Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by Bhaimiya » Sat Aug 10, 2002 11:03 pm

Hey baja halkey zawaj mein mashoor hoon, Tera bera, tera dhobi tera mazdoor hoon mein, Zan mureedee ka sharf pa key bhi ranjoor hoon mein, Khisaa dard sunatoon hoon key majboor hoon mein, Meree makahdama merey gham ki hikayat sun ley, Naz bardaar sey thodi ses shiyakat sun ley, Zaccha ban ban key budjet mera ghataya toh ney, Har naye saal naaya gul hey khilaya toh ney, Apna showroom merey ghar ko banaya toh ney, Jismein har rang ka model sajaya toney, Ghora bhi hey - kaala bhi - kaana bhi hey kaanee bhi, Is mein enlgish bhi hey deysee bhi hey japani bhi hey, Rishtedaaron ney terey jaan meree khayee hey, Foj ki foj mere ghar mein jo dar aaye hey, Koyee mamu - koyee khalu hey koyee bhai hey, Baat kheney ki nahee to bhi to harjayee hey, Kesey ghurbat mein mein paloon terey ghamkharon ko, In mahmoolon ko shabaloo key chadee maroon mein, Kis khadar tujh pey ghiraan subah ki beydaari hey, Ut key chuley ki taraf jana tujhey bharee hey, Mujh sey kab piyaar hey - neend tuhey piyaari hey, Toh hi khey dey yahi inaam wafadari hey, Mein shauhar hoon key khud aag jalayee jis ney, Lakey bistar pey tujhey chai pilayee jis ney, Toh hi keh dey key teraa husn nikhara kis ney, Is blackout sey mukhdey ko sanwara kisney, Kon terey liye darzee sey gharara laya, Wastey dey key gharebee ka khudara laya, Phir bhi mujh sey yeh ghila hey key kamata kham hoon, Ley key shopping keyliye tujh ko mein jaata kam hoon, Nawajawani mein tujhey aaesh kharata kam hoon, Aur palaza mein tujhey film dikhata kham hoon, Kash notton sey hukamat meree jabein bhar dey, Mushkil shohar mazloom ki aasaan kardey, Mahfil shar wa sukhn mein to chamak jata hoon, Teree sarkaar mein pahonch to dubak jaata hoon, Toh jo balgam bhi khankarey to thitak jaata hoon, Ghoor kar dekhey toh pihchey ko sarak jaata hoon, Phr bhi mujh sey yeh ghila hey key wafaadaar nahi, Toh hey bey kaar terey paas koyee car nahi
Bhaimiya
Guest
 

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by ajeeb Hyderabadi » Sun Aug 11, 2002 10:51 am

Wha wha wha wa wa wa...Kya kehna.......

IS Dour se kiss ki dasteybardari hai.......
aaj tumhari to Kal hamari bari hai.......
ajeeb Hyderabadi
Guest
 

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by hina » Mon Aug 12, 2002 3:25 am

Adaab Bhaimiya, Wah wah kyaa chun chun kay laatay aap . zabardast hai , pichli waali Rahmat ki barsaat bhi mujhe rula gai. Bhoth pyaari nazm thi aur bilkul sahi.
hina
Guest
 

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by Bhaimiya » Mon Aug 12, 2002 1:52 pm

Salamaleikum, jhuk jhuk key aadaab aur shukriya Hina Bahen.
Bhaimiya
Guest
 

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by Saira » Tue Aug 20, 2002 1:52 pm

Bohot khoob
Saira
Guest
 

Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by Bhaimiya » Tue Aug 20, 2002 5:07 pm

Shukriya Saira.
Bhaimiya
Guest
 

Re: Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by rhamtumiyan » Fri Oct 30, 2009 11:49 am

Uruuj-e-naukraani-e-khaaki se begum sehme jaate hain...
ke ye toota huaa taara.......meh-e-qaamil na ban jaaye..! :wink: :idea:
rhamtumiyan
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Tue Oct 20, 2009 5:17 pm

Re: Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by Zarqa » Fri Oct 13, 2023 11:40 pm

Iqbal is my favourite poet and shikwa, jawab e shikwa is his masterpiece
Zarqa
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Fri Oct 13, 2023 11:38 pm

Re: Jawab-Shikwa-E-Shauhar by Usman Warsi

by intezaar » Tue Oct 17, 2023 11:40 pm

sur e toor ho, sur e hasher ho, humme intezaaar qabool hai
intezaar
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Fri Oct 13, 2023 11:38 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
usman warsi shikwah
mazloom shohar
shikwa-e- shauhar by usman warsi
discussion on shikwa
usman warsi
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.