Friday, 29 March 2024 »  Login
in

"Gharelu Nuskhe"

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

"Gharelu Nuskhe"

by Zoya » Tue Jul 02, 2002 8:47 pm

Khawateen O Hazraath Aadab , Jaisa ke aap sab jaante hain hum mein se bohot se log gulf mein ya US mein hain. Mujhe Gulf aaye kuch hi arsa huwa hai. koi bhi choti moti health problem maslan headache acidity etc ke liye doctor ke paas nahi jaate sakte , Yahaan ke doctors ko aap behtar jaate honge ( Masri, Falastini, Arabi) I cant speak arabic and they dont understand English. Aap sab se guzarish hai ke kuch gharelu ilaaj maloom hoto bataein shayad humme se kisi ka bhala hojaaye. Hainaa?
Zoya
Guest

"Gharelu Nuskhe"

by Bhirr Ustaad » Tue Jul 02, 2002 10:22 pm

zoya bibi salam,
ab jab aap itna israar kiye hain to chalo aap ko kuch bata hi diya jaaye.

gar sar shadeed dard karey to ,Biryaani ka gosht Galaaney jo papya istemaal hota hai, wohi papaya barrek pees kar paste banaleiN aur sar par baandh kar dhoop mein theher jaayein. Is sey masla permanent hal hojayega, chunkey sar gal jaayega lehaaza aainda dard naHin hogaa.

Khair mazakh karra tha maiN , kahin sahi aisa kareengey aap to mera loss hojainga (ab woh kaisa mat poochiye)
Nuskha 1) 1 Glass Hot Milk + 2 chamchey Haldi = perfect ilssj for galey ka dard
Nuskha 2)Allergies ke liye local yaani -Maqaami shehed istmaal kijey, issey khaasa faida hogaa
Nuskha 3)Har Marz ki dawa - Bhirr Ustaad
Bhirr Ustaad
Guest

"Gharelu Nuskhe"

by Kalia ka bada bhai » Tue Jul 02, 2002 10:29 pm

Her beemari ki jad Bhirr Ustaad.
Kalia ka bada bhai
Guest

"Gharelu Nuskhe"

by Zoya » Wed Jul 03, 2002 12:02 pm

Bhirr Ustaad salam alaikum, Aapne mujhe Bhai to kehne diya nahi, chalen bhai ka naa sahi maazakh ka hi rishta bana rehne dete hain. Aur haan folks theek pata hoto nuskha likhen warna naalikhen kahin LENE KE DENE NAA PADHJAAYEIN. Ek chota sa nuskha.....Agar kisi ko neend naa aane ki problem hoto sukha dhanya(seeds) khalijiye neend aajaayegi.
Zoya
Guest

"Gharelu Nuskhe"

by Shahed » Wed Jul 03, 2002 7:25 pm

Mai yaan aaaya tha, nusqa loonga bolke ... tum logon ku padhke mere sir mein dard ho gaya...Neem hakim khatre Jaan.
Shahed
Guest

"Gharelu Nuskhe"

by kaahel hyderabadi » Thu Dec 26, 2002 3:11 pm

doctor saahab meray bachhay ko tum dekho zara
oski ankhian daikh leo ,kitna onay beemar hai.

(hakeem)doctor saahab farmaatay hain
pait khaali ho gaya hai,patloon dheela ho gaya
aashikhi ka ho gaya irkhaan, peela ho gaya

kahtay hain

maamta ka aur sri devi ka in bhi faan hai.
akter-e-shairaanvi ka ish khia deevan hai
phir nurse ko kahtay hain
moo mera phik ka hoa ,phlay mujhay tum paan deo
baad main isko zara maajoon e sauranjan deo
kaahel hyderabadi
Guest

Ghrelu nuske

by imran27_4u » Sun Mar 09, 2008 1:42 pm

Dear Zoya

AAp ki baat to sahi hai zuban ki dushwari se sahi ilaj na hone ka andesh hamesh raheta hai,ager aap mail karen to mai kuch nuske aap ko mail kersakta hoon jo main janta hoon
imran27_4u
Registered User

Posts: 8
Joined: Sun Mar 09, 2008 12:24 pm

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 14 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabadi nukse
Hyderabadi gharelu nuskhe
arsa ki gharoi upchar
galey ka marz
nid kidesi dawa
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.