Friday, 19 April 2024 »  Login
in

Hotelon ke mashoor pakwaan.

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Baigan ki meri » Sun Aug 13, 2006 6:24 am

Yaaroon woh bhi ek zamaana tha jab apan doston ke saath dusron ke shaadiyon mein ghus jaatey they. Dinner table ke nazdeek seating liya kartey they, dusrey logan stage ghoora karte they, apan Chaliye bolne ki awaz suna kartey they. Aajh jeb main paisa hai lekin na wo Hyderabad raha na hum rahey.



Khair mai ek choti moti list banaron jidhar sab logan Hyderabad ku wapas jaaney wale khaasaktey, mere hisaab se yeh hotalan bhout achey hai abhi bhi, aap logan aur batao zara kuch bakhi hai toh.



Amfah hotel ki kalyani biryani, Iqbal hotel ki chai, Alhamdulillah ki haleem, lateef ka paaya, tolichowki ki broast, paradise ke currypuffs, meraj hotal ka mittha paan, maharaja ki kaju ki pakoodi, hameedi ka jaozi halwa aur badam ki jaali, agrawala ka petha, patthar ka gosht exhibition mein, shaadab ka dum ka gosht, famous ki tutty fruity, gokul ke chaat, karachi bakery ke fruit biscuit, universal bakery ka cake, mozamjahi market ke aam, dar us salaam ke bhuttey, raithu bazar ki tarkaari, tankbund ki murral macchi.



Baakhi bachey aap logan add kardo.
If you can't dazzle them with your intelligence, baffle them with your bullshit.
User avatar
Baigan ki meri
Registered User
 
Posts: 14
Joined: Tue Dec 23, 2003 2:34 pm
Location: Vancouver - British Columbia. Canada

by indiabo » Sun Aug 13, 2006 9:45 am

Yaaroon woh bhi ek zamaana tha jab apan doston ke saath dusron ke shaadiyon mein ghus jaatey they


Aisa kaam hum ne kabhi nahin kiya.

Bin daawaati mehmaan

Aajh jeb main paisa hai




there is no one to cherish ur success.



Get back to ur hyderabad



by the way the good ones



aaj kal.............



Pista house ki biryaani,

Karachi ke rote,

Akbar darbaar ka chicken talahuaa,

kebabish ka kebab,

Gokul ka cutlet aur ragda,

aur

iqbal ka khheechdi khatta

..........................



............
indiabo
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

by Syed Adil » Mon Aug 14, 2006 11:02 am

Ramkrishna ke baazu mei hai so Amjad ki chicken 65 ki bandi ku bhool gaye tum logaa... kisi bhi 5 star hotel ke chicken se hazaar guna zyada tasty rehta....
User avatar
Syed Adil
Registered User
 
Posts: 118
Joined: Sun Oct 30, 2005 10:19 pm
Location: Saudi Arabia

by indiabo » Tue Aug 15, 2006 10:22 am

sahi bole bhai woh chicken ki bandi ka chicken kiraak hai.





waise mallepally ke showarma ko bhai bhuul gaye
indiabo
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

PaRADISE PERSIS

by CTC » Tue Aug 15, 2006 6:01 pm

i LIKE bIRYANI AT pARADISE pERSIS, Paradise

I had it couple of times and like it very much
______________________________________
Intellectual growth should commence at birth and cease only at death” -Albert Einstein
User avatar
CTC
Registered User
 
Posts: 109
Joined: Thu Jun 29, 2006 7:25 pm

by Syed Adil » Tue Aug 15, 2006 9:16 pm

indiabo wrote:sahi bole bhai woh chicken ki bandi ka chicken kiraak hai.


waise mallepally ke showarma ko bhai bhuul gaye




Arey Hau Yaaro... mai to bhul hi gaya dekho... nampally ka shawarma.... bhot zabardast rehta... mere ghar se 5 min ki doori pe hai aur mere ku yaad nahi raha dekho.... ab hamare ghar ke paas ki famous spots ki baat nikli to yaad aaya.... shawarme ki dukaan ke bilkul samne jo mirchi bhajiyo ki dukaan hai so aur Nampally court ke paas ki bandi ka anda bonda.... not to forget subhan bakery ke currypuffs mera to anda currypuff favourite hai... kamsekam do to hona hi hona.....
User avatar
Syed Adil
Registered User
 
Posts: 118
Joined: Sun Oct 30, 2005 10:19 pm
Location: Saudi Arabia

by indiabo » Wed Aug 16, 2006 12:16 pm

Arey adil bhai yaane aap mallepally ke mukheem aadmi. bhai aap ku maloom hai ki naiki magar yeh shawarma waale bhai zara proudishhh hogayw, Ab unko gosht zyaadaa daalo boleto ghooorte aur us pe se unka showarma jeb halki kar dera bhaai 27 rupees



waise woh mirchiyon ki dukaan hai to achchi magar. zara saaf safaai nahi hai. aur anda banda nahi khaaya. agli baar jaounga wahan to zaroor court ke paas jaake dhountoun.



Aur ek baat ...



yeh chinese kahan milta achchaa... ek dukaan hai AC guard mein ????????????
indiabo
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

by Syed Adil » Wed Aug 16, 2006 1:24 pm

indiabo wrote:Arey adil bhai yaane aap mallepally ke mukheem aadmi. bhai aap ku maloom hai ki naiki magar yeh shawarma waale bhai zara proudishhh hogayw, Ab unko gosht zyaadaa daalo boleto ghooorte aur us pe se unka showarma jeb halki kar dera bhaai 27 rupees

waise woh mirchiyon ki dukaan hai to achchi magar. zara saaf safaai nahi hai. aur anda banda nahi khaaya. agli baar jaounga wahan to zaroor court ke paas jaake dhountoun.

Aur ek baat ...

yeh chinese kahan milta achchaa... ek dukaan hai AC guard mein ????????????




Mallepally ka nahi hu bhai mai to sultan nawaz jung ki masjid se thodi dur pe rehtu lekin badi masjid ke paas jo hashim ground hai usi mei khelte khelte bachpan nikal gaya.... hau ye baat to sahi hai ke mirchiyo ki jo dukaan hai usme zyada safaayi nahi rehti... aur anda bonde ki jo bandi hai wo bilkul court ki turning pe lagti dekho...mayrose cafe ke baazu mei... aur chinese ke liye I think Chiraagh Ali galli mei shaam ku bandi lagti... uska chinese acha rehta... mai jab hyderabad mei tha jab to acha banta tha ab kya hai ki...



agar aapku kisi nayi chinese spot ke baare mei pata chale to mereku bataao... mai waha aye jab khane jaatu... agar aapku bhi chalna hai to boldo abhi... mai aane se pehle bolke aatu...
User avatar
Syed Adil
Registered User
 
Posts: 118
Joined: Sun Oct 30, 2005 10:19 pm
Location: Saudi Arabia

hotalan

by pinde ki meri » Mon Aug 28, 2006 11:30 am

aray bhai alhamdulillah haleem ke liye nahi biryani ke liya mashoor hai aur app log koi the angraiz film dekhe kiya? bhot maze ki hai dekho app log.
pinde ki meri
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Mon Aug 28, 2006 11:26 am

Nahin maalum

by VJ » Tue Aug 29, 2006 4:48 pm

Mujhe tho aap logon ke bataye hue ek bhi hotel nahin maalum paradise ke sivaa. :( Unfortunate.......



@VJ
Being Oneself is One of the Greatest Qualities of All Time In a Human Being.
User avatar
VJ
Registered User
 
Posts: 473
Joined: Wed Apr 19, 2006 12:34 am
Location: On My Way........

mat karo maloom

by Kiraak » Tue Aug 29, 2006 5:12 pm

Miya VJ .... kaan rahte bawa tum ???? hyderabad ke nai dikrain tum!!!! :o
Kiraak
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Tue Aug 29, 2006 4:49 pm

Re: mat karo maloom

by VJ » Wed Aug 30, 2006 9:48 am

Kiraak wrote:Miya VJ .... kaan rahte bawa tum ???? hyderabad ke nai dikrain tum!!!! :o
New Bowenpally near center point. I guess its far away from the hotels u r talking about........... :(



@VJ
Being Oneself is One of the Greatest Qualities of All Time In a Human Being.
User avatar
VJ
Registered User
 
Posts: 473
Joined: Wed Apr 19, 2006 12:34 am
Location: On My Way........

Re: mat karo maloom

by VJ » Wed Aug 30, 2006 9:53 pm

Kiraak wrote:Miya VJ .... ???? hyderabad ke nai dikrain tum!!!! :o


Haan yaar mera proper hyd nahi hai. mai hyd ka nahi hu. Isi liye tho pooch re tum logon se.................. :)



@VJ
Being Oneself is One of the Greatest Qualities of All Time In a Human Being.
User avatar
VJ
Registered User
 
Posts: 473
Joined: Wed Apr 19, 2006 12:34 am
Location: On My Way........

Re: Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Sameer Siddiqi » Tue Aug 04, 2009 5:59 pm

1. Nelofer ki chai and biscuits.
2. Alhamdullillah ki biryaani
3. Arbaab ki nahari
4. Shadab ki biryaani

aur kuch toh bhi yaad aaya toh batatun

Sameer
Sameer Siddiqi
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Tiger » Tue Aug 04, 2009 10:40 pm

arre yario tum logan sob chillar hotalon ke namaan batarein yaro. kiya toh bi hai ? nay nay logan hyd mein arrein unku arbab ku bhijate ?? chi chi bhot kachra gandaggi raehti.

zara meri favorite list dekho:

1) nanking, sec.bad
2) hy-king himyt.ngr
3) four seasons salarjung colony near tolichowki
4) nayab hamare dost zafar bhai ki hai, haleem biryani is good, same is shadab.
5) blue-fox, himyt ngr excellent for more than 25 yrs.
6) chai n snacks still no body can beat Alpha sec. stn.
7) vegi - kamat at saifabad or abids taj

pls dont send newcomers to rough places like alhamdulilla and arbab, mallepalli prince or similar they have 3rd rate service and zero hygene.
Tiger
Registered User
 

Re: Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Diyanat » Sat Aug 15, 2009 6:54 pm

Bilkul sahi bole tiger bhai, wo sob jagah yeh bahar ke logaan gaye to diarhea or gastro se pad jate, hospitalaan full hojate

meri list hai dekho jaeb full hai jab

1) Four Seasons (arabic platter) - Towli Chowki
2) Banne Nawab (biryani) - Towli chowki
3) Hyderabad House ( biryani) - Banjara Hills
4) Kshetra ( vegetarian) - idli dosa - somaji guda
5) Ohris ( Midnight biryani) - banjara hills
6) Paradise ( Biryani) - secunderabad
7) Dine Hill ( Arabic Food) - Masabtank
8) Nan king - chinese - parklane circle
9) 3 cheers - chinese - saifabad

Jaeb khali rehi jab apan ghar mein ich kha lete


diyanat
Diyanat
Registered User
 
Posts: 7
Joined: Sun Mar 30, 2003 11:37 pm

Re: Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Sameer Siddiqi » Sun Aug 16, 2009 11:16 am

Pasand apni apni - agar aap log alhamdullillah ya prince ya arbaab ki biryani pasand nahin kartey toh kiya huwa - doosre log toh kartey.
Sameer Siddiqi
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: Hotelon ke mashoor pakwaan.

by Sahi farmaaye sablogan » Sun Jan 31, 2010 6:00 am

Aap sablogki baatonse main sehmat hoon, bahut mazaa aaya padhke aur haan mazese zyaada munhse paani aaya...2-3 addey merekubhi nahi maloom thay ab maloom hogaye...isbaar hyd gaye jab try maroonga inshaallaah....waise mere tarafsebhi is listmein kuch add karna chahta hoon...

Bikanerwala B'Hills ke sweeets aur desserts
Minerva Punjaguttake veg dishes like dosa, vada, puri-cholay etc

Yeah dono jagahonki guarantee main deroon aapsabku...khao, enjoy karo aur hamaareku yaad karo!!!
Sahi farmaaye sablogan
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Sat Jan 30, 2010 5:13 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 12 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Yeh Vaada to Secunderabad Chahta Hoon
Mashur hotels in hyd
mashoor hadarabaad
Hyderabad ke Nawab Jate movies
Agra ki masoor chi
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.