Monday, 6 May 2024 »  Login
in

Some shayaris for the special ocassion........

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Some shayaris for the special ocassion........

by Valentines Day Special Shayari » Mon Feb 06, 2006 3:32 pm



Hi Friends........
Aapki khidmat mey
VALENTINES DAY ke liye kuch nazm pesh kar raha hoon........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phoolon say achi uski khushboo
Kaliyon say pyari muskaan
sitaaron sa chamakta hua chehra
koyal sii meethi zabaan
chaand bhi chhup jaye yeh keh kay
Aasmaan pay ab kya mera kaam
chaandni to aa nikli zameen say
Kaisi hai yeh qudrat ki shaan
Fursat say banaya hoga rub nay
Farishton ka nahi yeh kaam
Mitti say banay hain hum sab
Us main sona ko milaya hoga
Hooron nay bhi hasrat say dekha hoga
Pariyon say sunder yeh insaan
Alfaaz bhi kum partay hain kahne ko
Aisi hai meri jaaaaaaaaaaaaaaaaaaan


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apne Ehsaas Se Chooker MuJhe Sandal Kardo
Mein Ke Sadion Se Adhoora Hoon Mukammal Kardo...

Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho MuJhe Pagal Kardo...

Tum Hatheli Ko Mere Pyaar Ki Mehendi Se Rangdo
Apni Ankhon Mey Mere Naam Ka KaJal Kardo...

Dhoop Hi Dhoop Hoon Mein, Toot Ke Barso MuJh Per
Mein To Sehra Hoon MuJhe Pyaar Ka Badal Kardo...

Uskey Saaye Mey Mere Khwaab Mehek Uthenge
Mere Chehre Pe Ummiedon Bhara AnChal Kardo...

Apne Honton Se Koi Muhar LaGao MuJh Per
Ik NaZar Pyaar Se DeKho MuJhe GhaYal Kardo...


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
nasiib aazamaane ke din aa rahe hai.n
qariib un ke aane ke din aa rahe hai.n

jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hai.n

abhii se dil-o-jaa.N sar-e-raah rakh do
ke luTane luTaane ke din aa rahe hai.n

Tapakane lagii un nigaaho.n se mastii
nigaahe.n churaane ke din aa rahe hai.n

sabaa phir hame.n puuchhatii phir rahii hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hai.n

chalo "Faiz" phir se kahii.n dil lagaaye.N
sunaa hai Thikaane ke din aa rahe hai.n


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch door hamaare saath chalo
Ham dil kee kahaanee keh deNge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Vo baat zabaanee keh deNge

PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baDa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho !

Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho,
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho !

In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum,
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho !

Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kehtay kyon ho,
Milnay aaatay ho to phir laut kay jaatay kyon ho !


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !

Hazaron ki tarah sun lay teri rusvaee kay dar say,
Teri tasveer humnay kitabon mein chupayee hai !

Teri masoom surat ki yahi taareef hai sun ley,
Zaban pay hai yahi sabkay khudai hai khudai hai !

Marz yeh ishq ka aisa laga ki phir nahin choota,
Dua bhi humnay ki `Rahi' dava bhi aazmayee hai !


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh bhi kya ehsaan kam hain dekhiyey na aapka,
Ho raha hai har taraf charcha hamara aapka !

Chaand mein to daag hain par aap mein woh bhi nahin,
Chaudvi kay chaand say bad kay hai chehra aapka !

Ishq mein aaisay bhi hum doobay huey hain aapkay,
Apnay chehray pay sada hota hain dokha aapka !

Chaand sooraj dhoop subah kehkashan taaray shama,
Har ujaalay nay churaaya hain ujaala aapka !


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kaisay sakoon paoon, tujhay dekhnay kay baad,
Ab kya ghazal sunaoon, tujhay dekhnay kay baad !

[How can I have peace, after seeing you,
Now which ghazal I can say, after seeing you !]


Aawaaz dey rahi hai meri zindagi mujhay,
Jaoon main ya na jaaon, tujhay dekhnay kay baad !

[My life is calling me,
Shall I go or shall I stay, after seeing you !]


Teri nigah-e-mast nay makhnoor kar diya,
Kya maikaday ko jaaoon, tujhay dekhnay kay baad !

[Your deep eyes have made me drunk,
What for should I go to bar, after seeing you !]


Nazron may taab-e-deed hi baaki nahi rahi,
Kis say nazar milaoon, tujhay dekhnay kay baad !

[My eyes have lost the patience,
Whom should I see, after seeing you !]


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanha na apnay aapko ab payey janaab,
Meri ghazal ko saath liyey jayey janaab !

[Madam, don't find yourself alone now,
Please take my ghazal along with you !]


Nagmon ki baarishon mein kahin bheegnay chalay,
Mausam ki aarzoo ko na thukrayey janaab !

[Let us go and get wet in the rains of these sweet songs,
Madam, please don't ignore these requests from pleasant weather !]


Rishton ko bhool jana to aasaan hai magar,
Pehlay khud apnay aapko samjhayey janaab !

[It is easy to forget relationships but,
Madam, please first make yourself understand the relationship !]


Aisa na ho thamay huey aansoo chalak padey,
Rukhsat kay waqt mujko na samjhayey jaanab !

[Don't let my still tears roll down my cheeks,
Madam, please don't try to teach me at the time of departure !]


Main saaz hoon yeh yaad rahey isliyey kabhi,
Meray hi sher mujko suna jayey janaab !

[I am the poet and to remember that, please once in a while,
Madam, sing my own couplets to me !]


Tanha na apnay aapko ab payey janaab,
Meri ghazal ko saath liyey jayey janaab !

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Thats all folks............Hope you like it......

Bye.
Valentines Day Special Shayari
Registered User
 
Posts: 6
Joined: Thu Jan 19, 2006 9:53 pm

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 3 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
special sayries
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.