Thursday, 18 April 2024 »  Login
in

Hyderabadi Dastarkhan

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Hyderabadi Dastarkhan

by Hari Boot » Sun Aug 03, 2003 9:06 am

Hyderabadi logon say guzarish hai kay aap yahaa par apnay pasand kay khanay kay chizon kay baray may kuch bataiyay. Mai shoroo kartaa hoon. Mayray ku sab say zyada hari boot pasand hai. Bandi walay say hari boot lay kay bhun kay khai to kyaa mazza ataa. Abi to mai Hyderabad say bhot door rehta hoon aur yaa California mai hari boot nai milti. Magar abi bee bachman may patang uda nay kay mausam may jo hari boot kahatatay thay wo mai aaj bee nai bhul sakta. Ab aap ki bari.
Hari Boot
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by BirbaBoti » Sun Aug 03, 2003 9:12 am

HariBoot Mian, aap ki baat sun ke mere ku bhi kuch yaad aayi. Mathimila dimaagh barabar nai chalta magar phir bi thoday bataa yaad hai. Jab hum logaa college may thay to hamara driver roz char baje Women\'s College say lay kay hum ku ghar lay jaata tha. Mai usku bolti thi kay pailay zara Sheraan kay paas chal aur hum logaa waa pay faluda pi thay. Aji kya faluda hota tha abi bi sonch kay moo mitha hota. Zamanay ki baat hai, kuch tees sal pailay magar abi bee sonchtayich moo may faluday ka mazaa aajata.
BirbaBoti
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by shaikh » Sun Aug 03, 2003 2:04 pm

hey guys, grammar ki galli mein remember the bhooni huwi phalli wala with misri, and baraf ka gola with khuwa. Olympia ki chai and the juke box...bun maska at berry\'s and bombay bakery.. kya baat hai ustaad. Oh and movies at skyline and masaala chai at mohini....and don\'t forget the meeting point at abid\'s taj..(besides their immaculate dosas)
shaikh
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by BM » Sun Aug 03, 2003 4:34 pm

Puraney batan nakko yaad dilawo boley toh samaj mein nai aata nai, phir sey woh school aur college key suhaney din yad dila diye nai tum logan. Chalo ab yaad dila diye toh mein bhi kuch mooh sey bol hi deton. College key zamney mein aur mera ek dost dopaher ka lunch hotel mein kertey they aur luch mein ek ek roti \"fry mutton\" key salan key saat, single biryani aur phir uskey baad chai, kya maza aata tha yaro mooh mein pani agaya dekho.
BM
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by BM » Sun Aug 03, 2003 4:35 pm

Jaib zara khali rahi toh phir apna \"Dosa aur Idli\" zindabad thi dekho.
BM
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Atul » Sun Aug 03, 2003 8:24 pm

woh din bhi kya din the!! woh koti mein GOKUL CHAT khana, woh mozamjhahi market ke paas, saste mein FAMOUS ICE CREAM ki thandak, KARACHI BAKERY ka biscuit. woh TANK BUND ke uppar chudwa khana!! woh PULLA REDDY ke pure ghee ke mithayi!! woh exhibition mein 2 rupay ko GEVAR aur woh half cooked POP CORN. woh tik-tik ki awaz, woh rang bhi range phugge, woh 1 rupay ka hanging ball, hai koyi lauta de woh suhane din.
Atul
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by DulhanBee » Sun Aug 03, 2003 9:18 pm

Hum char behnaa Secunderabad may Penderghast Road pay rehtay thay. Hamaray ghar may ek chowkidaar kaam karta tha. Kabhi kabhi chowkidar sendi pi kay aata tha. Hum log usku boltay thay kay thoda chakna la. Kya chakna tha moo may mirchi say chalay aatay thay. Magar mazaa bhi bhot ata tha. Abbajaan ku malum pada to bhot ghussay may atay thay.
DulhanBee
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by ChoteNawab » Sun Aug 03, 2003 10:11 pm

Bachpan ka khanay ka maza jo hota us ki baat abi aati ich nai. Hamaray Ammi kay ek khala, Attiya Aapa Kachiguday may rehtay thay. Unkay haat ka baisan kya hota that bolnay ku bi nayi ataa. Un ka ek howla baita Shabeer hota tha. Shabeer kidar say padosiyo kay jhad say falsay thod kay laata tha. Kya falsay thay. Ek wakhat hum sab bacchay Shabeer kay saath gayay aur pakday gaye. Kya pitayi hui Abba say kyaa boloo abi tak sonch kay pichchay dard hota. Magar woh dinoy kay khanay ka mazaa aur ich thaa. Ab hum ku yaa Amrica may waisaa khana kaa miltaa.
ChoteNawab
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by CyrusHyderabadwalla » Sun Aug 03, 2003 10:18 pm

I grew up in Secunderabad in the Parsi Colony. Once when my brother and I went to stay with Freni Aunty in the Parsi Agyani on Tilak Road in Hyderabad, Freni Aunty made some patrel for a bridge party with her Parsi friends. We ate all the patrel before the friends came and then hid all evening behind the Fire Temple. We got into a lot of trouble but it was worth it. I am told that there are some places in New Jersey that make good patrel. Does anybody know?
CyrusHyderabadwalla
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by HALLim » Mon Aug 04, 2003 3:22 pm

arrey bhai log (thode behna bhi) tum to tali hui mirchi ku bhool gaye.. zabaan jal jaata thha par kya mazaa aata tha rey bhai(behan?)...
HALLim
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by b. » Mon Aug 04, 2003 6:13 pm

yaa, that\'s true.

I remember after the usual soccer or cricket practice we used to blast the mirchis, chand biscuits, ginger biscuits, bananas, chai or malai-dudh.

so-small things used to be damn-tasty and stisfying those days.
b.
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by sara » Tue Aug 05, 2003 4:03 am

aaray aap log asal hi bhoolgayee na ramzan kay mahenay mai woh Haleem Haris khana aur ramzan ki shopping charminar per wow yaad karay to ich kitna ki accha lagra,yeh per ek say ek alishan malls hai but charminar kay galliyoo ki baat hi kuch aur thi....
sara
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Arch » Tue Aug 05, 2003 4:29 am

HARI BOOT BHAI, U R IN FOR A TREAT TOO ! WE DO GET HARIBOOOT IN CA. MEIN YAHAN FREMONT MEIN RAHATI HUN AUR AJUBAJU KE SABHI INDIAN STORES MEIN HARIBOOT MIL RAHI HAI ABHI. MEIN LAAYI THI BHARAT BAZAR SE LAST WEEKEND, W/ THE SKIN. AUR TALLI THI THODI SI GARAM TEL MEIN, TEZ AAG PAR, UNTIL IT BECOMES LIGHTLY BURNT, VERY LIGHT. AUR USSMEIN ADD SALT AND MIRCH PWD OVER THE UNSKINNED HARIBOOT. EAT IT W/O REMOVING THE SKIN.. ARRE BHAYI KYA KAR DIYYE AAP !! MERE MOOH MEIN THO PAANI AAGAYE !! I AHVE TO GO GET MYSELF HARIBOOT TODAY !! HAVE FUN.
Arch
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 05, 2003 11:11 am

Welcome back Hina Didi....Hari boot to bahut common hai.. zara yeh bataiyeh kya apkey Freemont mein, Gengul, Singadey, Rataalu...miltey kya... accha yeh Arch ka kya matlab hai??
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by shaikh » Tue Aug 05, 2003 3:03 pm

one clarification

as far as hariboot, we didn\'t much care since it was thought to be a female type of chirdandi.

but whatever we could afford in charaane aathane, like tamata, kheera, gajar, tarbooz and so on.
shaikh
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by BM » Tue Aug 05, 2003 4:48 pm

Welcome back Kulcha Hyderabadi after so long.
BM
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Arch » Tue Aug 05, 2003 6:42 pm

kulcha bhai, yeh hina didi nahin hai, mein iss board par kayin naam se likhtee/liktha hun. I chose this name so that my postings are NOT read w/ a bias of knowing that I am a woman/man, but just as a person where I feel that a posting shud be read unbiased. My guess is that I gave in several times as to who I am :)) but that\'s ok. its fun, anyways to be able to be one among the large family of fullhyd.com. haan, kulchabhai, sab kuch milthi hai yahan, if not fresh, we get frozen. except for our families and the comfort of our own hyderabad and our india, we get evrything here. haan, sitaphal nahin dikhi abhi tak !! I have NOT had sitaphal since ages !! i never came to india during the winter months ! I guess we can have the seeds of those fruits here, nai? and.. whatelse do we NOT get here.... i will try to recollect and let u kno, ok? aadaab.
Arch
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Arch » Tue Aug 05, 2003 6:49 pm

arre arre shaik bhai, really !!? u missed out on so much FUN ! u taste the tallee hui hari boot (unskined) w/ salt and mirch, aur tab bataye bhayi, ke woh aurat/mard ki cheez hai yah, bus, mazedaar cheez hai, khaane ki.
Arch
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Faheem » Tue Aug 05, 2003 11:43 pm

hey hey hey Kulcha Bhai! aap kahan rah gaye the? bhai aapko wapis dekh kar dil khush hogaya. bhai ap gaib math hojana. aur haan, aap jisko Hina didi samajh rahe hai woh woh nahi hain. Arch to Arch hain jo kuch dinon se yahan par kafi \"active\" hain.
Faheem
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by HariBoot » Thu Aug 07, 2003 8:25 am

Sab ke baton say mazaa aagaya hai. San Francisco may Whole Food grocery store may Charamoya naam ka ek phal milta hai jo ke bilkul sitaphal say milta julta hai. Kuch do teen mahinay pehlay mila, abhi shahyed uska mausam nahi hai.
HariBoot
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Chooran » Thu Aug 07, 2003 8:28 am

Array aap logaa subkuch yaad karay magar subsay badi acchey cheez ku koi bi nai yaad karay. Mere naam say pehchaan liyjiyay wo kya cheez hai.
Chooran
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Mayavi Morpheus » Thu Aug 07, 2003 10:35 am

Hay haye woh Biryaani.....

Woh Mirchi bajji and cut-mirchi stuffed with onion....

Cafe lo 1 rupee samosa...

Jubili hills check post daggara pani puri + chat...

hmmmm......

May the Fries be with you!
Mayavi Morpheus
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by Kulcha Hyderabadi » Thu Aug 07, 2003 12:42 pm

Mode (street corner) ki buddi ke paas ke til ke laddu, gulguley, bhajiyeh, chaney, kamar-ghat, balfam, chaney ke laddu, ganney ke pieces, chibbiyaaN (lol), murkul......10 naye paise mein eid ho jati thee! phir uskey baad, bandi pey baraf ke laddu khovey ke saath, narangee mein churan, baal buddi (cotton candy), aur phir apna wo \"Tar Tar\" wala. The guy who used to make candy wrist watches, rings, bangles!!!...yaad aya kuch??
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Hyderabadi Dastarkhan

by ek humdard » Thu Aug 07, 2003 1:46 pm

ber ber gengul pani wala munjul bas sirf ek gana gane ko dil kartha hai aaj bhi yeh daulath bhi lelo yeh sharauth bhi lelu lekin mujhko lautado who bachpan ka swan woh kagaz ki kasthi really jo guzargaya woh kyun nahi aatha phir ,maii malakpet maii rahtha thha humare bikul phas hi mumtaz college hai hum saab fajar ki namaz ke baad asafia school urdu classes ke liye jaya karthe thhe wahni mumtaz college ke compound maii ek bada sa imli ka jhad hai bas urdu class hothe hi hum saab nikal padthe uss jhad ki aour aur bas puchho maath jo chugar(new leaves of tamrind tree) aur imli tod kar khane ka maza hi kuch aur thha aur barish ke mosaam maii wahni pas hills ground hai bas puchho maath saab hari hari hariyali maii birba booti dhund ne nikla padthe thhe kiya thume yaaad hai hahahaha
ek humdard
Guest

Hyderabadi Dastarkhan

by BM » Thu Aug 07, 2003 3:10 pm

ek humdard: Kya yaad dila diye bhai \"B Blocks\" ku phir sey yaad dila diya na aap.
BM
Registered User

Next

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shaadi ka Muslim log Tandoori Biryani khana dikhaiye
subashitam sa milta julta koi char shlok
common name of hari boot
heydrbad ki mashur cheez
25/6/05 sunday ko kya tha
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.