Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhirr Ustaad » Tue Jul 30, 2002 11:32 am

Tamaam Bhai BehnouN ki Qidmat me Assalam alaikum,
Nayi Hazal pesh hai ....Hina Aapa aap khusoosan aur baqi sab zaroor bataiye kaisi lagee.

kaisa pallu pakaD ke bhai pasha

unkey nakhrey sambhalraiN dekho

bolee joru to jee huzoori meiN

kaisa gaadi nikaalraiN dekho

uppar aaya so doodh po kachra

aisa hallu ubaalraiN dekho

ghar-jamai banaake betey koo

ghar se gendaa nikaalraiN dekho

pet mey sey shareef bhai janee

kaisa paawaaN nikalraiN dekho

thetarouN mey phiraako joru ku

kaisi izzat uchaalraiN dekho

betiyouN ku pinaa ko jeans paiNtaN

kaisa hangaama paalraiN dekho

jaisey fitna they khud jawaani meiN

waisey pottiyaaN nikalraiN dekho

koi nai hai to dekho khalamma

hasrataaN yun nikaalraiN dekho

handi ka poora gosht showher ku

kaisa chup chup ko daalraiN dekho

aisaa showher sey khel jaari hai

apney poTrouN ku taalraiN dekho

sukkey chiccha ku motey chacchi jaan

kaisa uppar uchaalraiN dekho

Bhaiyo kaisa laga yeh hyderabadi Khaaka zaroor bataiyey.......Faqt Aapka
Bhirr Ustaad
Bhirr Ustaad
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jul 30, 2002 11:53 am

Bahut Khoob Ustaad. Jeetey Raho. Kya Kahne. Sulaiman Khateeb ki yaad dilya diye aap! Haalat-e-hazra ki kya khoob akkasi ki hai apne! mazaa agaya bhyee!
Kulcha Hyderabadi
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jul 30, 2002 12:11 pm

Similar topic per, Sulaiman Khateeb ki ek nazam “Saas Bahu” ke kuch lines ap logon ki khidmat mein pesh kar raha hoon – have fun.

Iney chalti so chaal dekho ji, hontaan kittey hai laal dekho ji, moonh pey ch’hodi so baal dekho ji, kya bichaati hai jaal dekho ji:…Aanch ghar mein laga ko bhaitee ma, ghar ka kompaa duba ko bhaitee ma, woh to potta sadaa ka deewana, poora Bandar bana ko bhaitee ma…..Kya phiratee hai kaisa ghaali hai, ek lattoo ki poori jaali hai……Ujla dekha uchal gaya potta, peela dekha phisal gaya potta, mere haathan se kya karoon amma, saaf poora nikal gaya potta……Kaise jaaley mein isko pakdee hai, admiyan khaney ki ek makdee hai.
Kulcha Hyderabadi
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhaimiya » Tue Jul 30, 2002 8:17 pm

Bahut khoob bhai bhirr ustaad.
Bhaimiya
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by hiNa » Wed Jul 31, 2002 10:05 am

Bhirr Bhai Adaab, Bahoth qoob likha hai aapnay hamesha ki tarah. Isi tarah likhtay rahiye aur hamay hansatay rahiye.Aap ki nazm kay jawab may kuch arz karna chahoongi.Pehli baar hai agar ghalti ho to maaf kardijiye aur correct kijiye.
Aaisa \"ullu\" kaan pay milta hai,
Bhirr Bhai zara bata dijiye,
Hamari qismat to qair phuttich hai,
Hamaray pottiyon ki qismat jaga dijiye.

Kittay qidmataan karko margaii mai,
Ratthi barabar nai ihsaas unko,
Aaisa nashukra showhar ,
Kahan say mil gaya mujhko.
hiNa
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by afzal » Wed Jul 31, 2002 11:05 am

Bhirr Ustad koi jawab nahin.
afzal
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by afzal » Wed Jul 31, 2002 11:08 am

Bhirr Ustad koi jawab nahin. Lage rahiyee
afzal
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhaimiya » Wed Jul 31, 2002 4:55 pm

Hina: Aap bhi acchaiech bol letien, ek baat puchoon ammi sey koyee madat (help) liye kya - just kidding. Bahut khoob.
Bhaimiya
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by afzal » Wed Jul 31, 2002 9:47 pm

Bhai miyan aap ke phone no ka wait karraha hoon.
afzal
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhirr Ustaad » Thu Aug 01, 2002 3:40 am

Salaamalaikum Hina Aapa,
Aapku koshish pasand aayi, sun ke khushi hui.Aap accha likhey magar aisa hai .......Bhai jaani ku nashukra nakko bolo kaiku boleto kaaNka lagaye ,unki phir jaingi,to acchi baat nai hai.Aur jahaN hak bacchiyoun ka sawaal hai , inshaAllah Allah malik hai ,khair ich hoinga uski marzee sey..........:)Apan dhunkey laingey ji lakkhan key duley ...fikar nakko karo aap :)
Bhirr Ustaad
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhirr Ustaad » Thu Aug 01, 2002 3:43 am

Kulchey MiyaN salaam alaikum, Kya chunke laaye yaro--Sulaiman Khateeb ka kalaam , aapke paas koi majmua kalaam hai kya inka, agar hai to bolo apan web pe daalinge ....kya khayaal hai ?
Bhirr Ustaad
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhirr Ustaad » Thu Aug 01, 2002 3:44 am

Shukriyaa Afzal Bhaai !!
Bhirr Ustaad
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhirr Ustaad » Thu Aug 01, 2002 3:44 am

Shukriyaa Bhai MiyaaN
Bhirr Ustaad
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Hina » Thu Aug 01, 2002 11:02 am

Bhaimiya adaab, meray ku yeh bimari bhirr bhai lagai dekho aap.Pehlaich dimaagh mein bhoth cheezaan they so they ab sher shayeri bhi karnay ki koshish karriyoon, mera kyaa honay waala hai ki kyaa hai ki.Ammi say nai poochi qasam say! Aur ek sher likhi raath ku arz hai....Ek nahi hum ku hazaar mil saktay they.... Saaray kay saaray hum pay martay they.....Hum nay unko chuna tha humsafar magar... woh to kisi aur par hi martay they......lol
Hina
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Bhaimiya » Thu Aug 01, 2002 12:52 pm

Hina Bahen: Yeh kya sunarien aap Dulhey Bhai aap pey nahi martey they phir to yeh mahawera unpey purra utartha \"...... ko zafran ki kya khader\" ab yeh dash dash aap bhar lijeye jo munasib samjey, ab mein toh Dulhey Bhai per woh word nahi lik sakta aap apnee marzi jo chahey likh lijiye (jesey Sher ko, Babar ko, Mor ko, Kabutar ko aur aap unsey ghusey mein hein toh aap ki marzi)!lol
Bhaimiya
Guest

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Tipu » Sun Oct 26, 2003 3:43 am

zabaan-e-hind hai urduu

zabaan-e-hind hai urduu to maathe kii shikan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[shikan = frown]

merii mazaluum urduu terii saa.Nso.n me.n ghuTan kyuu.N hai

teraa lahajaa mahakataa hai to lafzo.n me.n thakan kyuu.N hai

agar tuu phuul hai to phuul me.n itanii chubhan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[mazaluum = oppressed; ghuTan = suffocation]

[lahajaa = style/manner; thakan = fatigue]

ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai

ye diivaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai

magar ye dil kii dha.Dakan aaj kal dil kii jalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

ye naazo.n se palii thii miir ke Gaalib ke aa.Ngan me.n

jo suuraj ban ke chamakii thii kabhii mahalo.n ke daaman me.n

vo shah-zaadii zabaano.n kii yahaa.N be-anjuman kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[be-anjuman = without a gathering/assembly (alone)]

muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate hai.n mahafil me.n

ke is ke vaaste jazbaa hai ham-dardii kaa har dil me.n

magar haq maa.Ngane ke vaqt ye begaanaapan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[elaan = proclaimation; jazbaa = feeling; ham-dardii = sympathy]

[begaanaapan = indifference/aloofness]

ye doshiizaa jo baazaaro.n se iThalaatii guzaratii thii

labo.n kii naazukii jis kii gulaabo.n sii bikharatii thii

jo tahaziibo.n kii sar kii o.Dhanii thii ab kafan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[doshiizaa = young girl; naazukii = delicacy; tahaziib = culture/etiquette]

[o.Dhanii = veil; kafan = shroud]

muhabbat kaa agar daavaa hai to is ko bachaao tum

jo vaadaa kal kiyaa thaa aaj vo vaadaa nibhaao tum

agar tum raam ho to phir ye raavan kaa chalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

Tipu
Registered User

Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Ehtram » Wed Nov 26, 2003 5:17 pm

As Salaam Alaikum Dear Sister Hina

I just wanted to say Ramazan Ki Eid Mubarak to you and all your family. I know I have contacted you after a long time. I am still around in Saudi Arabia while wife and kids are in Hyderabad just completing their education. Just want to let you know that I am alive. Kh. Hfz. Ehtram
Ehtram
Registered User

Re: zabaan-e-hind

by ramani » Wed Jan 07, 2004 12:29 pm

Tipu saab

Bahut Khoob , janaab ye aapki khud ki hai ya kisi aurki ?

Jis ki bhi ho , Bahut Behtreen hai. Bahut Pasand aayi.

Aur mashaallah. Yeh Dakhani Mehfil tho kamal ki mehfil hai, Hum issey mehroom they aur howley ki tharah chattaN karte they, Aaj kal mai Roz ek baar Dakhni Mehfil dekhoonga.
Hi , I am ramani, Fm Hyderabad. Luv Music, Inrenet, Chatting and eating out. High sense of Humour, Don't Mind If I make a one-liners on you. I can't hold myself, If I have to. LOL meet ya soon.
User avatar
ramani
Registered User

Posts: 3
Joined: Wed Jul 03, 2002 10:40 pm
Location: Hyderabad

by salam alikum » Sun Jan 11, 2004 5:45 pm

aisa maloom horai ke main charminar ke niche kadha hun

dakhni shaeri chalne deo

bhot maza arai
salam alikum
Registered User

apna khoon apna hi hota hai

by FB hyderabadi » Mon Feb 02, 2004 5:40 pm

Machhar ne kata to dil mein junoon thha,

Khujli itni huee, ki dil besuqoon thha,

Pakda use phir bhi jaane diya, Ye soch kar...

Ki kambhakht ki ragon may apna hee khoon thha
FB hyderabadi
Registered User

Posts: 25
Joined: Tue May 27, 2003 5:55 pm

Re: Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by Shakeeb » Sun Apr 02, 2006 3:35 pm

This is a peom by Manzar Bhopali, there is another one on Urdu by Lata Haya. Inshallah, i will try to post it here soon..

Tipu wrote:zabaan-e-hind hai urduu

zabaan-e-hind hai urduu to maathe kii shikan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[shikan = frown]

merii mazaluum urduu terii saa.Nso.n me.n ghuTan kyuu.N hai

teraa lahajaa mahakataa hai to lafzo.n me.n thakan kyuu.N hai

agar tuu phuul hai to phuul me.n itanii chubhan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[mazaluum = oppressed; ghuTan = suffocation]

[lahajaa = style/manner; thakan = fatigue]

ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai

ye diivaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai

magar ye dil kii dha.Dakan aaj kal dil kii jalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

ye naazo.n se palii thii miir ke Gaalib ke aa.Ngan me.n

jo suuraj ban ke chamakii thii kabhii mahalo.n ke daaman me.n

vo shah-zaadii zabaano.n kii yahaa.N be-anjuman kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[be-anjuman = without a gathering/assembly (alone)]

muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate hai.n mahafil me.n

ke is ke vaaste jazbaa hai ham-dardii kaa har dil me.n

magar haq maa.Ngane ke vaqt ye begaanaapan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[elaan = proclaimation; jazbaa = feeling; ham-dardii = sympathy]

[begaanaapan = indifference/aloofness]

ye doshiizaa jo baazaaro.n se iThalaatii guzaratii thii

labo.n kii naazukii jis kii gulaabo.n sii bikharatii thii

jo tahaziibo.n kii sar kii o.Dhanii thii ab kafan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

[doshiizaa = young girl; naazukii = delicacy; tahaziib = culture/etiquette]

[o.Dhanii = veil; kafan = shroud]

muhabbat kaa agar daavaa hai to is ko bachaao tum

jo vaadaa kal kiyaa thaa aaj vo vaadaa nibhaao tum

agar tum raam ho to phir ye raavan kaa chalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai

Shakeeb
Registered User

Posts: 4
Joined: Mon Oct 20, 2003 7:22 am
Location: Jeddah, Saudi Arabia

Re: Dakkni Shayeri -- aisaa showher sey khel jaari hai

by khichdikhatta » Wed Mar 12, 2008 12:19 am

zabbardast hae ustad,jiyyo,kaanse nikal ke likhe yaro maaki kirkiri ek naich baat likhdiye 'sukke chichha ku moti chachi kaesa uppar uchhalrein dekho' waah waah kya baat hae
khichdikhatta
Registered User

Posts: 6
Joined: Wed Feb 06, 2008 4:41 pm

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 12 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
dakni nazmain of sulaiman qateeb
suleman khateeb mazmua
Makdi Jaal khujli
sulaiman khateeb saas bahu nazm
Lata Haya ki Eid ki Nazam
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.