Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Kulcha » Tue May 14, 2002 12:30 am

Dar-O-Dewaar se hasrat si barasti hai Qateel::::Janey kis des gaye pyar nibhane waley
Kulcha
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Kulcha » Tue May 14, 2002 12:30 am

Ap logon ke dilemma ko dekh kar, yani na america se ja saktey hain aur na hyderabad mein settle ho saktey hain.... is par ek shayr arz karta hoon... agar ijazat ho to:
Zeest se tang ho ai Daag to jeetey kyoon ho:::::Jan pyari bhi nahin, jan se jatey bhi nahin!
Kulcha
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Kulcha » Tue May 14, 2002 12:30 am

Aur kisee ne khoob kaha..... Uff yeh talashe husn-o-haqeeqat, kis ja pahunche jaye kahan:::::Sahn-e-chaman mein phool khiley hain, sahra mein deewane hain!
Kulcha
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Javeed » Wed May 15, 2002 12:30 am

WHY ONLY MUSLIMS?????????DUDE YOU R SO MEANNNNNNNNNNNN!
Javeed
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by ha pi hai maine. » Thu May 16, 2002 12:30 am

saaqi jaam de aur de zyada de,
dil hi nahin chahta teri mehfil se juda ho.
ha pi hai maine.
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by hina » Fri May 17, 2002 12:30 am

Is board kay sabhi bhaiyon ko mera salaam,Do teen din say dekh rahi hoon kay board par qamoshi chayee huvi hai.Aqer baath kyaa hai?Kyaa aap log bahot masroof ho gaye ho yaa board ko bhool gaye ho.Meherbaani karke lout aayee. B-Board aap sab ke baghair bahot soona ho gayaa hai.Koi accha say mouzoo par \"guftagoo\"karengay.Aap sab kaa intezaar rahega.
hina
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Khan Sahib » Sat May 18, 2002 12:30 am

I am sorry i apologgize to what ever i said...but u know that i don;t like the way my Mom\'s cousin behaves when they come to hyd...anywayz MAZRATH
Khan Sahib
Guest
 

Re: Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Hosain » Sun Aug 10, 2008 3:53 pm

Assalam Aalaikum,

Mujhe apne Hyderabadi hone per bahooth faqr hai aur hum sub ko hona chahiye.
Hamare yaha ki tameez aur tariq ke kya kehne hai, hamare pakwan, khane, shadiya nothing beyond it. Amazing.

Gulf ki zindagi per ek ghazal edit kiya hoon dekhe aure padhker iska jawab zaroor they.
Jawab agar shaerana ho to maza aajayega.

lijiye pesh e qidmath hai....

WOH KAGAZ KI KASHTI WOH BARISH KA PAANI....



Ye daulat bhi lelo, Ye shohrat bhi lelo

GULF KI ZINDAGANI

Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo

bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri

magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi

wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani (esb).

Ye chotese kamron mein aat aat bandey

jo rahte hain jaisey tokri mein andey

wo chitti ka aana aur raathon ka rona

ye kapdon ka apne haathon se dhona

ye bathroom ki badboo, ye gandi rasoyi

bhulaye nahin bhool sakta hai expat koi

ye saari museebath hai lambi kahani

Kadi dhoop mein bagair A/C nikalna

ye paani, ye 7up, ye pepsi ka peena

ye superiors ki bathon pe ladna jhagadna

ye bimaar padna aur phirse sambhalna

ye majboor haalath ye bekasi ki yaaden

ye toote hue umeedon ki hai nishaani

Kabhi raat ka mushkilon se guzarna

darqaast likhna, chutti manzoor na hona

wo masoom bacchon ki chaahat hai apni

wo kaandhon pe zimmedari ki zanjeer apni

na marne ka gum hai, na haalat se bandhan

badi bebasi hai ye gulf ki zindagani

Ye contract bhi lelo, Iqama bhi lelo

bhaley cheenlo mujhse meri ye naukri

magar mujhko lautado mehnath ki kamaayi

wo kaagaz pe likhi, wo bandish purani.
Hosain
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Sun Aug 10, 2008 3:32 pm

Re: Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Bhaimiya » Wed Sep 03, 2008 3:36 pm

Bahot khoob likhein Hosain bhai, bahot bahot mubarak ho :D
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Previous                

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 10 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shaadi mei paapad belne padte hai
Johge atdd to baht apna alat
ab to na chain hai nahi fursat
phursat nahin he insaan ko insaan se milne ki
ye dil bhi tum se milne ki duva kar raha himp3
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.