Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Deccani shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Re: Deccani shayeri

by TeesMaarKhan » Thu Jul 31, 2008 10:47 pm

Dekho kaisa aaya hai hitech zamana kathey!
khana pakaana nai-to-nai, computer aana kathey!!

Metric padhliye to bus dubai ku jaana kathey!
Riyal, Dirham nahin to Dollar bhot bhot kamana kathey!!

Maa ka Zewar baap ka pension bhi bech khana kathey!
idhar-udhar say kuch bhi karkay amrika ku jaana kathey!!

Metric padhliye to bus doctorni say shaadi karna kathey!
Green card ke waastay kaali peeli ko bhi jhelnaa kathey!!

surat shakal nai-to-nai magar!
ADIDAS, ARMANI, Rado pehenkay chakkar chalana kathey!!

Kamaao, nakko-kamaao shaadi karay tho bus!
Ghar kaisa bhi chalaana katay!!

kabhi gazal, khabi nazam, kabhi sher, kabhi shayari, bolna kathey!
Chhammak chhallow ku Taj mahal nai-to-nai ek villa to hona kathey!!

Pahelwani say jee bhar gaya tow Khaadi pehenke neta Ban jana kathey!
logaan marey to marey magar, Naidu ku-ich vote dena kathey!!

Bhagwaan ku Allah ku bhool ke Mandir-majjid ke wasthay ladna kathey!
Ladke koi marey tho marey kathey, apna raaj hai to kushal mangal kathey!

Khoon kisi ka bahey tow bahay kathey,
apna cold drink hai tho cool-ich rehna kathey!
TeesMaarKhan
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Thu Jul 31, 2008 8:30 pm

Re: Deccani shayeri

by Salaam Alykum Bhai Log » Wed Aug 06, 2008 1:05 pm

Kaise hain aap log, shyairi ja jawab nahin, nai bole to sunte nai...

SHER SHAIYRI MAIN HUM SE NA KARO DAWAAA.

BARHAAL, MERI BHI SHYERI SUNLO NEXT MAIL MAIN

KHUDA HAFEZ
ASZ
Salaam Alykum Bhai Log
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Wed Aug 06, 2008 1:51 am

Re: Deccani shayeri

by Salaam Alykum Bhai Log » Wed Sep 03, 2008 3:39 pm

ASZ wrote:Kaise hain aap log, shyairi ja jawab nahin, nai bole to sunte nai...

SHER SHAIYRI MAIN HUM SE NA KARO DAWAAA.

BARHAAL, MERI BHI SHYERI SUNLO NEXT MAIL MAIN

KHUDA HAFEZ
ASZ


Aapki next post ka intezaar kerte kerte thak gaye na ji :mrgreen:
User avatar
Salaam Alykum Bhai Log
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Deccani shayeri

by Bhaimiya » Fri Sep 05, 2008 9:36 pm

Aapki next post ka intezaar kerte kerte thak gaye na ji :mrgreen:
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Deccani shayeri

by Chan Biskit » Sun Dec 28, 2008 4:28 pm

Are re re re

AREY KULFI MALAI
AMMA BULAI
JAWARI KE ROTIYAN DAAL KO FATIHA DILAI.
Chan Biskit
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Wed Dec 26, 2007 9:53 am

Re: Deccani shayeri

by HH » Wed Feb 25, 2009 6:04 pm

Shahar bada hai
Hum chhote hain
Leaderaan daraatein hain
Hum chhote haun
Shayeraan kahtein hain
Hum dilwaaley hain
Hum badhe hain
Greater Hyderabadi hain!

:D
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Re: Deccani shayeri

by Full2Hyderabadi » Thu Mar 12, 2009 12:00 am

Saira wrote:mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain



Ye jo Shayari hai wo 'Khamakhan' sahab ki awaaz mein suno, khatarnaak expressions

http://www.youtube.com/watch?v=noYzJ79g ... re=related
User avatar
Full2Hyderabadi
Registered User
 
Posts: 9
Joined: Tue Dec 06, 2005 11:30 pm

Re: Deccani shayeri

by ziabhai123 » Wed Jul 01, 2009 6:07 am

salaam bhai youtube per jo post ki hui dekhani mushairoun ke clips hain wo my ne upload ki hain,

pls check www.youtube.com/ziabhai123.

allah hafiz

Full2Hyderabadi wrote:
Saira wrote:mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain



Ye jo Shayari hai wo 'Khamakhan' sahab ki awaaz mein suno, khatarnaak expressions

http://www.youtube.com/watch?v=noYzJ79g ... re=related
ziabhai123
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Wed Jul 01, 2009 5:35 am

Re: Deccani shayeri

by jackiechan » Wed Jul 01, 2009 5:26 pm

Main bhi ek sher phenk raun ye lo

Yahan se madine talak

Yahan se madine talak

Yahan se madine talak

|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|

Sadak!
jackiechan
Registered User
 
Posts: 10
Joined: Sun Jun 14, 2009 3:08 pm

Re: Deccani shayeri

by Ari Kiya toh bhi hai » Wed Aug 19, 2009 7:20 pm

Sher sunata hoon zara ghour se suno
mujse nahin kisi aur se suno...
Ari Kiya toh bhi hai
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Teliraja » Tue Aug 10, 2010 4:07 pm

***
Teliraja
Registered User
 
Posts: 16
Joined: Tue Aug 10, 2010 4:01 pm

Re: Deccani shayeri

by Ghazal » Fri Sep 03, 2010 1:41 am

ہے دل دلنشین فسـوں بے مثال پھولوں کا
نظـر فـريـب ہے حسـن و جمال پھولوں کا

خمارخيـزوه رنگـوں کى عطر بیـزمہک
فـريفـتہ کـرے کيوں نا خيـال پھولوں کا

صبا نے چپکے سے کیا جانئے کانوں میں کہا
حیـأ سے سـرخ ہے اک ایک گال پھولوں کا

عدوجان سبهى ان کےعشوے اورغمزے
ستـم شعـار ہے شـوق وصـال پھولوں کا

ہے رخ پہ ان کا ہنسی اور خار دامن میں
بہـت حسیـن ہے قاتـل یہ جال پھولوں کا

کھلیں ہى صبح سـرشام بکھـرنے کے ليئے
بکھرنا طئے ہے نہ کیجے ملال پھولوں کا

فضأ ہے کس ليئےعنبـرفـشـاں ہمیں معلـوم
بلا سے سب اسےسمجهيں کمال پھولوں کا

يقيں کے دشت میں فکروعمل کے صحرا میں
چلو کے پھول کھـلا ئیـں، ہے کال پھولوں کا

مہک يہ عارضى سانسيں يہ مختصرہاے!
کيـا جـان کاه ! ہے ناظـم مـآل پھولوں کا

خواجہ ناظم الدين ناظم
الخبر- سعودى عرب


Hai dil-nasheen fusooN baymisaal phooloN kaa
Nazar fareb hai husnO Jamaal phooloN kaa

Khumaar khez woh rangoN ki atr-bez mahak
Farefta karay kyuN naa khayaal phooloN kaa

Sabaa ne chupke say kya janiye kaanoN meiN kaha
Hayaa say Surkh hai ek eik gaal phooloN kaa

AdooE jaan sabhi inn k ashway aur ghamzay
Sitam shoa’ar hai showqE wasaal phooloN kaa

Hai rukh pay inn k hansi aur khaar daaman meiN
Bahot haseen hai qaatil ye jaal phooloN kaa

Khilen hi subh sarE shaam bikharnay k liye
Bikharna ta’e hai na keejay malaal phooloN kaa

Fazaa hai kis-liye ambar fashaaN hameiN maloom
Balaa say subb isay samjheN kamaal phooloN kaa

Yaqeen k dasht meiN fikrO amal k sahraa meiN
Chalo k phool khilaa’en, hai kaal phooloN kaa

Mahak ye a’arzi saanseN ye mokhtasar ha’aii !
Kyaa jaan-kaah hai Nazim Ma’aal phooloN kaa
Ghazal
Registered User
 
Posts: 5
Joined: Fri Sep 03, 2010 1:22 am

Re: Deccani shayeri

by farry » Sat Oct 30, 2010 6:45 pm

Walekumassalm,

maki kirkiri, Miya abhi tak button nayee mila kya????
farry
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Sat Oct 30, 2010 6:42 pm

Re: Deccani shayeri

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:28 pm

Ap K Berukhi Ko B Rutba Diya Hum Nay,
Dosti Ka Har Farz Ada Kia Hum Ne,
Mat Sochiye Ga K Hum Bhula Dainge Apko,
Aj Phir Ap Se Pehlay Apko Yaad Kiya Hum Nay…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:28 pm

Jis Ki Qurbat May Qarar Bohat Ta,
Jis Se Milna Dushwar Bohat Ta,
Wo Jo Hathon Ki Lakeeron May Na Ta,
Us Shakhs Se Hamain Pyar Bohat Ta.
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:29 pm

Log Kehtay Hay K Haseen Mar Jatay Hain
To Sitaray Ban Jatay Hain
May Kehti Hu Jab Sitaray Gir Jatay Hain
To Tum Jaisay Dost Ban Jatay Hain…
`
Khuda Na Karay Apko Kabhi Gham Milay,
Khushia Aur Hansi Har Dam Milay,
Jab Kabhi Gham Apki Taraf Aye,
Khuda Karay Rastay May Usay Hum Milay.
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:30 pm

Phool Khushbu K Liye
Pyar Nibhane K Liye
Ankhen Dil Churane K Liye
Aur Yeh Sms Apko Meri Yaad Dilane K Liye…
`
Har Khushi Se Khobsorat Teri Sham Kar Don
Apna Pyar Aur Dosti Tere Naam Kar Don
Mil Jaye Agar Dubara Yeh Zindagi
Har Bar May Yeh Zindagi Tere Naam Kar Don…
`
Kash Khushion Ki Dukan Hoti,
Hum Ko Uski Pehchan Hoti,
Khareed Letay Sari Khushian Ap K Liye,
Chahay Uski Qeemat Hamari Jaan Hoti…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:30 pm

Na chahat hai sitaron ki, Na tamana hay nazaroon ki, Aap jaoisa ek dost mila tu kya zarorat hay hazaron ki..

Umid aise ho jo jeeny ko majbor kare, raah aisi ho jo chanle ko majbur kare. mahak kum na ho kabhi apni dosti ki, dosti aisi ho jo milne ko majbur kare..

Dosti achi ho tu rang lati hai, Dosti gehri ho tu sabki bhati hai, Dosti nadan ho tu toot jati hay, per dost hamse ho tu itihass ban jati hai…

Sabse intelligent koun: TUM , sabse smart koun: TUM sabse storng koun: TUM in sab me TUM se zeyada koun: HUM lakin dunia me sabse acha dost kaun: HUM TUM

Har rishta mila virasat me,phir dosti kyu alag se banai hai..
kyuki baaki rishte banaye khuda ne,
aur dosti khud khuda ki parchai hai…
Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari.
Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 2:11 pm

Har koi pyar k liye tadapta hai.... Har koi pyar k liye rota hai.... Ae dost ye dosti sada kayam rakhna... Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 2:12 pm

Dosti Shayari
Tere Hi Naam

Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge,
Har Pal Aur Pehlu Tere Hi Naam Honge,
Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
Tere Har Kadam Ke Neeche Mere Haatho Ke Nishan Honge….
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Deccani shayeri

by Full2Hyderabadi » Fri Apr 06, 2012 2:58 pm

Hello
User avatar
Full2Hyderabadi
Registered User
 
Posts: 9
Joined: Tue Dec 06, 2005 11:30 pm

Re: Deccani shayeri

by Full2Hyderabadi » Fri Apr 06, 2012 3:13 pm

Ziabhai,
Hope you r doing good.
3 saal ke uppar ho gaye mein login nahi kiya bhai isiliye reply nahi kar paya, lekin jabhi dilkhol kay hasne ka mood hota hai tub youtube pe aap ki post ki huee mushairoun ke clips dekhleta hoon.
Bohut hi badhiya collection hai boss. meray kayee doston ko forward karchuka hoon.
Very nice job dude.

Regards
Full2Hyderabadi




ziabhai123 wrote:salaam bhai youtube per jo post ki hui dekhani mushairoun ke clips hain wo my ne upload ki hain,

pls check http://www.youtube.com/ziabhai123.

allah hafiz

Full2Hyderabadi wrote:
Saira wrote:mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain



Ye jo Shayari hai wo 'Khamakhan' sahab ki awaaz mein suno, khatarnaak expressions

http://www.youtube.com/watch?v=noYzJ79g ... re=related
User avatar
Full2Hyderabadi
Registered User
 
Posts: 9
Joined: Tue Dec 06, 2005 11:30 pm

Re: Deccani shayeri

by pia » Mon Mar 29, 2021 8:08 pm

Sochne se kahan milte hain tamannaon ke shehar,
Chalna bhi zaroori hai manzil ko paane ke liye
pia
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Mon Mar 29, 2021 7:56 pm

Previous                

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 8 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad biryani khaani ho toh hyderabad jaana hai
khan saab hyderabadi mazahiya show
Gandhiji konsa Sanam Re
sanam re love sairai
kirak hyderabadi imran hair style
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.