Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Barkas Ki Haleem

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

by Zafar Pahelwaan » Thu Apr 06, 2006 5:32 pm

tabeer wrote:barkas ki haleem ku khaake mein bhayanak jhilela ho gaya!




chalne do tabeer bhai..... arey yaaro hyderabad ke dastarkhano ko sahi tariqe se explore karne ke liye barkas ki haleem dono haa khaari aur mitthi aur chakna, chakna boleto barkas ka bhi zabardast rehta lekin yousufain dargah ke paas ka bhi aur empire mei ka... ahaaa ahaaa muh mei paani aara, choice ki chicken biryani alhamdulillah hotel "Nampally" ki bade bhai ki biryani aur taleva gosht aur sheekh kawaab.... mmmmmm pani aaara muh mei waise mera ghar alhamdulillah ke paasich hai nampally pe, aur gular houz shehran ke paas ke kabab aur roomali roti.... ahhaaa ha kya maza aata yaaro.... hussani alam ke shamiyaa. niloufer ki naito farasha ki chai.....



aur phir ghar ke khaane boleto mera favourite item hai.



Khatti dal imli ki nahito kayri ki, khushka aur shami shikampur.... sabse favourite hai mere.

aur baaqi bhot saare hai lekin chugar ka saaalan sine ke gosht ke sath aur qhushka aur asli ghee.

sunday ke din khichdi, khatta, asli ghee, papad aur talewe ande....



kaash ke woh din phir se laut aaye.....



yaaro ab bhot likhdiya mai....



ab tumloga likho....
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Zafar Pahelwaan » Thu Apr 06, 2006 5:39 pm

rabab wrote:
waise aapko haleem pasand to hai na?


Haleem is my favourtie....ab barkaas ki bole to kahena zara mushkil hai .....kaiku bole to barkaas ki haleem chakne ko bhi nahi...gaaye tak khatam hojati naa :roll: :P




arey tum fikar nakko karo mai zafar pahelwan hu tum khaali aajao aur mereku boldo kisdin jaana hai bas athar chaaush ku phone karke boldinge ke hum aaye jab tak haleem ka degh kholna nai bolke.... smiles.....



thoda jaldi uthke gaye to mil jaati amma..... subah 10 baje tak sote pade rahe to kaanse milti haleem... kuch khaane ke liye kuch khona bhi padta....
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Rabab » Thu Apr 06, 2006 9:30 pm

thoda jaldi uthke gaye to mil jaati amma..... subah 10 baje tak sote pade rahe to kaanse milti haleem... kuch khaane ke liye kuch khona bhi padta....




aji kya to bhi hai 10 baje tak koun sote kateey........subah nahi uttha to laaaten partein.....









aur aap kitha to bhi likhtaien....bhook lagri mera ko itna subh cheezain ka naamain suni tooo
~*Hau Bole To Nakko Bol Te...Nakko Bole to Hau Bol te....Ya Hyderabadiyon Ki khaas Addat Jo Karo Bole so Nai Kartee*~
User avatar
Rabab
Registered User
 
Posts: 119
Joined: Mon May 17, 2004 10:40 am
Location: Chicago, Usa

by Zafar Pahelwaan » Thu Apr 06, 2006 9:44 pm

Rabab wrote:
thoda jaldi uthke gaye to mil jaati amma..... subah 10 baje tak sote pade rahe to kaanse milti haleem... kuch khaane ke liye kuch khona bhi padta....


aji kya to bhi hai 10 baje tak koun sote kateey........subah nahi uttha to laaaten partein.....

aur aap kitha to bhi likhtaien....bhook lagri mera ko itna subh cheezain ka naamain suni tooo




kuch khayinge to kaam kar sakinge amma tum..... mai itte saare cheeza jo likha isme se ek item bhi tum roz khaye to bas hai boltu mai.....
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Rabab » Thu Apr 06, 2006 11:47 pm

Nahi hota bahi humera sa kaahaa ko kaam karnaa.a.....kahanaa khaayee to neend aati...neend aayi to sojaata sogayee to kaam kansa karingaaa.....aur waisa ek cheez roz roz koun khaingaaa.....humara ko roz ek nayi cheez hoonaa...aur hum khataee ...Aammi Zindabad :D
~*Hau Bole To Nakko Bol Te...Nakko Bole to Hau Bol te....Ya Hyderabadiyon Ki khaas Addat Jo Karo Bole so Nai Kartee*~
User avatar
Rabab
Registered User
 
Posts: 119
Joined: Mon May 17, 2004 10:40 am
Location: Chicago, Usa

by Mohd Shah Rangeley » Fri Apr 07, 2006 11:59 pm

Assalamalykum sub ku,



Achha Zafar miyan tum to mujhe bhool hi gaye,

jab bhi barkas gaye tum mere liye 2 plate haleem

pasha bhai bhai ke pass se le lo aur mera naam bolo

unku, uno khud hi se special bana detey haleem ki

plate extraa asli ghee dalkey. Aur suno agar itwar ke din jana hua to

ek jaam ka tokra bhi lelo, harraj hota dekho subah subah Barkas football ground ke pass.



Aur yakhutpura wapas hote waqt zara kotley se hokar jaao,

mein intezaar karoonga tumhara. lekin ek fone marlo pehley.
Mohd Shah Rangeley
Registered User
 
Posts: 25
Joined: Tue May 27, 2003 5:55 pm

by Zafar Pahelwaan » Sat Apr 08, 2006 9:24 am

Mohd Shah Rangeley wrote:Assalamalykum sub ku,

Achha Zafar miyan tum to mujhe bhool hi gaye,
jab bhi barkas gaye tum mere liye 2 plate haleem
pasha bhai bhai ke pass se le lo aur mera naam bolo
unku, uno khud hi se special bana detey haleem ki
plate extraa asli ghee dalkey. Aur suno agar itwar ke din jana hua to
ek jaam ka tokra bhi lelo, harraj hota dekho subah subah Barkas football ground ke pass.

Aur yakhutpura wapas hote waqt zara kotley se hokar jaao,
mein intezaar karoonga tumhara. lekin ek fone marlo pehley.




Wal,



Mohd bhai itte dino se ka to bhi the tum.... mai samjha rafiq bin shimlan hamare mamu ke saath saath tumhara bhi kaam hogaya hunga....



khair chalo tum abhi bachewe ho.... khushi hui ek namak ka kankar baaqi hai bolke.... aur kya chalra aajkal.....



leke aato haleem tumhare waaste..... ghar pe pahoncha deta hu...... tum baher nakko niklo..... sune.....



.............smiles.......... Good to hear from you.......... Keep posting............



mai socha nahi tha mera topic itta bikinga bolke....... ab to alhamdulillah public badte jaari.......
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Zafar Pahelwaan » Sat Apr 08, 2006 9:36 am

Rabab wrote:Nahi hota bahi humera sa kaahaa ko kaam karnaa.a.....kahanaa khaayee to neend aati...neend aayi to sojaata sogayee to kaam kansa karingaaa.....aur waisa ek cheez roz roz koun khaingaaa.....humara ko roz ek nayi cheez hoonaa...aur hum khataee ...Aammi Zindabad :D




Rabab amma tumhare itte nakhre....... gaye so ghar mei kaisa hunga gay amma tera...
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Mohd Shah Rangeley » Sun Apr 09, 2006 12:16 am

Salamalekum Zafar miyan,



Aaj kal haath pe koi zameeno ka lafda nahi hai isi liye thoda arram karron,

Rafiq bin shamlaan ki baten kabhi kabhi yaad ati hain,tumhara topic hi itna bindaas hai ke kaisa nahi chalinga.....meri nazar nahi padi itne dino se nahi to dhoom hojati...qair der se hi sahi...aaqir aa to gaye.



chalo ab zyaada baat nhai karsakta...paan ka maza qaraab hora, next time hi sahi
Mohd Shah Rangeley
Registered User
 

by rabab » Mon Apr 10, 2006 7:09 pm

aji ab kounsa to bhi ghar ko bhejarain aap mera ko....aur koun sa ghar ko jana to bhi hai akhir
~*Hau Bole To Nakko Bol Te...Nakko Bole to Hau Bol te....Ya Hyderabadiyon Ki khaas Addat Jo Karo Bole so Nai Kartee*~
User avatar
rabab
Registered User
 
Posts: 119
Joined: Mon May 17, 2004 10:40 am
Location: Chicago, Usa

by Zafar Pahelwaan » Tue Apr 11, 2006 12:27 am

rabab wrote:aji ab kounsa to bhi ghar ko bhejarain aap mera ko....aur koun sa ghar ko jana to bhi hai akhir




Tumhare susraal ku amma..... shadi nai karne ka irada hai kya?
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

by Rabab » Tue Apr 11, 2006 12:32 am

ayyoo kiti baar to bhi shadi karate ..........hogayi jee meri shaadi





khiar aap ko kaisa maloom honga..main bolongi to maloom hogaa..chalo koi baat nahi aab maloom hogayaa
~*Hau Bole To Nakko Bol Te...Nakko Bole to Hau Bol te....Ya Hyderabadiyon Ki khaas Addat Jo Karo Bole so Nai Kartee*~
User avatar
Rabab
Registered User
 
Posts: 119
Joined: Mon May 17, 2004 10:40 am
Location: Chicago, Usa

Barkas ki Haleem

by rf » Tue Apr 11, 2006 2:00 am

Chalne dyo bahut acha jara ye discussion.

Barkas boleto aur ek baat yaad aayi. Mere bachpan ki baat hai, Barkas ke ground me tablighi ijtema hua karta tha har saal. Bhot pahle ke baat hai. Allah accha rakhe barkas walon ko, poora intezam karte the bechare 3 din. Main apne nana hazrat ke saath jaata tha, Red hills se. Ek baar ain ijtema ke waqt baarish hogai to saare barkas wale apne apne gharon me sare logon ka intezam kare. Ab shaid unlogon me wo baat nahi rahi. Khoob paisa agaya bolke shaid.
rf
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Tue Jan 11, 2005 2:54 am

assalamualaikum,

by jazzymiyan » Sun May 21, 2006 1:09 pm

Zafar Pahelwaan wrote:
CtrlAltDel wrote:ayatem analyst! yaani IT??? :D janaab lagta hai hum dono ek hi baradari ke hain...mein ek Software Quality analyst hoon...:D hydbad mein hi ek IT company mein kaam kar raha hoon...



wonderful! are kya pasha tum bhi apni biradari ke naklayi na. aur bataau market mei systems professionals ki demand kitni hai aur salary.


assalamualaikum bhaiyo,sab ko.
mein naya user houn,mein charminar k paasich rehtoun.
mein roz aap logon ke quotes pad toun.
aur mein ummeed kartoun k aap logaan mera saath denge aur mere saath har baat ko share karinge.
allah hafiz. :D
jazzymiyan
Registered User
 

Re: assalamualaikum,

by Zafar Pahelwaan » Sun May 21, 2006 3:35 pm

assalamualaikum bhaiyo,sab ko.
mein naya user houn,mein charminar k paasich rehtoun.
mein roz aap logon ke quotes pad toun.
aur mein ummeed kartoun k aap logaan mera saath denge aur mere saath har baat ko share karinge.
allah hafiz. :D
[/quote]



Wal Salaam jazzy miyan kase hai pasha... itte dino se kaa to bhi the..... khair der aaye durust aaye... haur sunaao.... chicha paasha aur chachi maa khairiyat se to hai na....



khair mai yeh topic ka owner hu aur FHDB ki taraf se tumhare ku khushamadeed kehta hu..... aur apne khayalat aap apna dil kholke is topic mei likh sakte bas khayal rakhiye ke kisi ke dil ko thes nahi pahonchna chahiye....



arey pasha tumhare saath poore baata share karrai ham loga...
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

SAP

by rf » Sun May 21, 2006 10:27 pm

any SAP certified professional?

there are vacancies in Jeddah based company

one of our IT man in Hyd for interviews
rf
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Tue Jan 11, 2005 2:54 am

by CtrlAltDel » Mon May 22, 2006 11:33 am

Jeddah? :shock:



apart from the lure of money, why wud anyone want to work in that prison called Saudi Arabia...? :roll:
wtf? i no longer care if my posts hurt yr feelings :roll:
Love me or hate me, u cant ignore me :D
User avatar
CtrlAltDel
God!
God!
 
Posts: 14824
Joined: Sat Jan 26, 2002 5:02 pm
Location: by the Workshop

Re: SAP

by Syed Adil » Mon May 22, 2006 12:23 pm

rf wrote:any SAP certified professional?
there are vacancies in Jeddah based company
one of our IT man in Hyd for interviews




SAP professional..... mmmmmmmmmm



I dont think I know any SAP professional. By the way what is the package your company is offering. and in what module of SAP you are looking....
User avatar
Syed Adil
Registered User
 
Posts: 118
Joined: Sun Oct 30, 2005 10:19 pm
Location: Saudi Arabia

by Syed Adil » Mon May 22, 2006 12:27 pm

CtrlAltDel wrote:Jeddah? :shock:

apart from the lure of money, why wud anyone want to work in that prison called Saudi Arabia...? :roll:






My boy... you are right... Its all moneys lure that brings people from around the world to this prison....



I mean I work with Americans, Europeans, British,Australians and NewZealanders they too come to saudi arabia because everyone here is overpaid for the shit.....
User avatar
Syed Adil
Registered User
 
Posts: 118
Joined: Sun Oct 30, 2005 10:19 pm
Location: Saudi Arabia

Salaam Hyderabad

by Taj » Wed Jun 21, 2006 1:52 pm

Assalaam Alaikum Zafar bhai,



Bahut khushi hui apnay bhai logon ko bataan sunkay. Main main aapkay guftagu main shaamil honay ki ijaazat chahta hoon.
Taj
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Wed Jun 21, 2006 1:37 pm

Money Money, Honey Honey!

by HH » Thu Jun 22, 2006 9:11 pm

From Barkas ("Barracks", Army Regimentation "Symbol") ... To Money Bins Wheerever In The World ... Money Is HONEY ... From Whatever Prison / Paradise / Purgatory ... In This World.



8)
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Re: Salaam Hyderabad

by Zafar Pahelwaan » Thu Jun 22, 2006 11:28 pm

Taj wrote:Assalaam Alaikum Zafar bhai,

Bahut khushi hui apnay bhai logon ko bataan sunkay. Main main aapkay guftagu main shaamil honay ki ijaazat chahta hoon.




Wal Taj Miya....,



Hausla afzaai ka shukriya... arey mia mai tumhare ku saare hydro's ki taraf se khushaamadid kehta hu... haur tumhare ku meri taraf se poori poori izazat hai.... tum bhi dil khol ke maidan mei kud pado..... haur jo jo shenti maar sakte maaro.... par itna khayal rakho ke yeh msgs apne hydro behna bhi padhte to zara tehzeeb ke daayre mei rehkar.....



lage raho.....
Zafar Pahelwaan
Registered User
 

Proud to be a hyderabadi

by Taj » Sun Jun 25, 2006 3:59 pm

yeh to baat hai hyderabadiyon ki. har kaam karenge dil se... aur kissi ka dil nahi todtay..



parson ek janab mail main hyderabadiyon ka mazaakh uda rahe the, likhtay hain, hyderabad main kissi say road par koi pata(address) poocho, char paanch log jama hojatay address samjhanay.



aray yaaro, yeh hamari mohabbat hai, ek ajnabi ke saath bhi, warna duniya main log paisay lekar bhi madad nai kartay.



aur to aur itna pyar aur khuloos hai hamaray andar kay log tareef karay baghair nahi rah saktay...



apnay dhakkan chronical main kitnay articles pada main, jismay kai logon nay hyderabadiyon ki tareef ki hai. aisaye nai boltay yaaro.



Proud to be a hyderabadi !!
Taj
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Wed Jun 21, 2006 1:37 pm

barkas ke chaush

by dhkaan » Thu Jul 27, 2006 6:26 pm

zaffar bhai sollekom{salaam alaikum} bhai hum bhi jo hai barkas ke gaday{main holes} bhareve gallio me baday hue so hai..uske baad nate behteevi leke hum bhi bachpan me harees khaane jaate thay bhai wo zindagi jo thi na basss dua hai ke waise din fir waapas aana bolke{lekin ab mai chaddi pehen ke nikla toh loga gaaliyan dete :lol: }aur zaffar bhai ye sunay toh bhot achcha dikha bhai ke aap saudia me achchi position pe hai so allah hamaare sabhi bhaiyyo ko aisi hi kaamyaab zindagi ata farmaaye AMEEN...waise hamaare zfaar bhai barkas me zara hawaa banaana hai apne ku zaraa kya hai na apan ku bhi loga pehchanna naam se ab dekho na bhai kaisa logan ab saud baam bole toh pehchaante ya fir esa pehelwan bole toh jaante waisa hi apan ku bhi famous hona hai saab lekin kya karna hahahaha khudahafiz zafar bhai inshallah jald se jald aap ke reply ki ummed me aapka bhai mohammed
User avatar
dhkaan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

Re: barkas ke chaush

by Zafar Pahelwan » Fri Jul 28, 2006 1:04 pm

dhkaan wrote:zaffar bhai sollekom{salaam alaikum} bhai hum bhi jo hai barkas ke gaday{main holes} bhareve gallio me baday hue so hai..uske baad nate behteevi leke hum bhi bachpan me harees khaane jaate thay bhai wo zindagi jo thi na basss dua hai ke waise din fir waapas aana bolke{lekin ab mai chaddi pehen ke nikla toh loga gaaliyan dete :lol: }aur zaffar bhai ye sunay toh bhot achcha dikha bhai ke aap saudia me achchi position pe hai so allah hamaare sabhi bhaiyyo ko aisi hi kaamyaab zindagi ata farmaaye AMEEN...waise hamaare zfaar bhai barkas me zara hawaa banaana hai apne ku zaraa kya hai na apan ku bhi loga pehchanna naam se ab dekho na bhai kaisa logan ab saud baam bole toh pehchaante ya fir esa pehelwan bole toh jaante waisa hi apan ku bhi famous hona hai saab lekin kya karna hahahaha khudahafiz zafar bhai inshallah jald se jald aap ke reply ki ummed me aapka bhai mohammed




Wollekum Salaaam... Kya hai pasha..... itte dino se kaha rah gaye the... Khair der aaye durust aaye.... mai tumku welcome karru aaj.... HYDB members kaan khol ke sunlo Mohammed Miya Hamare Bhai hai... Inse tameez se pesh aao aur inku salaam karke galle milo....



Arey yaaro Mohammed miya yeh kya hai yaaro ab yeh umar mei chadi pehen ke bazaar mei niklinge to logaaa galiya nahi to kya shabashi dinge... aisa nakko karo pasha.... aur sab khairiyat se to hai na.... tum daro nakko miya... apan loga bhi naam karinge naa logaa apne ko bhi pehchante thoda sabar karo... yeh saudi baam... eesa pahelwan ku police pakadteich apan loga hawa jamalinge... fikar mat karo....



aur yeh nayi khabar sune aayi.... saud baam ku bharat kesari mil gayi kate... aur bamas andhra kesari hogaya kate...



khalid ku zora karata tha mai stadium mei khalid saab the coach jab... ab to narsing aagaya kate... magar ab wo daur hi nahi raha... to waha jaake fayda nahi hai....



Khair shukriya bahot bahot aapka ke aap is board par aaye... aur aapki mubarakbaad ka meri job position ke liye....



Inshallah umeed hai ke aap is board par char chand lagayenge...



Allah Hafiz

Zafar Pahelwaan
Zafar Pahelwan
Registered User
 

PreviousNext      

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
KHISSWY
15 4 2022 Murder "barkas" friday bhonai sala murder
अस सलाम अलैकुम जाफर भाई SMS MP3
Pottiya mins in urdu
checking ke hum Thode Se Madari
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.