer, Duniya mein thi dhoom jis ki zerkhezi ki.
\"BM\"
Registered User
 

Bait Bazee

by Humdam » Tue May 13, 2003 8:59 pm

Haan vo naheen khuda parast, jaao vo bewafaa sahee
jisko ho deen-o-dil azeez us ki galee main jaaye kiyoun
Humdam
Registered User
 

Bait Bazee

by Shayer-E-Mashriq » Tue May 13, 2003 10:11 pm

Na ji bher key dekha, na baat ki, BhaRhi aarzoo thi mulaqat ki.
Shayer-E-Mashriq
Registered User
 

Bait Bazee

by Humdam » Tue May 13, 2003 11:05 pm

Kisi bewafa ki khaatir ye junoon faraaz kab tak, Jo tumhein bhulaa chukaa hai usey tum bhi bhool jaao
Humdam
Registered User
 

Bait Bazee

by wah.wah » Tue May 13, 2003 11:24 pm

so jaana chahata hun uski zulfon ki saayen mein, par kaya karoo zalim, uske zulfen hai itne kam !
wah.wah
Registered User
 

Bait Bazee

by Humdam » Wed May 14, 2003 12:07 am

Kaam aa saki na apni vafaayein to kyaa karein - Ik be wafaa ko bhool na jayein to kyaa karein.
Humdam
Registered User
 

Bait Bazee

by \"BM\" » Wed May 14, 2003 2:21 pm

Nafrat ki hawa bun mein chalayi kis ney, Jal utthi zameen aag lagayi kis ney, Utthi hein jahaan ki ungliyaan kis ki taraf, Yahaan jeed key haari hey laRhi kis ney.
\"BM\"
Registered User
 

Bait Bazee

by Humdam » Wed May 14, 2003 4:03 pm

Nigaahein muntazir hadd e nazar viraaniyan kiyoun hain - Zaroori to nahin har janeywaala lout kar aaey
Humdam
Registered User
 

Bait Bazee

by \"BM\" » Wed May 14, 2003 8:55 pm

Yeh sukoon pakey aur bey sukoon ho chala hey dil, Kabhi yahaan jo halki halki si kasak thi kya huwi
\"BM\"
Registered User
 

Bait Bazee

by Humdam » Wed May 14, 2003 11:31 pm

Yaa rab! Gham-e-hijraan mein itanaa to kiyaa hotaa,
Jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa --


Ek ishq ka Gham aafat aur us pe ye dil aafat,
Yaa Gam na diyaa hotaa ya dil na diya hotaa.
Humdam
Registered User
 

Re: Bait Bazee

by rhamtumiyan » Fri Oct 30, 2009 11:37 am

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai

dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai

giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai

dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai

tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai
rhamtumiyan
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Tue Oct 20, 2009 5:17 pm

Re: Bait Bazee

by Mohammed. » Tue Jan 12, 2010 7:03 pm

ek lafz-e-mohabbat adna ye fasana hai,
simte to dil-e-aashiq faile to zamana hai.

hum ishq ke maaron ka itna hi fasana hai,
rone ko nahi koi,hasne ko zamana hai.

wo aur wafa dushman manenge na mana hai,
sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai.

kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jana hai,
hum khaak naseenon ki thokar me zamana hai.

eh ishq junoo pesha haan ishq-e-junoo pesha,
aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulana hai.

ye ishq nahi aasaa.n itna samajh lije,
ek aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.

aansu to bahut se hain aankhon me"zigar" lekin,
bindh jaye so moti hai,reh jaye so dana hai.
Mohammed.
Registered User
 
Posts: 11
Joined: Mon Dec 07, 2009 10:14 pm

Previous                

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
muddatein beet gayi khwab nahi
Muddatain beet gayien khuwab nahi aate
muddatein beet gayi adab nahi aate hain
hyderabadi bate
Hyderabadi bate
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.