Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Shayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari

by Humdam » Tue Aug 26, 2003 2:42 pm

\"KAIF BHOPALI\"

Daag duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile

Ham ko ye tohfe tumhein dost banaane se mile

Ham taraste hi taraste hi taraste hi rahe

Vo falaane se falaane se falaane se mile

Khud se mil jaate to chaahat kaa bharam rah jaataa

Kyaa mile aap jo logon ke milaane se mile

Kaise maane ke unhen bhool gayaa tuu ai \'Kaif\'

Un ke qat aaj hamein tere sarahaane se mile
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 26, 2003 3:53 pm

Shakeel Badayuni

Gham-e-aashiqi se kah do raah-e-aam tak na pahunche

Mujhe khauf hai ye tohmat mere naam tak na pahunche

Main nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad duaa di

Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahunche

Yeh adaa-e-beniazee tujhe be-wafaa mubarak

Magar aisee berukhi kya ke salaam tak na pahunche

Nayee subah par nazar hai magar aah yeh bhi darr hai

Ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na pahunche

Vahi ek khamosh naghma hai Shakeel jaan-e-hasti

Jo zubaan tak na aaye jo kalaam tak na pahunche
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Radha » Tue Aug 26, 2003 4:09 pm

Kulcha Bhai,

Rona hai yeh ke aap bhi hanste hain warna yaan,

Ta\'ana-e-raqeeb dil pe kuch aisa garaan na tha.
Radha
Registered User

Shayari

by BM » Tue Aug 26, 2003 4:20 pm

Shukriya Kulcha bhai aur adaab. Meri taraf sey sabhi logoan ko adaab.

Meri taraf sey bhi Adaab, Radha.
BM
Registered User

Shayari

by Radha » Tue Aug 26, 2003 4:22 pm

Aap lillah meri fikar na kijiye hargiz.

Aa gaye hain bas yunhi shauq ke mare aansu,

Mere honton ko to jumbish bhi na hogi lekin,

Shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukaare aansu
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 26, 2003 11:22 pm

Radha... Ab main kya kahoon! Aapne to hamey lajawaab kar diya!

Baat par waan zabaan kat ti hai

Wo kahein aur suna karey koyee!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Kulchi » Tue Aug 26, 2003 11:47 pm

GUL KHILA GULSHAN KHILA ABH KALI KI BARI HAI

MAI TO SHEER LIKH CHUKI HOO ABH

KULCHA KAY BARI HAI.

Who is it Mr Kulcha? :-)
Kulchi
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Aug 26, 2003 11:53 pm

Ab meri baari hai! Lagta hai Kulchey ki shaamat aayee hai! Gharwali kahin bhes na badal kar aa gayee ho!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by kulchi » Wed Aug 27, 2003 1:07 am

Kulcha Miya, mai samjhi aap to himmatwalay hoo like Himmatwala film kay \"Jeetendra\" but aap to chuha niklay lol:-)

YOO RETH PER NAAM LIKH KAR MITAYA NA KAROO

ANKEH SAACH BOLTI HAI PYAAR CHUPAYA NA NAKROO.

Aur bhi dargayee he he he he he he...
kulchi
Registered User

Shayari

by Baqtiar » Wed Aug 27, 2003 4:01 pm

Kulchi aur bhi hai shaher mein tum kulcha ko sataya na karo,

Ek shadi shuda do bachaon ke baap ki taraf yun eshara na karo.
Baqtiar
Registered User

Shayari

by Aadi » Wed Aug 27, 2003 6:46 pm

Hum sadak ke is paar hain aur wo sadak ke us paar hain

Hum kuch aage badhe aur Ww kuch aage badhi

Hum kuch aur aage badhe aur wo bhi kuch aur aage badhi

Hum sadak ke us paar hain aur woh sadak ke is paar hain.
Aadi
Registered User

Shayari

by kulchi » Wed Aug 27, 2003 7:49 pm

Baqtiar bahi kya aap kulcha ki tarafdari karay hoo?

TRAIN CHALTI HAI TO DHOOVA UDDTA HAI KYOO

JAB DO DIL MILTAY HAI TO YEAH TEECRA BEECH MAI AATA HAI KYOO.

LOL:-)
kulchi
Registered User

Shayari

by Humdam » Wed Aug 27, 2003 11:31 pm

Kulcha bhai ki taraf se \"Kulchi\" sahiba ke naam.

Sun li jo Khudaa ne vo duaa tum to nahin ho

Darvaaze pe dastak ki sadaa tum to nahin ho

Simti hui sharmaai hui raat ki raani

Soi hui kaliyon ki hayaa tum to nahin ho

Mahsuus kiyaa tum ko to gili hui palkein

Bheege huye mausam ki adaa tum to nahin ho

In ajnabi raahon mein nahin koi bhi meraa

Kis ne mujhe yuuN apanaa kahaa tum to nahin ho

Aadaab
Humdam
Registered User

Shayari

by kulchi » Thu Aug 28, 2003 12:56 am

Hamdam it\'s good. I liked it.

Meray lovely eyes nay tujko effect kya

Subb ko neglect karkay

Sirf tum ko select kya
kulchi
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Thu Aug 28, 2003 1:21 am

Bhai Hamdam, apka behad mamnoon hoon jo apney meri taraf se jawab diya hai. Lekin, Kulchi bi ke \"Himmatwaley\" ke jawab mein kuch ash\'aar arz kiya tha. Shayed aaj kuch \"technical glitch\" ki wajah se post nahin ho paye! Khair koyee baat nahin, apne jawab jab de hi diya hai to kaafi hai!

Phir bhi... Kulchi ko.

Tere baaton se hota hai muhabbat ka gumaan

Tere honton pe magar pyar ka iqraar nahin!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by kulchi » Thu Aug 28, 2003 2:17 am

Hey Kulcha/Humdum arz kya hai...

Yoo to pyar karnaywaly kuch kaam na milingay

Miljaingay hum jaisay lekin humna milingay

Bye:-)
kulchi
Registered User

Shayari

by Radha » Thu Aug 28, 2003 1:19 pm

Kulcha Bhai key nazar.

Her ajnabi usay aashna sa lagta hai,

Tera aashiq deewana sa lagta hai,

Kaafir ko tujhsay mohabbat ho gayi,

Ab kaafir bhi musalmaan sa lagta hai.
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Thu Aug 28, 2003 1:58 pm

Radha ke liye.... Muhabbat mein nahin hai farq jeeney aur marney ka Usee ko dekh kar jeetey hain, jis kaafir pey dam nikley!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Thu Aug 28, 2003 2:47 pm

Bahot khoob Kulcha bhai!

DEVIYAAN NIKLI HI THEE BAAL BIKHRAAYE HUVE

DEVTA MANDIR SE NIKLE AUR PUJAARI HO GAYE
Humdam
Registered User

Shayari

by shaikh » Thu Aug 28, 2003 4:53 pm

\'Unknown\'

Insaan apni sonch may ho gaya yun gum

Ghabraa kay pattharoun kay sanam bolne lagay.
shaikh
Registered User

Shayari

by Radha » Sat Aug 30, 2003 12:26 pm

Kulcha bhai,

Bahut khoob, kya kehna!

Sar jukaogay to, patthar devta ho jayega,

Itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega!
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sat Aug 30, 2003 1:13 pm

Bahut Khoob Radha...

Mujhe to bas is se gharaz hai ke who kitna hai mera

Ishq mein us ke muqamaat khuda janta hai

Mere bas mein hai faqat koshih karte rahna

Kab badal payenge halaath khuda janta hai!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Baqtiar » Sat Aug 30, 2003 1:27 pm

Arz kiya hai,

Ek zara si baat pe barson ke yaranay gaye

Lekin itna tou hova kuch log pehchaney gaye
Baqtiar
Registered User

Shayari

by Humdam » Sat Aug 30, 2003 2:22 pm

\"Unknown\"

Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye

Ungliyaan rakhte hain vo ham pe uthaane ke liye

Kyaa qusuur un kaa ye ik rasm chali aai hai

Tohmatein hoti hain duniyaa mein lagaane ke liye

Naakhudaa maan ke baithe hain jin ki kashti mein

Vo hamein maujon mein laaye the Duboney ke liye

Vo havaaon ki tarah ruKh ko badal lete hain

Ham nasibon se laDe the jinhen paane ke liye
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sat Aug 30, 2003 2:29 pm

Bhai Baqtiar, ek zara si baat par yaad aaya ke baat kya hoti hai. Pesh-e-khidmat hai janab Sulaiman Khateeb ka nazariyah, baat ke talluq sey:

Baat heera hai baat moti hai, Baat lakhon ki laaj khoti hai

Baat har baat ko nahin kahtey, Baat mushkil se baat hoti hai

Baat seeney ka daag hoti hai, Baat phoolon ka bagh hoti hai

Baat khair-o-sawaab hoti hai, Baat qahr-o-azaab hoti hai

Baat barg-e-gulaab hoti hai, Baat tegh-e-ataab hoti hai

Baat kahtein hai rubb-e-arni ko, Baat umm-al-kitaab hoti hai

Baat boley kaleem ho jaye, Sun ne wala nadeem ho jaye

Baat khanjar ki kaat hoti hai.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

PreviousNext

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shayri teri wajhe namaz
wo haydrabad jayegi sayri
hyderabadi paya shayari
shyri on chiragoon
Trade mark से आप क्या samjte h
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.