Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Shayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari

by Tappebaz » Sun Aug 17, 2003 7:12 pm

Chup na rahte bayaan ho jate, hum aap se thode se badgunah jo ho jate,
Aap ne dekha nahi palat ke, varna hum meharban ho jate,
Mil na saki aap ke dil ki zameen, varna hum aasman ho jate...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 17, 2003 8:10 pm

Wo tera gham tha ya mere lahje ke ta\'aseer

Ke jisko sunatey haal apna, rula dete

Tum hi ne sunaya na haal-e-dil apna

Ke dua wo kartey ke asmaan ko hila dete!

.......bhai bura nahin man na! ek dil mere seeney mein bhi hai!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by BM » Sun Aug 17, 2003 8:13 pm

Talaash-e-manzil adraak kerkey dekhtey hein, Ghubara-e-rah ko poshaak kerkey dekhtey hein, Hey kitna khoon baharon ki mezbani ko, Khazan mein daman-e-chaak kerkey dekhtey hein
BM
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 17, 2003 8:19 pm

Bana kar bhes faqiron ka Ghalib

Tamasha e ahle karam dekhtein hain!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by BM » Sun Aug 17, 2003 9:32 pm

Suna hey ishk bhi ek kimiyai hasti hey, Toh phir hayaat ko hum khaak kerekey dekhtey hein, Kahan talak terey jalwon ki tabnaki hey, Nigah-e-shouk ko bey baak kerkey dekhtey hein
BM
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 11:17 am

Mohabbat ka bhi ek wasool hota hai,

jagti aankhoon main ek khwab hota hai,

zaroori nahi ke ghum main aansoo nikle,

muskurati ankhoon main bhi sailaab hota hai...

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 11:19 am

Log kahte hai agar mera naseeb hoga to main use zaroor payon ga,

main puchta hoon logon se agar hum badnaseeb hue to kaise jee payein ge....
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 11:49 am

Meri rooh ki haqeeqat, mere aansoo\'on se poocho

Mera majlisi tabassum, mera tarjuma nahin hai!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 11:59 am

kya baat hai kulche sahab bohat khoob......

kisi ko mohabbat ki sada mar dalegi,

kisi ko mohabbat ki gahrai mar dalegi,

kar ke mohabbat koi nahi bachta,

jo bachta hai use tanhai mar dalegi....

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 12:01 pm

Yeh kaun dekhta hai ke sajda qubool ho

Yeh kaun sonchta hai kahan sar jhuka diya.....Unka bad\'ha jo haath yahan dil luta diya

Anchal ki oat ho ke na ho ab naseeb mein

Maine charaagh aaj hawa mein jala diya......Unka bad\'ha jo haath yahan dil luta diya
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 12:24 pm

wooow kulche --- jiyo jiyo...

garmi-e-hasratain nakaam se jal jate hai,

hum chiragoon ki tarah shaam se jal jate hai,

shama jis aag main jalti hai numaish ke liye,

hum usi aag main gum naam se jal jate hai,

jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saat,

jane kyon log mere naam se jal jate hai...

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 12:32 pm

Tumhare naam se log mujhe pahchaan jaatey hain

Main wo khoyee huvee cheez hoon, jis ka pata tum ho!!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 12:38 pm

mana ke tumhari nazar main kuch nahi hai hum,

par hamari kadhar tum unse pucho jise naseeb nahi hai hum...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 12:40 pm

Maana ke teri deed ke qabil nahin hoon main

Tu mera shouq dekh, mera intezaar dekh!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 12:47 pm

tere hotoon se lag kar yeh hawa sharab ban gaye,

aankhoon se lag kar hijab ban gaye,

gal\'oon se lag kar gulaab ban gaye,

sach hi kahte hai log jane man,

mujhse mil kar tu lajawab ban gaye...

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 12:50 pm

Tera husn so raha tha, meri ch\'ed ne jagaya

Wo nigah maine daali, ke sanwar gayee jawaani!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 12:52 pm

mera ikraar tere inkaar se behtar hoga,

mera har raat tere har din se behtar hogi,

yakeen nahi to aapni doli se jhank kar dekhna,

mera janaza teri barat se behtar hoga...

kaise rahi ???
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 12:57 pm

roz taroon ki numaish main kal\'ll padti hai,

chand pagal hai jo andhare main nikal padta hai,

unki yaad aati hai saanse zara aa\'hista chalo,

dhadkan\'oon se bhi ibadat main kal\'ll padta hai....

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 12:58 pm

Janaaza rok kar mera wo is andaaz se boley

Hamne gali kahi thee, tum to duniya ch\'od chaley!!!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 1:07 pm

Girl:

tum ne kaha tha miloge har khidki darwaze ki piche,

mere har andaaz ke andaaze ke piche,

bewafa itne nikle ki aaye bhi na mere janaze ke piche...

boy:

haan maine kaha tha milonga har khidki darwaze ke piche,

tumhare har andaaz ke andaaze ki piche,

bewafa main nahi tum nikle,

dekha bhi na mud kar ek aur janaza aa raha tha tumhare janaze ke piche...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 1:12 pm

jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga,

ek su\'rur sa unke dil par chaya hoga,

soncha hoga rak loon tumhe janat main khud ke liye,

phir unhe mera khayaal aya hoga,

is liye tumhe zameen par bejha hoga mere liye...

bhai itni jaldi jawab is se to aacha hoga hum chatting par lagje. kyoon ???
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 1:13 pm

Jaati huvee mayyat dekh ke bhi, lillah tum u\'th kar aa na sakey

Do chaar khadam to dushman bhi, takleef gawara kartey hain!!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 1:23 pm

aasman kali kali gatha de gaya,

aap aye mousam maza de gaya,

ae yaar tujh jaisa dost sabhi ko mile,

mar kar zindagi ka maza de gaya,

aap aye mousam maza de gaya....

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 1:28 pm

Bhai...meri samajh se to baher tha yeh! khair..phir bhi.. jab ap ne shama hamarey agey rakh di hai to.. suniyeh

Kahtein aaj Daag jahaan se guzar gaya

Kya khoob aadmi tha khuda maghfirat karey!

(Daag Delhvi)
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 1:29 pm

this one is very typical, dont take it seriously fine !!!!

jab utha mera janaza to ek baat yaad aa gaye,

samne tha maikhana aur sharab yaad aa gaye,

ke yaaro band doo do char botal kafan main mere,

kabhar main baith kar piya karange,

jab mange\'ga khuda hisab gunah\'oon ka,

ek do peg use bhi de diya karange....

Tappebaz
Registered User

Next

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 5 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shayri teri wajhe namaz
wo haydrabad jayegi sayri
hyderabadi paya shayari
shyri on chiragoon
Trade mark से आप क्या samjte h
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.