Tuesday, 7 May 2024 »  Login
in

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 17, 2002 8:02 am

Mehfil ki Qidamt mein Aadab, ek nayi nazm likhney ki koshish ki hai.....kaisi lagi bataiyey zaroor

Din ki is dhoop meiN chaati ho to badal ki tarha

Raat ki aankhoun meiN aati ho to kaajal ki tarha

Muskuraati ho kabhi jhaank key phooloun sey tum

gudgudaati bhi mujhey saaNs ke jhooloun sey tum

ya chanak jaati ho khamoshi mein paayal ki tarha

Zulf ko khul key to chehrey pe bikhar jaaney dey

merii is zeest ka unwaan saNwar jaaney dey

HaaN behek jaane de khud ko zara aanchal ki tarha

Paay-e-Sarkash ko jalaata hua sehraa teraa

Uspey daanaa-i sey uljha huwa chehraa teraa

Hai samajhdaari teri Ishq meiN Haayal ki tarha

Kabsey dhundhli si ek aas liye phirtaa hooN

tishnaa hotouN meiN terii pyaas liye phirtaa hooN

aaa ,key marjaaoN naa Bebas kisi bekal ki tarha

Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

Hogaa maloom nahiN jo tujhey maloom nahiN......

...... Khud ko chaaheygi na gar tootkey paagal ki tarha

Bhirr Ustaad
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by afz » Wed Jul 17, 2002 12:01 pm

jawab nahin bhir ustaad.
afz
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhaimiya » Wed Jul 17, 2002 3:08 pm

Bhirr Ustaad ab samaj mein aaya itney dino sey aap board sey kyon ghayeb the. Kya khasam khaliye the nazam puree karkey board per jawonga. Arey bhai begar nazam key bhee kamazkam ek baar board peh jhank lo. Wesey nazam hey bahut khoob.
Bhaimiya
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 17, 2002 11:42 pm

Shukriya Bhaimiya aapki Hausla afzahi ka behad maskoor-o-mamnoon hoon, Wasiey nazm jab khayaal ki galiyoun se bhataktey huwey kaghaz par aati hai to yeh silsila bas aadhey ek ghantey ki baat hoti hai naakey kuch zyaada. board par naa aney ki wajeh kuch gardish-e-rozgaar rahi...khair Alhamdulilah apni sunaiyey kaisi guzar rahi hai...?maa-baqi sab Khair..alhamdulillah
--Niyaazmand
Bhirr Ustaad
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 17, 2002 11:43 pm

Assalamalikum, Shukriya Afzal Bhai aapko Nazm pasand aayi, khushi hui.:)
Bhirr Ustaad
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jul 18, 2002 2:59 pm

Bahut Khoob Ustaad. Shandaar nazm hai. Jeetey raho. Agli ka intezaar bechaini se rahega.
Kulcha Hyderabadi
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by khajabi » Thu Jul 18, 2002 10:41 pm

kia baat hai mama, bhoot khoob, magar ek baat bataoun, itte nazama, sher\'aan likhdiye, agar ye wakhai aap ke hai to zara uttha ke rakho, ek behtareen book ban sakti, waise aap siasat aur munsif se bhi contact kar sakte, chapne ke liye, aamdani ki aamdani, phir pehchan alag. Magar phir bolroun, takhaloz badal lo...
khajabi
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Fri Jul 19, 2002 5:02 am

Salam khajabi,

Aapki zarra nawaazi ka shukriyaa, waise jo bhi likhroun mai thodi bhot hifazat karleroun, aur yeh ke abhi takhallus yehan par board par bhirr ustaad ich rehne do, sahiri ke wastey kuch au rakhlingey, ab kya mereku bhi padey likhoun ke waisa naa rakhlo boltey kya----jaisa key
\" Khaasim jaan from Chilkalgudaa ---- remember !!!\"...LOL
Bhirr Ustaad
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Fri Jul 19, 2002 5:03 am

Shukriyaa Kulcha Bhai.....aapku pasand aagyi to pass hogai samjho nazm
Bhirr Ustaad
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Radha » Fri Jul 19, 2002 8:53 pm

Bhirr Ustaad, Bahut khub kaha,\"Din ki is dhoop meiN chaati ho to badal ki tarha
Raat ki aankhoun meiN aati ho to kaajal ki tarha\"

Woh is tarah se pyaar ke saboot maangtey hain,
Main jitna pass aati hoon vo door bhaagtey hain.

Kabhi thama mujhko kabhi kheencha apna daaman,
Koi jaakey unsey poochey vo kya chahtey hain.

Jordney ke fan mein maahir vo is tarah huye,
Roz tukrdey tukrdey mein mujhko baantey hain.

Sar-e-shaam meri hasti mita kar rahengey,
Ye maqsad lekar din raat jaagtey hain.

Mere dard-e-zakhm ka karkey vo khyaal,
Ahista ahista khanzar jigar mein utaartey hain.
Radha
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by hina » Sun Jul 21, 2002 1:42 pm

Bhirr bhai, aap bhoth accha likhtay magar hamari urdu itti acchi nai hai dekho aap magar aap agar aaisich likhtay rahay to hum bi kuch sikh jaiingay.I really enjoy your poems.
hina
Guest

EK Nazm -- Main kyun deewana huwa yeh tujhey maloom nahiN

by Bhirr Ustaad » Sun Jul 21, 2002 2:14 pm

Salamalikum Hina Aapa, NAzm pasand farmaaney ka shukriyaa aainda koshish karoonga ke agar koi mushkil lafz ho to uska matlab english mein bhi darj kardoon...........DuaouN ki darkhwaast
Bhirr Ustaad
Guest

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 3 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
ek deewqna nazm
thu hua mein huwa
nazm of ek deewana
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.