Wednesday, 24 April 2024 »  Login
in

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Imran Khan. » Tue May 07, 2002 12:30 am

Yaaron, America aane ka faisla tab to accha tha,
par kis ko pata tha ke hum ko yahaan itne paapad belne padenge.
Pata nahin kaon si whon manhoos ghadi thi jo yahaan ane ki sonchi humne. Faisle agar hum apne zindagi ke jo le chuke hain agar badal sakte to kya baat hai.
Yahaan ki jhanjaton mein aise pade hain ke hyderabad se jaise hamara rishta hi toot gaya.
Tum log jo whaan hain bade khush naseeb hain.
Shukr karo.
Kitne pyare the who fursat ke din who har shaam doston se sajee hui mehfil, whoh apnon mein jhoomna masti karna.
Imran Khan.
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahjee » Tue May 07, 2002 12:30 am

Agar aap thak gaye hain papad belte belte to wapas chale ayeye! Kisne Mana Kiya Hai Aapko! Itna zaroor yaad rakhiyey wapas aate waqt jitne be george washingtons laasakte hain ley ayeayga! Warna Hyderabad mey bhi aapko ab papad belne ke siwai aur kuch haasil na honga! Aapka rahnuma - ek naachiz hyderabadi!
Kisi ne sachi he kaha hai - Insaan ko aise chain hai na waise!
Shahjee
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Khan » Wed May 08, 2002 12:30 am

Janab, badi meherbani is salaah ki ,
Aaap ke kya haal hai?
Khan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by hina » Wed May 08, 2002 12:30 am

america aanay say pehlay sub hara bhara hi nazar aata hai.lekin yahaan aane ke baad hi patha chalta hai ke kitne papad belna hai.Sub yahi kehte hain ke India accha tha lekin wapas koi nahin jaata.Papad belte belte saari zindagi nikal jaati hai aur hum sonchtay reh jaate hain ab nahin to kum say kum \"retirement\" life zaroor wahaan guzarein. Lekin jab budhapa aata hai to wahaan bhi koi \"ghaas\" daalnay waala nahin hota.
hina
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahed » Wed May 08, 2002 12:30 am

Aap logon ki \'GUFTAGOO\' badi pyaari lagti hai.. kuch apna sa lagta hai..jaisey ham India se door ho kar bhi ek dhaage mein bandhe hai. Ham jitna likhein kam hoga... lekin ham sab ki kahaani ek jaisee hai...Aur sach tou ye hai ke kuch paane ke liye kuch khona padhta hai. Saari zindagi ham kaheen bhi.. kaisey bhi guzaar saketey hai... lekin apni mitti ki baat hi kuch aur hoti hai...
Shahed
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahjee » Wed May 08, 2002 12:30 am

alhamdolillah - Allah ka bada karam hai. Ham ne apni chaal chod kar dosraon chal chalne ki kabhi jurrat nahin ki. Malik ki meherbani hai aur Hyderabad hi hamein bahoot hara bara nazar aataa hai.
Shahjee
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahjee » Wed May 08, 2002 12:30 am

janab kuch paane ke liye kuch nahin balke bahoot kuch khona padta hai. Yeh aapko abhi nahin balke jab aap ki aulaad apne amriki rang dhang dekahne lagegi tub aapko pata chalega ke kya kuch khona padta hai! Khair Allah kare saree musalmanon ki nake tarbiyat woh deen ki hidayath hasil hoo!
Shahjee
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by dhagan » Wed May 08, 2002 12:30 am

lagta hai aap apni aulaad se bade khafa hain.
Aaap ko chahiye ke aulaad ko sudharen aur hindustani rang me range aur aapne yeh to suna hoga \"IF YOU CANT FIGHT THEM THEN JOIN THEM\" . So aap agar aulaad ko change nahin kar sake ho to aap bhi amriki rang me rang jao bada maza hai is rang me bhi -nazariya chahiye.
bacchon ko maaf kardo aur washington ko salaam karo chichha.
dhagan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Imran Khan » Wed May 08, 2002 12:30 am

Kya baat hai Heena.
Khoob kha hai aapne huzoor.
Imran Khan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by hina » Thu May 09, 2002 12:30 am

Shukriya Imran, Hum sub ek hi kashti ki sawaar hain.Sub ki ek jaise problems hain yeh sun kar hairat bhi hai aur saath mein ek sukoon bhi hua hai ke mein akeli hi is tarha nahin sonchti hoon.Saari zindagi guzar jaane ke baad bhi aur saari facilities ke bawajood Hyderabad ko bhula nahin paate.Hum acchi zindagi aur paise kamaanay ki qatir India say niklay they .Paisa to bahot kamaya zimmedariyaan bhi poori ki lekin ab hamara haal us \"Gadhe jaisa ho gayaa hai jo na ghar kaa hai naa ghaat kaa\". Naa america say nikal sakte hain naa India mein bus sakte hain.
hina
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Ali » Thu May 09, 2002 12:30 am

Jo log America chale gaye hain aur wahan ke papad bhi bel chuke hain unse main yeh pochna chahta hoon ke woh log doosron ke liye kya mashwara dete hain. Ab jo log Hyderbad chhod kar America jaane chahte hain, unli zindigi ke liye kya yeh step worth hoga? Yahan ke papad aur wahan ke papad ka kuch to farq hoga. Lekin jo baten wahan jaane se kho jaati hain unka bhi soch kar bataaye. Peshgi shukriya!!
Ali
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahjee » Thu May 09, 2002 12:30 am

merey nau maulud bhatije na main amrika me aur na mujhe washington to salaam karne ki zaroorat kabhi mahsoos ho sakti hai. Allah ke fazal wa karam se main hyderabad me hi hoon aur mere bachche bahtreen tarbiyat ke hamil bhi hain alhamdolillah. Yeh to main un logon ki kahaniya sun sun kar apne khiyalat ka izhar kiya tha. Agar tumhe bura laga ho to zaroor kisi ne khoob kaha hai - such bada kadwa hota hai!

Lehaza mujhe kisi rang mein milne ki zaroorat nahin!
Shahjee
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahjee » Thu May 09, 2002 12:30 am

Muhtrama Hina saheba - Salaam - Aapne jis baat ka Ateraaf kiya hai uske liye badi himmat chahiye - Bahoot kum loag hi is baat ka ateraaf karne ki takhat rakhte hain. Maslan mere kai rishte dar wahan ja bus chuke hain - lekin hamaisha unko yehi kehte huway suna hai ke - zindagi badi must aur behtreen hai yahan! Apki ittella ke liya wah sab rishte daaron ka taluq pakistan se hai jo hyd se hijrat kar chuke they aur wahan bhi chain na paya so ab amrika chale gaye hain. Yeh sab loag apnee zaban kabhi yeh kahna nahin chahte ke hamne hyd chod kar badi ghalati ki? Han Dil Hi Dil mey yeh baat zaroor mahsoos kartey hain lekin zahir nahi karte! Kiya yeh pakistan mein chand saal guzarne kie wajah se aisi kaifiyat taari hoti hai?
Shahjee
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Dhagan » Thu May 09, 2002 12:30 am

Shahjee, aap to be-wajah khafa ho gaye, mujhe kyon bura lagne lage ga kyon ki meri to abhi shaadi bhi nahin hui hai, aur kisse kahaniyan to sunte sunate hi rahenge.
Aaap ko chaiye ke asliyet pe zoor de.
Dhagan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Imran Khan » Fri May 10, 2002 12:30 am

Yaron ko salaam, buzurgon ko mera aadab,Aaap sab ka be had shukriya ada karte hue main yeh arz karna chahoonga ke \"Allah kare hamari mohabbat hamare shaher se isi tarha barqaraar rahe-Ameen.\"
Imran Khan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Khan » Fri May 10, 2002 12:30 am

Shaed bhai,
shukriya izhar dars-e-hizaaqat ka.Aaap ke lafzon se dil shaad hua.
Khan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by hina » Fri May 10, 2002 12:30 am

Janaab Ali saheb,aap ke sawaal ke jawaab mein yeh kehna chahoongi ke \"papad to sub jagaah hi belnay padte hain chahe america ho yaa India lekin farq sirf itna hai ke America ke papad mein milaawat bilkul nahin\". Aap jitne papad belna chahtay hain bail sakte hain uske aapko \"poora\" return milaygaa aur aapko apni kamai mein say kisi ko rishwat bhi daini nahin padegi.Agar aap america aana chahtay hain to zaroor aaiye lekin menat karnay ke liye tayyaar rahiye.Yahaan aapko mehnat kaa sila jaroor milega. Yahaan \"Dignity of Labor \" hai, koi bhi kaam karnay say nahin sharmaata chahay woh street hi saaf karna kyoon na ho . Agar yeh feelings hamaray navjavaan India may practice karen to India jaroor agay badh sakta hai.America aayen to paise ke peechay na bhaagain,apni life ko simple aur mazhab ke qareeb rakhein,yahaan ki achi cheezon ko apnayen aur burayi say dur rahein to aapko \"jannat is duniya mein hi mil sakti hai\"Yeh to aap par munhassir hai ke aap apni zindagi ko kaisay guzaarna chahte hain!
hina
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by khan sahib » Fri May 10, 2002 12:30 am

Janab Imran sahib, Hina Bibi etc....NRI means NOT REQUIRED INDIANS....yeah we here in india just do not need you guys who have left long back...for most of you are semi skilled..and india main aise logon ki koi zaroorat nahi...but yeah we do need your money in terms of FDI i.e. Foreign Direct Investment...so plz do not think of comming back and keep investing ur pounds and dollars in India...remember u guys are NRIs...NOT Req........!
khan sahib
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by gustakh » Sat May 11, 2002 12:30 am

Is site ku dekhke dil khush hua. Hyderabad ki nawaabi shaan ke saath uska naya nazaara khoob chamakra yaaN. Ab ye papad wapad ki baateN choDo -

khoob kaha ghalib ne -
ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

--

wah kya baat hai aisi saaiton ka jo ham
amrika meiN baiTH kar hyderabad ko dekhtaiN haiN

(yeh gustakhi apni hai :-) ghalib sahab zaroor kose honge!!)

Jahaan bhi raho khush raho.
gustakh
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Jabir Ali. » Sat May 11, 2002 12:30 am

Janaab bhikari sahab,
Imran aur hina kya keh rahe hain lagta hai aap ki oonchi samajh mein naheen aaya, Mere khayaal mein whoh logon ko hyd nahin ana chahiye kyon ki aap jaise bhikari airport se hi peecha karna shuru kar denge. Aaap ne yeh to suna hoga \"Jab lomdi ko angoor nahin mile to kehne lagi \"\"Angoor khatte hain\" \".Imran aur heena ko chahiye ke aise kameene logon ko jawaab tak na den, level hi nahin hai iska to .
Aukali barish ke keeda hai yehto.
Jabir Ali.
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by hina » Sat May 11, 2002 12:30 am

Imran Bhai,Adaab,AAp ke is board nay to bada rang dikhayaa hai.Baar Baar isay padhti hoon aur mazaa leti hoon.Bahoth din baad ek accha board aaya hai aur jawaab bhi khoob milay hain.Aur aaisay messages post karen takay hum Hyderabaiyon ko lagay ke hum ab bhi Hyd. kaa hissa hain.Aur URDU hi mein likhein.Iskaa mazaa hi kuch aur hai.
hina
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Shahed » Sat May 11, 2002 12:30 am

Aaj 2 din baad main is board pe aa raha hoon, mashallah is board nein bahoot jald bahoot hi taraqqi kar li aur kaafi bhaaiyon(Not Bombay waala Bhaaaaai) ke khayalaat ka pata chala. Kisi ne kaha ke Not Required Indians... to kisi nein kaha ke angrezi aulaad ko control karna. Tou bhai saab is baare mein main kuch arz chahoonga main kuch apne baare mein. Pheli baat tou ye hai ke main jab India mein tha tou India ki ek leading(Birla Groups)co., mein as a Sr. programmer kaam kiya karta tha aur ek accha experience aur naam kamaane ke baad wahan se resign kar ke , Main Saudia Chala aaya ek naye challenge ke saath aur ab Jeddah mein Saudi- ARAMCO mein as an Oracle Financial Analyst kaam kar raha hoon. Tou sahab-e-waala \'Not Req\' ke baare mein sirf itna kehna chahoonga ke \'Lehron ke sahaare tou koi bhi tair leta hai.. bahaddur woh hai jo lehron ko cheerta huva apni manzil ki ore nikal jaaye\' shayad aap ko kuch yaad aa raha ho. Aur doosri baat .. Kinaaron pe baith ke Samandar ki gheraayaan ka andaaza nahin lagaaya karte, Saudi ho ya America Yahan kaam apne balboote aur mehnat se milta hai.. haan agar India mein chaho to AKSAR jagah thoda bahoot maal paani kharch karke koyee bhi kaam nikalwa sakte hai... Doosri baat kisi nein kahee thee ke aulaad ko control karna warna bahoot kuch khona padhta hai.. to mere bhai mai abhi bachelor hoon aur aap sab ki duwaa(Dil se) saath rahi to Inshallah jaldi hi....! Khair is baare mein kuch aur kehna chahoonga ke jis tarah CHANDAN ke pedh per SAAMPON ke basere se chandan apni khushboo nahin Chorta, Keechad mein ghira rehne ke baad bhi Kamal ka phool kabhi maila nahin hota aur utna hi khoobsoorat rehta hai, usee tarah har tarah ke burayeon mein rehne ke baad bhi ek accha insaan (ya uski aulaad) hamesha acche hi rehti hai. Ek sacchai yeh bhi hai ke aap american aulaad ke baare mein sirf sunte aa rehe hai.. lekin woh sab kuch aaj kal aap India mein aap ke aas paas ke muashire mein dekh sakte hai, Ek Sachhh. Dua ye hai rab se ke sab ko izzat ki zindagi de . Agar kisi ko meri baat se thes pahoonche tou Yaar meri baat ka bura mat manna Pleeeeessssse. After all I am your brother..
Shahed
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Dhagan » Sun May 12, 2002 12:30 am

Is majme ke liye Shahid sahab ka kalaam kamaal ka hai our tareef ke kabil.
Shahid bahi aap to ham zabaan aur aalim hone ke alawa fazil bhi saabit hue.
Dhagan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Khan » Sun May 12, 2002 12:30 am

Aadab Hina Saheba,
Wasf Salaah aur izzat afzahi ka shukriya.
Kyon nahin zuroor,aap ka farman sar-aankhon par.
Durust kahna hai aap ka ke hum jaise sab log ek hi kashti ke sawaar aur hum raah hain.
k.h./Imran.
Khan
Guest
 

Dil doondtha hai phir wahi-fursat ke raat din.

by Mirza Galib. » Sun May 12, 2002 12:30 am

\"sau kos say ba-zabaan-e-qalam baateiN kiya karo aur hijr meiN visaal kay ma-zay liya karo\".
Hum tum se khush hain siraj.
Mirza Galib.
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: Google Adsense [Bot] and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shaadi mei paapad belne padte hai
Johge atdd to baht apna alat
ab to na chain hai nahi fursat
phursat nahin he insaan ko insaan se milne ki
ye dil bhi tum se milne ki duva kar raha himp3
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.