Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Shayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari

by b. » Thu Aug 21, 2003 12:15 pm

Kulchay kay naam -

Dil kay aaine may hai tasveere yaar,

Jab zara gardan jhukaali dekhli...
b.
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Thu Aug 21, 2003 1:08 pm

b ke naam -

Ek Kamee thee Tajmahal mein

Maine teri tasveer lagaa di!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Thu Aug 21, 2003 6:21 pm

Aadaab all of you.

Tere paas aane ko ji chaahataa hai

Naye zakhm khaane ko ji chaahataa hai

Idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum

Gazal gungunaane ko ji chaahataa hai

Zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai

Tujhe aazamaane ko ji chaahataa hai

Vahii baat rah rah ke yaad aa rahi hai

Jise bhuul jaane ko ji chaahataa hai

Labon par mere khelta hai tabassum

Jab aansuu bahaane ko ji chaahataa hai

kai martabaa dil pe bijli girii hai

Magar muskuraane ko jii chaahataa hai

Takalluf na kar aaj barq-e-tajalli

Nasheman jalaane ko ji chaahataa hai

Rukh-e-zindagi se naqaabein ulat kar

Haqiiqat dikhaane ko ji chaahataa hai
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Thu Aug 21, 2003 7:11 pm

Bahut Khoob Humdum - Kya kahney!

Khush Aamadeed - Ek aur member ka izaafa hamarey liye ba\'as-e-masarrath hai.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by brunette » Sat Aug 23, 2003 11:04 am

Bilkul sahi farmaye kulcha. Yeh sher hamri taraf se hai.

Tapash suraj ki hoti hai

Jalna zameen ko partha hai

Kasoor ankhon ka hota hai

Tadapna dil ko partha hai

Enjoy it!!!
brunette
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Sat Aug 23, 2003 12:23 pm

Aap ke liye jawab Brunett:

Har sahil ko kinara mat samjho,

Har dost ko sahara mat samjho,

Nazar nazar ka faraq hai yaro,

Har nazar ko ishara mat samjho.
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sat Aug 23, 2003 12:53 pm

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtey ho Faraaz

Dost hota nahin har haat milaney wala!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Sat Aug 23, 2003 9:42 pm

Aadaab dosto! Thanks for your compliments and a complete ghazal from \"AHMED FARAAZ\". Hope you enjoy it, especially dear \"Kulcha bhai\"

Dost ban kar bhi nahien saath nibhaanevaalaa

Vahi andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

Ab ise log samajhte hain giraftaar meraa

Sakht nadim hai mujhe daam mein laanevaalaa

Kyaa kahein kitne maraasim the hamaare is se

Vo jo ik shakhs hai muunh pher ke jaanevaalaa

Tere hote hue aa jaati thi saari duniyaa

Aaj tanhaa hoon to koi nahien aanevaalaa

Muntazir kis kaa hoon TuuTi hui dahleez pe main

Kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa

Main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte

Hai koi Khvaab ki taabeer bataanevaalaa

Kyaa Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itnaa

Hai vahi mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho \'Faraz\'

Dost hota nahin har haath milaanevaalaa
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sat Aug 23, 2003 10:54 pm

Wah Humdum wah - bahut khoob. Ahmed Faraaz ka kya kahna, mere favorite shayaron mein se ek hai Ahmed Faraaz saheb. Bahut bahut shukriyah itnee acchi ghazal post karney ka.

Dukaan ko shutteran laganey wala tha ke apki posting dekhne ka ittefaq huva. Tabiyat khush ho gayee. Ab isee ghazal ko gungunatey huve, apni khatari cycle par danda martey huvey, apney shabistan ki taraf rawana hota hoon! - Shab bakhair. - Tu Khuda hai na mera ishq farishton jaise, dono insaan hai to phir kyoon itney hijabon mein milein.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 24, 2003 3:23 pm

Rowshni chaand say hotee hai, sitaraoun say nahi.

Dosti aik say hoti hai, hazaaroun say nahi.
shaikh
Registered User

Shayari

by BM » Sun Aug 24, 2003 4:32 pm

PHOOL KI FERYAAD -

Kya khata thi meri zalim tu ney kyun tohda mujhey

Kyun na meri umar hi tak shaak per choda mujhey

Jaanta agar is hansi key dard naak anjaam ko

Mein hawa key gud guda ney sey na hansta naam ko

Shaak ney aaghosh mein kis lutf sey paala mujhey

Tu ney milney key liye bistar pey la dhala mujhey

Tu ney meri jaan li dam bhar ki zeenat key liye

Ki jaafa muj per fakht thodi si farhat key liye

Dekh merey rang ki halat badal janey pey hey

Patti patti hochali bey aab murjhaney pey hey

Jis ki ronak tha mein bey ronak woh dhali hogayee

Haif hey bachey sey maa ki ghodh khaali hogayee

Titliyaan bey chein hoon gi jab na mujh ko payien gi

Gham sey bhonrey royeingey aur bulbulien chillaien gi

Doodh shabnam ney pilaya tha milli woh khaak mei

Kya khabr thi yeh key hey bey rahem gulchien taak mei

Mahr kheta hey meri kirno ki sab mehnat gayi

Maah ko gham hey key meri di huwee ranghat gayi

Deed-o-heyraan hey kayari, baghbaan key dil pey daag

Shaak roti hey key hey gul huwa mera chiraag

Mein bhi faani tu bhi faani sab hein faani duhr mein

Ek khiyamat hey magr margey jawani duhr mei
BM
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 24, 2003 7:17 pm

Aye mere hum nasheen ab kahin aur chal,

Iss chaman mein ab apna guzara nahin.
shaikh
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 24, 2003 8:23 pm

Gulshan ki fakhat phoolon se nahin, kanton se bhi zeenath hoti hai

Jeeney ke liye is duniya mein, gham ki bhi zaroorat hoti hai
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Sun Aug 24, 2003 8:25 pm

\"Behzad Lukhnuwi\"

Diwaanaa banaanaa hai to diwaanaa banaa de

Warnaa kahin taqdeer tamaashaa na banaa de

Aye dekhnewaalon mujhe hans hans ke na dekho

Tum ko bhi mohabbat kahin mujh saa na banaa de

Main dhuundh rahaa hoon meri wo shammaa kahaan hai

Jo bazm ki har cheez ko parwaanaa banaa de

\"Behzad\" har ek jaam pe ek sajdaa-e-masti

Har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaan naa banaa de
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 25, 2003 9:19 am

\"Kaif Bhopali\", tum se na mil key khush hain!

Tum se na milkey khush hain wo dawa kidhar gaya

Do roz mein gulab sa chehra utar gaya!

Jaan-e-bahar tum ne wo kantey chubhoye hain

Main har gul shagufta ko chooney se dar gaya

Is dil ke tootney ka mujhe koyee gham nahin

Accha huva ke paap kata, dard-e-sar gaya

Main bhi samajh raha hoon ke tum tum nahin rahey

Tum bhi yeh sonch lo ke tumhara Kaif mar gaya
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Baqtiar » Mon Aug 25, 2003 11:08 am

Salaam alai kum,

Yaar hum bhi mu mein zubaan raktey hai. Mulahiza farmaiye.

Tappebaz aur Kulcha, kyun ke apdone ne ziyada aashaar yahan post kiya hai isliye ap dono se mukateeb hoon.

Chehrey per banawat ka gussa,

Aankhon say chalakta pyar bhi hai,

Is shauq-e-ada ko kya kahiye,

Inkar bhi hai iqraar bhi hai.
Baqtiar
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 25, 2003 1:15 pm

Arreyyy... Yeh to Bhaimiya (BM) ki trade-mark ghazal thee! Chalo koyee baat nahin... Ab aap bhi suna diyeh... Accha hai!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Mon Aug 25, 2003 4:10 pm

Baat chali teri aankhon se jaa pahunchi paimaane tak

Kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhe maikhaane tak

Ishq ki baatein gham ki baatein duniyaa vaale karte hain

Kis ne shammaa kaa dukh dekhaa kaun gayaa paravaane tak

Ishq nahin hai tum ko mujh se sirf bahaane karti ho

Yuun hi bahaane qaayam rakhnaa tum mere mar jaane tak

Itnaa hi kahnaa hai tum se mumkin ho to aa jaanaa

Aa hi gaye to ruknaa hogaa aankhon ke pathraane tak
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 25, 2003 8:28 pm

Ishq nahin hai tum ko mujh se sirf bahaane karti ho

Yuun hi bahaane qaayam rakhnaa tum mere mar jaane tak

Bahut khoob. Ek zamaney ke baad itna khubsoorat aur dil ko choo lene wala shayr sun ne ko mila hai! Bhai, shukriya.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Radha » Tue Aug 26, 2003 12:23 pm

Jis ney daman thama hoga,

Phool nahi woh kanta hoga.

Bheegey bheegey lafz hai khat key,

Likhney waala roya hoga.
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 26, 2003 12:33 pm

Radha - Welcome back! Indeed a pleasant surprise. Good to see you again.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Radha » Tue Aug 26, 2003 1:02 pm

Shukriya Kulcha bhai aur adaab. meri taraf sey sabhi logoan ko adaab.
Radha
Registered User

Shayari

by Radha » Tue Aug 26, 2003 1:21 pm

Shukriya Kulcha bhai aur adaab. meri taraf sey sabhi logoan ko adaab.

Baat fhir se chedi hai unse, ise humari majburi sna samajna,

Dil ki gheheri chot ko hamari kamjori na samajna.
Radha
Registered User

Shayari

by Baqtiar » Tue Aug 26, 2003 1:42 pm

Wow,

Radha ko mein tumhein adha adha bhi nahi donga... (wink). Hope you all remember this dialogue

Anyways... Now for one sher from me.

Rooney se nahi hasil kuch aye dil-e-saudaii

Ankhon ki bhi barbadi, daman ki bhi ruswai

Hum log samandar ke bechdey hove sahil hai

Us par bhi thanhai, is par bhi thanhai
Baqtiar
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 26, 2003 2:26 pm

Yaani

Faakhir sanam kadey mein na aata main lout ke

Ek zakhm bhar gaya tha idhar leke aagaya!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

PreviousNext

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shayri teri wajhe namaz
wo haydrabad jayegi sayri
hyderabadi paya shayari
shyri on chiragoon
Trade mark से आप क्या samjte h
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.