Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayeri

by Saira » Sat Dec 16, 2006 11:38 am

Yek yehi aas hi kafi hai mere jine main

Dil nahin aap dhadakte hain mere seene main



Tujh se jo ghao mile dil se lagalete hain

kitni lazzat hai teri zaat ke gham peene main[color=blue][/color][/code]
User avatar
Saira
Registered User
 
Posts: 38
Joined: Sun Jul 07, 2002 1:17 am

salaam alaikum

by dhakkan » Mon Dec 18, 2006 12:35 am

subhan allah very well said....
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

ghazal

by Saira » Thu Jan 04, 2007 11:26 am

Ankhon se meri is liye lali nahin jati

Yadon se koi raat jo khali nahin jati



Ab umar na mausam na voh raste ke voh palte

Is dil ki magar kham khayali nahin jati



Mange tu agar jaan bhi hans ke tujhe deden

Teri tu koi baat bhi tali nahin jati



Aaye koi aakar yeh tere dard sambhale

Hum se tu yeh jagir sanbhali nahin jati



Maloom hamain bhi hain bohot se tere qisse

Par baat teri hum se uchhali nahin jati



Humrah tere phool khilati thi jo dil main

Ab shaam vohi dard se khali nahin jati



Hum jaan se jayenge tabhi baat banegi

Tum se tu koi raah nikali nahin jaati



ghazal by Vasi Shah
User avatar
Saira
Registered User
 
Posts: 38
Joined: Sun Jul 07, 2002 1:17 am

salaam

by dhakkan » Sun Jan 07, 2007 12:03 am

again a very gud 1...
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

by shanee » Fri Mar 23, 2007 12:09 pm

Aziatoon Key Tamaam nashtar,

Meri Ragoon main Utaar Ker Wo.



Bari Mohabbat Se Poochta Hai,

Tumhari Aankhoon Ko Kya hua Hai



----------------------------------------

sms jokes - funny sms, cool sms, love sms
shanee
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Fri Mar 23, 2007 12:01 pm

by Imran Khan » Thu Jun 07, 2007 10:11 pm

woh pari jo meelon door hai

jiski yaad se dil noor noor hai

jaanTa hoon har soorat woh gair hai

Phir bhi uski aarzoo zaroor hai







mila anjaam na kahani ko

barbaad kar baitha jawaani ko

seene se lagaye firTa hoon

yaar ki aakhri nishaani ko



woh na hoti to main kahan hota

zaRra hota na aasmaa(a) hota

wohi duniyadaari ke jhagde hote

wohi be-rozgaari ka samma(a) hota



ae kaash ke woh ba-wafa hota

yaa makaam kuch judaa hota

main ro deta hoon is khayaal par

woh jo meri hoti to kya hota



uske gham mein khoye rehte hain

khuli aankhon se soye rehte hain

girte hain palkon se aansoo aise

ke apna daaman bhogoye rehte hain





Jab kabhi khud ko tanha paata hoon

ik tasveer jehan mein banaata hoon

kar ke band bheegi palkon ko

uski yaadon mein doob jaata hoon





kaise keh doon ke woh paraaya hai

usi ne to jeena sikhaaya hai

hai uSi ke naam se ye shayri

ye "sher" usi ne banaya hai



Woh pari to meelon door hai

haan uski aarzoo zaroor hai..........
When life knocks you down you have two choices-
stay down or get up...!!!!

Image
User avatar
Imran Khan
Registered User
 
Posts: 225
Joined: Thu Aug 21, 2003 11:30 am

by Imran Khan » Fri Jun 08, 2007 12:07 am

uske hote hue bhi tanhai milli hai,

wafa karke bhi bewafai milli hai,

jitni dua ki use pane ki,

us se zyada uski judai milli hai
When life knocks you down you have two choices-
stay down or get up...!!!!

Image
User avatar
Imran Khan
Registered User
 
Posts: 225
Joined: Thu Aug 21, 2003 11:30 am



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Hum jaan se jayenge tabhi baat banegi. Unse to koi rah nikali nahi jati.
mange tu agar jaan bhi has ke tujhe de den
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.