Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Urdu Shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Urdu Shayeri

by Mahtab » Sat Mar 06, 2004 9:03 pm

I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,

mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.

let us enjoy our urdu lyrics created by ownself

thanx

Mahtab
User avatar
Mahtab
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Sun Jan 27, 2002 6:39 pm
Location: Jeddah SaudiArabia

Re: Urdu Shayeri

by BM » Sat Mar 06, 2004 9:16 pm

Mahtab wrote:I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,
mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.
let us enjoy our urdu lyrics created by ownself
thanx
Mahtab






Assalamaleikum Jahab Mahtab sahib.

Aap Mahtab Qadr (Jeddah_Shayer) toh nahi hein "urdustan" wale :roll:
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

by BM » Sat Mar 06, 2004 9:28 pm

Mehtab sahib maafi chahta hoon left side per aapka location nahi dekha tha werna phechan jata, ap phechaniye mein kon hoon :roll:
BM
Registered User
 

Re: Urdu Shayeri

by Mahtab » Sat Mar 06, 2004 10:08 pm

BM wrote:
Mahtab wrote:I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,
mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.
let us enjoy our urdu lyrics created by ownself
thanx
Mahtab



Assalamaleikum Jahab Mahtab sahib.

Aap Mahtab Qadr (Jeddah_Shayer) toh nahi hein "urdustan" wale :roll:




walaikum salam Janaab

mera khyal hai mai wahi hoN jo aap samajhte haiN..:) aapkab bhi introduction ho jaye to lutf rahega.

shukria
User avatar
Mahtab
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Sun Jan 27, 2002 6:39 pm
Location: Jeddah SaudiArabia

pahchan

by Mahtab » Sat Mar 06, 2004 10:11 pm

BM wrote:Mehtab sahib maafi chahta hoon left side per aapka location nahi dekha tha werna phechan jata, ap phechaniye mein kon hoon :roll:




janab aapne to left par location dekh kar pahchan lia , mai kaise pahchanoN aapko na hi left pe location hai na hi nick se kuch ata pata maloom hota hai. aap hi batadeiN .

nawazish

Mahtab
User avatar
Mahtab
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Sun Jan 27, 2002 6:39 pm
Location: Jeddah SaudiArabia

by Mayavi Morpheus » Sat Mar 06, 2004 10:26 pm

Janab, aap log urdu mein shayari kharenge to hum jaise logan ke liye english/hindi/telugu translation bhi post kariye. Hamhe shayari pasand hai lekin kambakth aadi basha samajh mein nahi aata.
User avatar
Mayavi Morpheus
Level 2 Lord
Level 2 Lord
 
Posts: 3201
Joined: Fri May 30, 2003 7:42 am
Location: 30° 27' North ; 91° 08' West

by shaikh » Sun Mar 07, 2004 1:57 pm

Mahtab & BM bhai



with all the due respect to you.



meherbani kar ke Dakhni Mehfil me shayari ya kalaam ya guftagu ya phekam phaak karenge to acchha kya behtar rahinga dekho.!!



mai nahin samajhtaoun ke ye board me shyari munasib rahengi.



Please is baat ka khyal rakhiye, meherbani hungi...... hum log Mehfil ka naam hi isi liye rakhe ke us me shayari waghaira kar sakte bolke.



BM bhai aap zara moderataar saab ku bolke isku udhar re-slot kara diye to theek rahinga bhai. maaf karna...



shukriya, hyak allah.

shaikh.
shaikh
Registered User
 

Re: Urdu Shayeri

by BM » Sun Mar 07, 2004 2:17 pm

Mahtab wrote:
BM wrote:
Mahtab wrote:I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,
mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.
let us enjoy our urdu lyrics created by ownself
thanx
Mahtab



Assalamaleikum Jahab Mahtab sahib.

Aap Mahtab Qadr (Jeddah_Shayer) toh nahi hein "urdustan" wale :roll:


walaikum salam Janaab
mera khyal hai mai wahi hoN jo aap samajhte haiN..:) aapkab bhi introduction ho jaye to lutf rahega.
shukria




Mehtab sahib yeh khasskar ka naam Amoodi hei, ab toh samaj gaye honge aap. Hamesha khush rahiye.
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

by BM » Sun Mar 07, 2004 2:21 pm

shaikh wrote:Mahtab & BM bhai

with all the due respect to you.

meherbani kar ke Dakhni Mehfil me shayari ya kalaam ya guftagu ya phekam phaak karenge to acchha kya behtar rahinga dekho.!!

mai nahin samajhtaoun ke ye board me shyari munasib rahengi.

Please is baat ka khyal rakhiye, meherbani hungi...... hum log Mehfil ka naam hi isi liye rakhe ke us me shayari waghaira kar sakte bolke.

BM bhai aap zara moderataar saab ku bolke isku udhar re-slot kara diye to theek rahinga bhai. maaf karna...

shukriya, hyak allah.
shaikh.





Bhai Shaikh aapka mashora munasib hei aur Mehtab sahib sei guzarish hei kei MODERATOR sei request kerke is thread ko "Dakhni Mehfil" mein move kara dein, shukriya.
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

by shaikh » Sun Mar 07, 2004 2:37 pm

sukriya BM bhai,



Amoodi boleto, wo shalimar cassette wale hai kya ?



mai bhi bhot logon ku jantoun bhai jidda me.



brunei airlines javeed bhai mere khaas dost hai dekho....
shaikh
Registered User
 

Re: Urdu Shayeri

by Mahtab » Sun Mar 07, 2004 6:26 pm

BM wrote:
Mahtab wrote:
BM wrote:
Mahtab wrote:I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,
mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.
let us enjoy our urdu lyrics created by ownself
thanx
Mahtab



Assalamaleikum Jahab Mahtab sahib.

Aap Mahtab Qadr (Jeddah_Shayer) toh nahi hein "urdustan" wale :roll:


walaikum salam Janaab
mera khyal hai mai wahi hoN jo aap samajhte haiN..:) aapkab bhi introduction ho jaye to lutf rahega.
shukria


Mehtab sahib yeh khasskar ka naam Amoodi hei, ab toh samaj gaye honge aap. Hamesha khush rahiye.






Bhai Amoodi sahib

aap jeddah aane wale the , Abdullah Nazir sahib se kabhi maloom huva tha aye ya nahi abhi tak, agar aana ho to zaroor mulaqat kareiN, inshallah lutf rahega.

chaliye khushi huvi ke koi shanasa to nikla in anjaani bazm mai.

shukria

mahtab
User avatar
Mahtab
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Sun Jan 27, 2002 6:39 pm
Location: Jeddah SaudiArabia

by BM » Sun Mar 07, 2004 10:21 pm

shaikh wrote:sukriya BM bhai,

Amoodi boleto, wo shalimar cassette wale hai kya ?

mai bhi bhot logon ku jantoun bhai jidda me.

brunei airlines javeed bhai mere khaas dost hai dekho....





Nahi Shaik mein woh wala Amoodi nahi hoon aur mein Jeddah mei bhi nahi hoon, per Saudi Arabia mein hoon.
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

by BM » Sun Mar 07, 2004 10:24 pm

Mahtab wrote:
BM wrote:
Mahtab wrote:
BM wrote:
Mahtab wrote:I would like to invite all hyderabadi urdu poets to post their poetry in this discussion board ,
mai khud bhi urdu shayeri ka dildada hoN aur khud bhi sher kahta hoN.
let us enjoy our urdu lyrics created by ownself
thanx
Mahtab



Assalamaleikum Jahab Mahtab sahib.

Aap Mahtab Qadr (Jeddah_Shayer) toh nahi hein "urdustan" wale :roll:


walaikum salam Janaab
mera khyal hai mai wahi hoN jo aap samajhte haiN..:) aapkab bhi introduction ho jaye to lutf rahega.
shukria


Mehtab sahib yeh khasskar ka naam Amoodi hei, ab toh samaj gaye honge aap. Hamesha khush rahiye.



Bhai Amoodi sahib
aap jeddah aane wale the , Abdullah Nazir sahib se kabhi maloom huva tha aye ya nahi abhi tak, agar aana ho to zaroor mulaqat kareiN, inshallah lutf rahega.
chaliye khushi huvi ke koi shanasa to nikla in anjaani bazm mai.
shukria
mahtab




Nahi bhai Jeddah aana toh nahi huwa, lekin kuch din baad chuti ja raha hoon aur Inshallah chuti sei wapis April mei aawoonga phir Inshallah Jeddah aawoonga.
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Sha-yaar-i

by Tulsi » Thu Mar 11, 2004 11:33 pm

Salamvalikom Bhai Loga,



Shayaari likhnay kay badlay apna apna introduction deelayray chaloo mai shooroo karti hoo



Gul Khila Gulshan Khila abh kali ki bari hai

Mai sheer likh chuki hoo abh bhailoga ki bari hai.
Tulsi
Registered User
 
Posts: 24
Joined: Wed Mar 05, 2003 2:42 am

by Imran » Fri Mar 12, 2004 7:48 pm

Ek sher arz karta hoon .....

kise samjhe hum apna , sabi dil thord jate hai, saja

ke apni mahfil tanha hume chodh jate hai....



laut ayyea kahan hain bhai log!!!!!!
User avatar
Imran
Registered User
 
Posts: 225
Joined: Thu Aug 21, 2003 11:30 am

Shayeri

by tipu » Sun Mar 14, 2004 9:06 pm

[b]zabaan-e-hind hai urduu





zabaan-e-hind hai urduu to maathe kii shikan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[shikan = frown]





merii mazaluum urduu terii saa.Nso.n me.n ghuTan kyuu.N hai

teraa lahajaa mahakataa hai to lafzo.n me.n thakan kyuu.N hai

agar tuu phuul hai to phuul me.n itanii chubhan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[mazaluum = oppressed; ghuTan = suffocation]

[lahajaa = style/manner; thakan = fatigue]





ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai

ye diivaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai

magar ye dil kii dha.Dakan aaj kal dil kii jalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai





ye naazo.n se palii thii miir ke Gaalib ke aa.Ngan me.n

jo suuraj ban ke chamakii thii kabhii mahalo.n ke daaman me.n

vo shah-zaadii zabaano.n kii yahaa.N be-anjuman kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[be-anjuman = without a gathering/assembly (alone)]





muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate hai.n mahafil me.n

ke is ke vaaste jazbaa hai ham-dardii kaa har dil me.n

magar haq maa.Ngane ke vaqt ye begaanaapan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[elaan = proclaimation; jazbaa = feeling; ham-dardii = sympathy]

[begaanaapan = indifference/aloofness]





ye doshiizaa jo baazaaro.n se iThalaatii guzaratii thii

labo.n kii naazukii jis kii gulaabo.n sii bikharatii thii

jo tahaziibo.n kii sar kii o.Dhanii thii ab kafan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[doshiizaa = young girl; naazukii = delicacy; tahaziib = culture/etiquette]

[o.Dhanii = veil; kafan = shroud]





muhabbat kaa agar daavaa hai to is ko bachaao tum

jo vaadaa kal kiyaa thaa aaj vo vaadaa nibhaao tum

agar tum raam ho to phir ye raavan kaa chalan kyuu.N hai

vatan me.n be-vatan kyuu.N hai



[/b]
tipu
Registered User
 
Posts: 132
Joined: Wed Oct 22, 2003 2:24 pm

Re: Urdu Shayeri

by haroon » Tue Dec 10, 2013 12:35 pm

i like Urdu Shayeri but only the sad one..i dont like normal poetry like love and general i like only Sad Poetry
haroon
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Tue Dec 10, 2013 12:27 pm

Re: Urdu Shayeri

by Srinibash Dhal » Tue Mar 04, 2014 5:23 pm

I like to read Urdu sayari is very sweet.
Srinibash Dhal
Registered User
 
Posts: 16
Joined: Mon Mar 03, 2014 11:53 am



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 7 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
phekam phaak.com
walaikum assalam mehtab bhai
Love urdu shayeri 2002
mahtab aap ke ly massage
urdu shayari in hyderabad
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.