Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Haar au Jeet

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:10 pm

Haar Gaye Ham Fariyad Karke,
Ham Ro Rahe Hain Unhe Yad Karke,
Jal Gaye Yadon Me Jismo Jan Bhi,
Pachta Rahe Hain Ham Pyar Karke.
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:10 pm

Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye
Aankhon Say Sab Aasaar Gaye, Hum Haar Gaye
Kuch Yaadein Uss Ki Beech Samander Doob Gayeen
Kuch Sapney Reh Uss Paar Gaye, Hum Haar Gaye
Ikk Umr Rahey Hain Jeet Say Be-Perwah Lekin
Jab Jeetna Chaaha, Haar Gaye Hum Haar Gaye
Yoon Uljhey Duniya Ke Dukh Mein Be-Sudh Ho Ker
Sab Jhootey Sachey Pyaar Gaye, Hum Haar Gaye
Pehley To Preet Mein Apney Aap Say Door Huwey
Phir Yaar Gaye, Dildaar Gaye, Hum Haar Gaye !
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:11 pm

Haar Jeet To Kissmat Ki Baat Hai,
Magar Hum Phir Bhi Azmayege,
Log Tume Pa Kar Bhi Khoyege,
Hum Tume Kho Kar Bhi Payege,
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:11 pm

Hum Apney Aap Pey Bhi Zahir Kabhi Dil Ka Haal Nahii Kartey
Chup Rehtey Hain Dukh Sehtey Hain Koi Ranj O Malal Nahi Kartey

Hum Jo Kuch Han Hum Jaisey Hain Waisey Hii Dikhaii Daitey Hain
Chehrey Pey Bhabhoot Nahii Maltey Kabhi Kaaley Baal Nahi Kartey

Hum Haar Gye Tum Jeet Gye Hum Ney Khoya Tum Ney Paya
In Chotii Chotii Baaton Ka Hum Koii Khyaal Nahi Kartey

Teray Dewaaney Ho Jatey Khien Seharaaon Mein Khoa Jatey
Dewaar O Dar Mein Qaid Humien Agar Ehal O Ayaal Nahii Kartey

Teri Marzii Par Hum Raazi Hain Jo Too Chahey Wo Hum Chaahien
Hum Hijjr Kii Fiker Nahii Kartey Hum Zikar E Visaal Nahii Kartey

Humien Teray Siwa Is Dunya Mein Kisi Aur Sey Kya Laina Daina
Hum Sab Ko Jawaab Nahii Daitey Hum Sab Sey Sawaal Nahii Kartey

Ghazalon Mein Humarii Bolta Hai Wohii Kaanon Mein Ras Gholta Hai
Wohii Band Kavaarey Kholta Hai Hum Koii Kamaal Nahii Kartey
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:12 pm

Ajab be-maqsad hai silsila-e-ishq
Yeh lamha humse guzara nahi jata
Nahi dor tak jeet k asaar magar
Najane kyun humse hara nahi jata
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:13 pm

Kehne Ko Woh Pehli Chahat Thi
Woh Jis Mein Junoon Tha, Shiddat Thi
Pakeeza Thi, Anmol Thi Woh
Khwabon Ke Jahan Ki Ulfat Thi
Mehboob Ko Bhi Malum Na Tha
Aisi Khamosh Mohabbat Thi
Khamosh Rahi Bekaar Hui
Na Jeet Hui Na Haar Hui
Phir Waqt Ne Apni Chaal Chali
Woh Furqat Se Do-Chaar Hui
Kaisi Khamosh Mohabbat Thi
Gulzaar Se Phir Woh Khaar Hui
Furqat Se Junoon Mein Aag Lagi
Is Dilke Sukoon Meom Aag Lagi
Ashqon Ki Ladi Aankhon Se Bandhi
Is Jism Ke Khoon Mein Aag Lagi
Phir Waqt Ne Apni Chaal Chali
Dil Se Woh Khumaar-E-Preet Gaya
Honthon Se Wafa Ka Geet Gaya
Kehne Ko Woh Pehli Chahat Thi
Uska Bhi Zamana Beet Gaya
Hijraan Ki Shabon Se Lad Lad Kar
Dil Haar Gaya, Gam Jeet Gaya
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sun Jan 15, 2012 9:13 pm

Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
Us Ne Tou Kabhi Ehsaas Nahi Kiya,
Phir Be Main Uska Ehsaas Karon Ga,
Jitni Be Dard Main Gehrai Bhadhay Gi,
Main Usi Shiddat Se Khushi Ko Talash Karon Ga,
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Ahsan » Mon Jan 16, 2012 2:28 pm

Bhaimiya, bade "tapye huwe" lagte ho yarr, If its your own poetry the I must say u r v.good poet.
Ahsan
Registered User
 
Posts: 13
Joined: Tue Jul 27, 2010 3:24 pm

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Tue Jan 17, 2012 1:53 am

Arei nahi bhai meri kahan sei hogi, meine toh sirf post kiya hei.

Ahsan wrote:Bhaimiya, bade "tapye huwe" lagte ho yarr, If its your own poetry the I must say u r v.good poet.
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by HH » Sat Jan 21, 2012 3:33 pm

* Satya - Haar Aur Jeet Ke Par

Bahut Khuub, BM Sahab!

Arz Hai!
>>>>>>
Satya Ka Koi Side Nahi........Haar Jeet Ye Sab Relative Hai

- http://www.youtube.com/watch?v=Q8Fiu-fNXq4
<<<<<<
-------
8)
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Re: Haar au Jeet

by Bhaimiya » Sat Jan 21, 2012 5:10 pm

Bahot khoob HH sahib.
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Haar au Jeet

by Hair Transplant » Wed Oct 02, 2013 9:45 pm

Hair transplant surgery is fast becoming a popular choice of procedure for both men and women who have been affected by hair loss. Losing your hair, especially for men, might appear to be a minor problem but there are many people who find it difficult to accept. This leads to frustration, anxiety and depression. Some people find that they become isolated as a result and are unable to discuss their feelings about this with anyone for fear of ridicule. But losing your hair is no laughing matter. Some people are happy to wear a wig or even go bald but others find that having a full head of hair is part of their identity. Your hair is a statement of who you are; your status, age and position in society
Fue Hair Transplant in Pakistan , Greffe cheveux a Bruxelles
Hair Transplant
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Wed Oct 02, 2013 9:44 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
fue hair transplant kya hoti hai
Xxx aujeet
ham ro rahe he unhe yad karke
har gaya dil fariyaad hum ro rahe hai unhe yaad karke
ham ro rahen hai unhe yad karke
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.