Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Bait Bazee

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Sub satiyon sey guzarish hey key sher sunaye yaani woh sher sunana padega jis pey aakri sher khatam huwa ho, too mein shuru karta hoon:
\"Chehrey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyar bhi hai, Is Shauq-E-Ada ko kya kahiye, Inkar bhi hai Iqraar bhi hai\"
To ab koyee sher sunaye \"HAI\" sey.
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by bhaimiya (ex-udhas) » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Rahtaa hey jo ilm wa hunar sey darakshan, Zulmaat sey us shaher munwar ko bachaien
bhaimiya (ex-udhas)
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Jaana pehchanaa sa manzar lagta hey, Sehra bhi ab apna hi lagta hey, Jesey kisee ney cheen li saaree benayee, Tuj sey bhichad kar aesa lagta hey
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by dilphenkhyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Hazaro khvaishe aisi ki har khvaish pe dam nikle.....bahut nikle mere armaan fir bhi kam nikle........!!!!
dilphenkhyderabadi
Guest
 

Bait Bazee

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bachaalo Ab ko bahnwar se,maiN doob raha hoon<br>
sun kar sadaa yeh merii usne kahaa ke Jaa !
Bhirr Ustaad
Guest
 

Bait Bazee

by gstk » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

milee na tu aur teraa khayaal hai ke bas
jeene nahin deta hai na detey mujhey marney
gstk
Guest
 

Bait Bazee

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Marney ki aur hi ai Dil Tadbeer kar ke mai<br>
Shayaan-e-Dast-o-Baazu e Qaatil naHin rahaa
Bhirr Ustaad
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Jawab lijiye Kulcha Bhai: \"Ham ko namood zaat kee mahulat nahi milee, Mashoor is liye hein key shourat nahi milee\" (Akbar Hyderabadi). Next word is \"MILEE\".
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

\"Hai inteha-e-yaas bhi ek ibteda-e-shouq\" - \"Phir agaye wahin pey, jahan se chaley the ham\" (Hasrat Mohani)
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bhirr Ustaad: Ab apan dosron ko chance dengey, agar purey ek din jawab kisi dusrey key pass sey nahi aaya to apan jawab dengey, aapka kya khiyaal hey, batiye zaroor.
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Ehtram » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Nikalna Khuld Say Aadam Ka Suntay Aye They Lekin
Bahoot Bay Abroo Hokay Tere Kunchay Say Hum Niklay (Ghalib)
Ehtram
Guest
 

Bait Bazee

by Enter The Dragon » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Nikhlay Hai Sipaahi Karney Raksha Is Desh Kaa, Nidar Hoker Badayeh Woh Desh Key Rakshak Apna Paigaam Lekar, Dil Ko Chooleney Walah Wun Parakramon Ka Kadam Choomlenge Hum Na Kisi Bayan Ka.
Enter The Dragon
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Nikalna haat mein ley kar cheerag ilm wa yakeen, Magar nigah mein rastey key peiench wa kham rakhna, Jo hadesa kabhi guzra tha zalzaley ki tarah, Tammam umar na dil mein is ka gham rakhna
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by amoodi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Kahkhashan key tanazer mein hum kya hamara sittara hey kya, In geenat aaftabon ki akleem mein ek sharara hey kya
amoodi
Guest
 

Bait Bazee

by Radha » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Kya ye munasib hai usey hum haal-e-dil kahey,
Jisko ab khwab se mohabbat nahi rahi.
Radha
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Kya janey kya kheeyal sitam gar mein aagaya, Huleeya badal key aman key lashkar mein aagaya (Akbar Hyderabadi)
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by amoodi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Merey khameer mein piyas thee mujhko piyasa hona tha, Teree shakawat ko to lekin darya hona tha, Jab bhi us key jee mein aayee tod diya hey isney, Dastey khaza mein hum ko ek khilona hona tha
amoodi
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Ra heen mouj urooj wa zawal mein bhi tha, kalee jo phool banee sans ruk gayee meri
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Bhirr ustaad » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

zaroor
Bhirr ustaad
Guest
 

Bait Bazee

by Radha » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Dear Saira, welcome to the board. Rastoan mein na baithoo Hawaa tang karegee,
Bechdee huway logoo ki Sadaa tang karegee,
Mat toot kar chahoo usse Aaghaz-e-Safar mein,
Bichdeyga to ik ik Aadaa tang karegee
Radha
Guest
 

Bait Bazee

by Saira » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Ab ke bichhde tu shayad kabhi khwabon main milaen...jis tarha sukhe hue phool kitabon main milaen
BHAIMIYAN...koi hyderabadi chat site ho tu hamaen bhi bataen
Saira
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Rakhna rakshanda misal mahr tan man, Dil shamah hey is shamah ko roshan rakhna, Sholon mein badal jayegee yeh ishq kee aag, Is aag mein ahsaas ka endhan rakhna
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Bhirr Ustaad: Shuru hojawo zor-o-shor sey.
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Bhaimiya » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Lab pey tahseen magar dil mein bhurayee rakhna, Hey tehzeeb-e-siyasat usey jaree rakhna, Piyaar sey hokey balgeer lubhana sab ko aur pehloo mein chupaey huwey barchee rakhna
Bhaimiya
Guest
 

Bait Bazee

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

\"Kya kaawish-e-noor-o-zulmat hai, kya qaid hai, kya aazadi hai\" - \"Insaan ki tadapthi fitrat ka mafhoom samajh mein aaney lagaa\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 8 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
muddatein beet gayi khwab nahi
Muddatain beet gayien khuwab nahi aate
muddatein beet gayi adab nahi aate hain
hyderabadi bate
Hyderabadi bate
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.