Jab kabhi bhi mere dil ke aaine mein aati ho,
Har saans ko meri tum mehka jaati ho,
Raat bhar chand ka deedar karta hun,
Kabhi chand se to kabhi khud se baat karta hun..
Gunguna kar khayalo mein, har pal ate ho,
Khuli ankhon mein akar hulchul machate ho,
Band karta hun jab ankhen to tum muskurati ho,
Pal pal roop badal kar, meri jaan, mujhe satati ho..
Haal kya se kya ho gaya mera,
Jo kuch kahun to, mazakh tum udati ho,
Ye kaisa sama pyar ka tumne bandha hai,
Main hun akela, phir bhi, mujh mein tum gungunati ho...