Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Deccani shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Deccani shayeri

by Saira » Wed Jul 03, 2002 12:58 pm

mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain
Saira
Guest
 

Deccani shayeri

by AFZAL » Wed Jul 03, 2002 1:35 pm

Asslam O Alaikum,

Bahut khoob Saira Didi aapka jawab nahin.
AFZAL
Guest
 

Deccani shayeri

by Chaio-Waali-Chunnu-Ka-Baba » Wed Jul 03, 2002 7:19 pm

Aaain ! ye saira didi hai, aapko kaisa maloom Afzal pasha? Kaheen ye MUCHOUN waali didi tou nai hai? Sambhal ke miya aise maamloun mein mat padho .. Mu ke bal gireinge..Kyaa bolna yaaro aaj kal ke pankhoun kooo...Nai Bole Tou Sunte Nai.
Chaio-Waali-Chunnu-Ka-Baba
Guest
 

Deccani shayeri

by Pehchano kaun hoon main » Wed Jul 03, 2002 7:25 pm

Shahed naye naam ke ladduan kidhar hai??
Pehchano kaun hoon main
Guest
 

Deccani shayeri

by Saira » Wed Jul 03, 2002 8:13 pm

Guy in disguise, and chunnu_ka_baba,
Me no guy, I am a lady ;-( Kya babu itta nain pahchante kya aap logan.
Bhaimiyan help me please!!!!!!!
Saira
Guest
 

Deccani shayeri

by pucca hyderabadi » Wed Jul 03, 2002 8:59 pm

Saira baji lagta hai aap ke pass \'Gilli nalgondavi aur Sulaiyman khateeb\'ka kalaam hai.Please share more of this beautiful shayeri with us.Offcourse if anybody knows a site on these two great poets of deccani shayeri please forward i have been looking for quite some time.
pucca hyderabadi
Guest
 

Deccani shayeri

by Dubai Ka Laddu » Wed Jul 03, 2002 9:04 pm

Shahed mubarak ho naya naam magar Dubai Ka Laddu toh khilana padenga.
Dubai Ka Laddu
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 9:09 pm

Arey bhai yeh Saira female hey male nahi. I know her very well since 4-5 months. We used to chat daily on hyderabadtv chat room, I mean myself, Saira, Radha, kc(dammam) and so many other friends. Most of the time our topic is sher and shayeri. She also lives in US like Hina Bahen.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 03, 2002 9:14 pm

Bhaimiya salam-- Aji zara hamareku bi insey milao na , zara introdyuce karao naa ji...... please katey naa....achhey katey naa...hau ....hau .....please hau bhaimiya hau...hau karaonaa ji (Bhaimiyaa ki thuddi ku haath lagate huwe)......LOL
Bhirr Ustaad
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 9:29 pm

Bhirr Ustaad: Kya ghar mein khana pani band karaney ka irada hey, itefak sey aapki bhabi bhi yeh boardan padtien aur bahut hi gour sey padtien jahan pey Bhaimiya ka naam atta aur agar zara si bhi mistik ghaltee sey hogayee tho samjo chuleykhana band (JUST KIDDING). Arey bhai yeh Hina Bahen, Radha aur Saira yeh sub aapki bhabi ki nandan hey. Chalo introduction kara deta hoon aapka Saira sey, Saira yeh Bhirr Ustaad aapkey naye naye chotey bhai hein inhey bhai key tor pey khubool kijiye.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 9:34 pm

Hina Bahen: Ab aapki shikayat door hojana chahiye key board per aap ek hi bahen hey sub bhaiyon mein, abto mashallah kafi baheney nazar aarahee hein jesey, Aap, Radha, Saira aur Zoya (I am sure so many guys are angry on me kyonki meiney in sub ko unkee baheney bana diya hoon).
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Radha » Wed Jul 03, 2002 10:36 pm

BHAIMIYA:jawanoan se hamaari dosti kyaa hui---Taadaad dushmanoN ki badti chali gai
Radha
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 03, 2002 10:39 pm

Bhaimiya Salmalaikum,
Woh to yeh discussion board hai bolkey aap yeh baat boldiyey ke fulan ku bhir ustaad ki behen bana deroun... agar yeh muaamla dubadoo hotaa, aur agar aap log mere kamaal ke alaawa jamaal ku dekhtey to yaqeen mano, jis kisi haseena ka zikr-e-khair karkey aap meri hamsheera qaraar diye unoich aapku goli se uda dete they :)................Waisey mai roz ghar ku baher se waapas aaya to mere kapdoun mey kayi hassneaoun ki nakaam hasrateiN atki hui milti.....Khair Koi batlaaye ke hum batlaayeiN kya.........Khudsitaayi muaaf.................Aap ku agar hamaari value ka andaza karna hai to ek haseen-o-jameel qaabilo-jawaan dosheeza ki ya phir kamsekam uskey waalid ki nazar sey dekhiyey.......LOL
Bhirr Ustaad
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 12:03 am

Radha: Aap sahi boley merey bhi dushmana bahut ho gaye hein aur ab meri jaan khatrey mein nazar aarahee hey.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by saira » Thu Jul 04, 2002 12:55 am

Bhirr ustad: Main samjhti hun ghalti mujh se hui hai. Mujhe pahle apna intro dena chahiye tha. Main bhi aap hi ki tarha yek Hyderabadi hun jisko Hyderabadi tahzeeb aur apne shaher par beinteha naaz hai. Ji haan main shadi shuda hun aur mere 2 bete hain.
Bhaimiyan: mujhe apko pukarna padha apki support ke liye is liye ke aap hi mujhe chat room se jante the (Lala aur KC ghair hazir jo the). Magar aap se yeh ummid nahin thi HAHAHAHA............ / dost kya khoob vafaon ka sila dete hain.. har naye mood pe yek zakhm naya dete hain.
Khair koi baat nahin ab mera tarruf hochuka hai, aur ummid karti hun ke aap log mujhe in message boards par on/off apne nazriyat ya phir shayeri ke section main payenge.
Hyderabad.com par bhaimiyan, KC, Lala,Radha vaghaira se 99% shayeri hi hua karti thi, Chat hum ne bohot kum ki hai.

Kuchh aur badh gaye hain andhere tu kya hua..mayus tu nahin hai tuluye saher se hum..mana ke is jahan ko na gulzar karsake..kuchh khar tu kum kar gaye guzre jidhar se hum
saira
Guest
 

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 12:58 am

Ji Hyderabadi main zaroor koshish karungi un donon shaeron ka kalam hasil karne ki.
Saira
Guest
 

Deccani shayeri

by Lucknowi » Thu Jul 04, 2002 2:33 am

Aap sab hyderabadi bhaiyon ne mil kar urdu jaisee zaban ko gart mein dhakel diya. Kabhi hamare shehar Lucknow tashreef layen. Ye naacheez aapko asli urdu kee tasveer dikhayega.
Lucknowi
Guest
 

Deccani shayeri

by hina » Thu Jul 04, 2002 5:02 am

Adaab Bhaimiya,I\'m definitely pleased to see saira,Zoya and Radha taking part in the boards, although to tell you the truth I\'m a bit confused about Radha the reason being that my husband\'s childhood friend who is a male from kerala has the same name K.RadhaKrishna Pillai. We all call him Radha!I still remember when we were in Saudi he was also in Riyadh, he came to meet us in Jeddah , so I mentioned this to my mother in my letter that Radha who is a friend came to see me , my mother thought that my husband either has a wife or a girlfriend Radha and I\'m trying to hide this from her.It was a big joke in the family!
hina
Guest
 

Deccani shayeri

by hina » Thu Jul 04, 2002 5:06 am

Hi! Saira ,this is hina here. Glad to see a few ladies on the board. Bhaimiya has mentioned that you are also in the US,which part of US do you live ? I hope I get to know you more.This board is my only hobby and I love talking to all of them.
hina
Guest
 

Deccani shayeri

by Khan., » Thu Jul 04, 2002 10:04 am

Aaadab Lucknowi sahab,
Aaap as-haab nahin urdu zabaan ke Aur na ke yeh haq aap ko wirasat hai rishta-e-lucknow se .
Dil ruba to hamari bhi urdu hi hai par kuch alag sa mazaa hai hyderabadi zubaan se.
Be imtiyaaz nazren inayat jo aap farmayen is zubaan per ibtedaa-e-aashiqi na ho jaye to shauq se dil bhar ke shiqayat kar lijeyega huzoor hum se.
Khan.,
Guest
 

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 10:17 am

Hello Hina, Nice to meet you. I live in LA. How about you?
I like it too. Sure why not, I would like to be friend with you.
Saira
Guest
 

Deccani shayeri

by Saira Hyderabadi » Thu Jul 04, 2002 10:20 am

Kuckhnowi sahab, Aadab welcome to the board.Bhai apko apni Luckhnowi Urdu par naaz hai aur humko hamari Hyderabadi tahzeeb aur uski zubaan par naaz hai. Aap kya janen hamari tahzeeb? Kabhi Hyderabad tashreef laiye aur hamain aapki qidmat ka mauqa dijiyega.
Saira Hyderabadi
Guest
 

Deccani shayeri

by Imran khan,. » Thu Jul 04, 2002 10:25 am

rekhta ke tum hi ustaad nahiN ho \"GHalib\"
kahte haiN agle zamane meN koi Meer bhi thA
Imran khan,.
Guest
 

Deccani shayeri

by Khan., » Thu Jul 04, 2002 10:30 am

Tum naheeN fitnaa-saaz sach hahar pur-shor is Gulaam se hai

ko\'ee tujhsaa bhee kaash tujh ko mile
mudd\'A ham ko intaqaam se hai


sh\'er mere haiN sab khvaas pasand
par mujhe guftagoo avaam se hai


sahal hai \"Meer\" kaa samajhnaa kyaa
har suKHan uskaa ik maqaam se hai
Khan.,
Guest
 

Deccani shayeri

by hina » Thu Jul 04, 2002 1:10 pm

Hi saira, I live in Nevada its about 10hr drive from LA.How long have you been here? I would love to talk with you too!
hina
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad biryani khaani ho toh hyderabad jaana hai
khan saab hyderabadi mazahiya show
Gandhiji konsa Sanam Re
sanam re love sairai
kirak hyderabadi imran hair style
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.