Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Shayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari

by Arch » Mon Aug 18, 2003 1:33 pm

wah, kulcha bhayya ! kya shayari hai ! for those of them which I could understand.. such depth. Though, I did not understand all of them, I guess I will need to ask the meanings of some, unabashedly ?
Arch
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 1:35 pm

kulcha bhai bohat zamane baad kise shayar se pala pada hai- lage raho, chalne do, sahi ja rahe ho.

aapna mukhada dig\'de ek zamana beet gaya,

ek jagah he aas thi, wahan bhi zamana jeet gaya...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by mrk » Mon Aug 18, 2003 1:52 pm

kya lekar aayethe is duniyaanme (bagairkapdeke), kyaa lekar jaavoge is duniyaanse, oh tumharen yadein hai jise thum chodkar jaavoge...
mrk
Registered User

Shayari

by mrk » Mon Aug 18, 2003 2:24 pm

\"girl friend ek ghadi hai, lover ek chadi hai aur bibi hath kadi hai\"
mrk
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 2:31 pm

Sure Arch.. kyoon nahin.
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by BM » Mon Aug 18, 2003 4:09 pm

Tabeer kisi khawab ki sachi nikal aaye, Mumkin hey is dash mein pani nikal aaye, Mein sirf mohabbat ka talabgar tha lekin, Is mein toh bahot kaam izafi nikal aaye, Kya aks mujasam ho is sabz fiza per, Bachey key taqoob mein jo titli nikal aaye, Ek umer sey kis kerb mein hein zabt bhi \' mein bhi, Aansoo nikal aana hey toh jaldi nikal aaye, Yeh khurya-e-beynoor zara theek sey dekho, Mumkin hey koyi jaagti khidki nikal aaye, Is higer mein ek moujiza kho rang wa namo tha, Jis tarha katey peR (tree) sey tehni nikal aaye.
BM
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 5:18 pm

Yeh unlogoN ke naam, jinko ham sirf message board ke naam se jaantey hain - Na janey wo kaun hain, kaise hain, kis roop mein hain aur kis haal mein hain, kya kabhi hamari mulaqaat ho bhi payegi ke nahin, kya kabhi ham ek doosray ko dekh payenge ke nahin?

Jab talak door hain to teri parastish karlein

Ham jise choo nahin saktey usey khuda kahtey hain!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by BM » Mon Aug 18, 2003 5:40 pm

Tum zara thero abhi mout sey mil ker aaya

Operation ki nayi mez bulati hey mujhey

Zindagi roz naya zaher pilati hey mujhey

Rooh bechan si rehti hey merey pheloo mein

Janey anjaney azaabon sey dharati hey mujhey

Need aati hey mager ben key fareb aankhon mein

Jab mein thak jawoon toh kanton pey sulati hey mujhey

Wadi-e-derd sey guzra hoon kayi baar Sirfarosh

Yaad bitey huwey her lahmey ki aati hey mujhey

Imtehaan aur sahi juraat rindana ka

Zindagi ab bhi naye khwab dikhlati hey mujhey

Tum zara thero abhi mout sey mil ker aaya

Operation ki nayi mez bulati hey mujhey

BM
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 5:46 pm

har karz dosti ka ada koun karega, jab hum hi nahi honge to dosti koun karega,

aye khuda mere dost ko salamat rakhna, warna mere jeene ki dua koun karega...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 5:51 pm

Ai Zouq kisee hamdam der\'eena ka milna

Bahtar hai mulaqaat Maseeha o Khizer sey!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 5:56 pm

dosti aachi ho to rang lati hai, dosti gehri ho to sab ko bathi hai,

dosti nadan ho to toot jati hai, dosti daagbaaz hoto jaan jati hai;

dost ek sahil hai toofan\'on ke liye, dost ek aaina hai arman\'on ke liye,

dost ek mehfil hai anjan\'on ke liye, dosti ek khawaish hai aap jaise dost\'on ko pane ke liye...

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 6:01 pm

agaha hai banda apni mout se bashar nahi, saman hai sow baras ka kal ki koi kabhar nahi,

milna hai to mil\'lo isi duniya ke chaman main, phir kaise mil payoge jab lash honge band kafan main...

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 6:07 pm

Bahut khoob - bahut hi khoob.

Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 6:23 pm

shukriya

kabhi khete the dost humko - jaan bhi mango to hajir hai!!

aaj apni biwi ko jaan kahte hai aur mango to inkar karte hai ???
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 6:27 pm

Tappebaz...tum bhot nikley huve hain ustaad! hehehe

Lekin, khabardar...kahin mangtey na phirna..aisa na ho ke koyee apni bala apkey galey na poth dey!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 6:38 pm

Kulcha hyd\'i mujhe galat mat samjho, i was just joking i got those rhyming words so i typed it down. aab suno-

sawan ka mausam tha, poonam ki raat thi, main uske paas tha, woh mere kareeb thi, woh mere paas aaye par thoda gabharaye, jab maine uska haath pakda to thoda sa sharmaye, usne kaha aao aaj hum aise bandhan me bandh jaaye jise duniya ki koi taqat na tod paye, meri khushi ka andaaz lagana mushkil tha, par is ke aage jo hua yeh bhi batana mushkil hai, usne mera haath hatoon me lekar kaha, yeh janam-jan\'oom ka bandhan hai !!!

phir mujhe yaad aaya - yeh sawan ka mousam, yeh poonam ki raat to hai par aaj raksha bandhan bhi hai ....
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 6:50 pm

dil ne dil ki awaaz suni, bachpan se aaj tak hum ne aap ki awaaz suni,

aaj achanak yeh khamoshi kaise ??, bheed main khade hai phir bhi yeh tanhai kaise ??

Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 7:19 pm

kulcha bhai aap bura maan gaye kya ??? i really did\'nt mean it, aur maine aap pe nahi bola.. lo maine kaan pakad liya aur kone main aa kar khada ho gaya.. he he he ... ab to maaf kar do, waise let me intro myself to u, i am 24 hydi presently in khobar KSA (since 3yrs). love to make new friendz and my hobbies r english poetry writing and urdu shyari...

now come on cheer up dont be a spoil spot !!!! waise aap ke joke ki aap pan ke dabbe wale ho, wagare wagere i took it aas joke...
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Aug 18, 2003 11:13 pm

Nahi yaar, yeh kaise sonch liya apne ke main bura maan gaya! Ap ki postings ka jawab kuch masroofiyat ki wajah se waqt par nahin de paya. Bhai, ab dabba bhi to sambhal na hai na, sara din agar internet cafe par hi bait\'haa rahunga to apna side-kick mere ku chunna laga dinga!

Ab rahi baat peeney aur pilaaney ki, to ek shayr arz karta hoon:

Dekh saaqi tere maikadey ka, kitna pahuncha huva rind hooon main

Jitney aaye hain mayyat mein meri, sab ke sab hi lagaye huvey hain!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Faheem » Tue Aug 19, 2003 12:17 am

Hamne pheri thi ungliyan yuhin reth mein...

Ghaur se dekha to aapki surat nazar aayi...
Faheem
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabad » Tue Aug 19, 2003 3:02 pm

Kya milega tujhe bekhwaab khayalon ke siwa

Ret par chand ki tasweer bana ney waley!
Kulcha Hyderabad
Registered User

Shayari

by b. » Wed Aug 20, 2003 1:08 pm

Channd tasveeray butaan channd haseenaon kay khutoot.

Baad marney kay mere ghar say yeh samaan niklaaa...
b.
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Wed Aug 20, 2003 1:18 pm

Shouq har rang raqeeb sar o samaan nikla

Qais tasveer ke pardeh mein bhi uryaan nikla
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Wed Aug 20, 2003 6:53 pm

Rang wale Rangoon se tasveer badal dete hai,

Kaman se nikla hua teer badal dete hai,

Aap se hamare aansoo nahi badale gaye to kya,

Badalne wale to taqdeer badal lete hai.
Tappebaz
Registered User

Shayari

by Tappebaz » Wed Aug 20, 2003 7:00 pm

Fahem ustaad aap ka sher ko main continue karna chata hoon! Arz hai -

Kabhi roke muskaraye, kabhi muskarake roye,

Teri yaad jab bhi aayi tujhe bhula bhula ke roye,

Ek tera hi naam jaise likha tha hazaar baar,

Jitna khush hoye the likh kar - Usee mita mita kar roye !!!

Bura laga to mafi ki guzarish...
Tappebaz
Registered User

PreviousNext

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 5 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shayri teri wajhe namaz
wo haydrabad jayegi sayri
hyderabadi paya shayari
shyri on chiragoon
Trade mark से आप क्या samjte h
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.