Friday, 29 March 2024 »  Login
in

HYDERABADI POEM IN URDU

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:31 pm

Ap K Berukhi Ko B Rutba Diya Hum Nay,
Dosti Ka Har Farz Ada Kia Hum Ne,
Mat Sochiye Ga K Hum Bhula Dainge Apko,
Aj Phir Ap Se Pehlay Apko Yaad Kiya Hum Nay…
`
Jis Ki Qurbat May Qarar Bohat Ta,
Jis Se Milna Dushwar Bohat Ta,
Wo Jo Hathon Ki Lakeeron May Na Ta,
Us Shakhs Se Hamain Pyar Bohat Ta.
`
Log Kehtay Hay K Haseen Mar Jatay Hain
To Sitaray Ban Jatay Hain
May Kehti Hu Jab Sitaray Gir Jatay Hain
To Tum Jaisay Dost Ban Jatay Hain…
`
Khuda Na Karay Apko Kabhi Gham Milay,
Khushia Aur Hansi Har Dam Milay,
Jab Kabhi Gham Apki Taraf Aye,
Khuda Karay Rastay May Usay Hum Milay.
`
Phool Khushbu K Liye
Pyar Nibhane K Liye
Ankhen Dil Churane K Liye
Aur Yeh Sms Apko Meri Yaad Dilane K Liye…
`
Har Khushi Se Khobsorat Teri Sham Kar Don
Apna Pyar Aur Dosti Tere Naam Kar Don
Mil Jaye Agar Dubara Yeh Zindagi
Har Bar May Yeh Zindagi Tere Naam Kar Don…
`
Kash Khushion Ki Dukan Hoti,
Hum Ko Uski Pehchan Hoti,
Khareed Letay Sari Khushian Ap K Liye,
Chahay Uski Qeemat Hamari Jaan Hoti…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:32 pm

Na chahat hai sitaron ki, Na tamana hay nazaroon ki, Aap jaoisa ek dost mila tu kya zarorat hay hazaron ki..

Umid aise ho jo jeeny ko majbor kare, raah aisi ho jo chanle ko majbur kare. mahak kum na ho kabhi apni dosti ki, dosti aisi ho jo milne ko majbur kare..

Dosti achi ho tu rang lati hai, Dosti gehri ho tu sabki bhati hai, Dosti nadan ho tu toot jati hay, per dost hamse ho tu itihass ban jati hai…

Sabse intelligent koun: TUM , sabse smart koun: TUM sabse storng koun: TUM in sab me TUM se zeyada koun: HUM lakin dunia me sabse acha dost kaun: HUM TUM

Har rishta mila virasat me,phir dosti kyu alag se banai hai..
kyuki baaki rishte banaye khuda ne,
aur dosti khud khuda ki parchai hai…
Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari.
Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:33 pm

Khuda ne Dost ko Dost se Milaya,
Dosti k Liye Dil ka Rasta Banaya
Per kehty hain Dosti Rahey gi us ki Hamesha
Jis ne Dosti ko Dil se Nibhaya.
`
Judai Apki Rulati Rahegi.
Yaad Apki Ati Rahegi.
Pal Pal Jaan Jati Rehegi.
Jab Tak Jism Mai Hy Jaan.
Har Saans Ye Dosti Nibhati Rahegi.
`
In umeedon ko kabhi totne mat dena
Dil k Pyar ko kam hone mat dena
Shayad dost mil jayen Aap ko Hum se bhi ache
Par humari jagah kisi Or ko lene mat dena..
`
Koi door hai to koi pass hai
yeh waqt-waqt ki baat hai
hum-tum door hain to kya hua?
Apni dosti ki yaaden to hamesha apne sath hain.
`
Her dost se Achi Baat karna Fitrat hai Hamari,
Her Dost khush Rahe hasrat ha hamari,
Koi Hum ko Yaad kare Na karey,
Her Dost ko Yaad kerna Aadat h humri.
`
Baat Baat pay jo rooth jatey hain,
Un say kaho k haath anjaney main choot jatey hain,
Itna nazuk hai ye D0STI ka Rishta,
k Hansty Hansty bhi Dil toot jaty hain.
`
Dosto” ka” To” Ana “Jana” Hai,
“Par “Ye” Dost tera “Porana” Hai,
“Is” Dost “Ko Kabi” Bhula” na” Dena,
“Q” k” Ye Dost “Teri” Dosti” ka” Dewana” hai.
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:33 pm

Tum Bin Jena Esa Hay
Zehr ko Pena Jesa Hay

Tum Se Bichar k Zinda Rehna
Hum Se Pocho kesa Hay

Mera Tum ko Takty Rehna
Chand ko Takny Jesa Hay

Tera Hans k Baaten krna
Khilty Pholon Jesa Hay

Badal Tery Piyar ka Humdum
Aj To Khul k Barsa Hay

Chand ki Nazren Jhuk Jati Hain
Tu DOST Mera EsA he !!!

No

I Am Not Decent
I Am Not Good

I Am Stupid
I Am Mental
I Am Idiot

Aisa Q sochte ho Tum?

Tum jese bhe ho Mere Dost ho.. Got it ;-)

Dost ka pyar kisi dua se kam nhi hota
Wo chahe dor bhi ho to gham nhi hota
Pyar me aksar dosti kam ho jati hy
Pr “DOSTI” mein pyar kbi kam nhi hota.

Ham jo tum se mile hain koi ittefaq thori hai
Mil k tum ko chor den koi mazaq thori hai
Agr hoti tum se DOSTI ik had tak to chor dete
Pr hamari tumse DOSTI ka,koi hisaab thori hai
Ab tum dhoondo gay is sms ka jawab
Par “My FRIEND” is sms ka, koi jawab thori hai.

Achy Dost ki 3 Nishanian:
1. Ain time pe apna kamina pan dikha dega.
2. Kameny ko kaam kaho gy to foran kahy ga HO JAYE GA, per 1 din ka kam 10 din tak latka dy ga.
3. Bachiyon ko Poetry or humain Islami msg kary ga.

Din beet jate hain suhani yadin bankar
Batin reh jati hai kahani bankar
Pr dost to hamesha dil k qarib rahenge
Kabi muskan to kabi Aakhon ka pani ban kar.

Ap jesa dost har ek ka khuwab hota ha
jinka ek alag andaz hota ha
yun to aasman mey taron ka koi hisab nhi
pr ap jasa dost taron ma bhi aftab hota ha.

Hum dosti ka farz yohi nibhate rahen ge,
waqt be waqt aap ko satate rahen ge,
DUA karo umar yo lambi ho hamari,
warna yaad ban kar aap ko zindagi bhar rulate rahen ge.

Kehte hein her baat kisi ko kahi nahi jati,
Apno ko bhi batayi nahi jati,
Par dost to dil ka Aaina hota hai,
Aur Aainay se soorat chupaayi nahi jati…
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:34 pm

Haqiqaton k kareeb aane k baad,
Samjhe mohabbat ko Dil lagane k baad,
Mujhe apna nahi hai dukh uska hai!
K kon chahe ga itna usey mere jane k baad……?

Aankhon ko intazar ki aadat si ho gai,
Yun he Khayal-e-Yaar ki aadat si ho gai,
Aur doosra koi mily bhi to dil dil manta he nahi,
Humko tere pyaar ki aadat si ho gai.

Tumharay bin nahi rehna, Mujhe Tumse Muhabbat Hai,
Hai tumse bas yehi kehna, Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Zaban to keh nahi sakti, Tumhain Ehsaas to hoga,
Meri aankhon ko parh lena, Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Tumharay naam kardi hai, Ye puri Zindagi apni,
Bhalay he dukh paray sehna, Mujhe Tumse Muhabbat Hai,

Humhain Ehsaas hai tumko bhi humse pyar hai lekin…
Ye meray saamnay kehna, Mujhe Tumse Muhabbat Hai.
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:34 pm

Mil k bhi na mil sake,
To juda ho kar kya alag ho payenge
Mana har khushi mil sakti hai humein,
Is zamane se par kye is khushi ko dil
se mehsus kar payenge……

Mein ne Tume Apni wafaon ki zanjeer se Azaad kya

Khudara!
Ye mat puchna k Mein ne khud ko
Tumhari qaid se Azaad kia ya nahi

Yaqeen Jano!
Mein un qediyon mein se hun
Jo khulay darwazay dekh kar bhi
Farar nahi hotey…!!
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:35 pm

“Kash”
Sapnay Haqqiqat Hotay
Me har Sapnay Me Tujhe Dehka Kerta

“Kash”
Zindgi Me Har Dua Me Pori hoti
Me Har Dua Me Tujhay Manga Kerta

“Kash”
Zindgi Wafadar Hoti
Me Sari Zindgi Tera Sath Nibhata

“Kash”
Zindgi Me Lafz

“Kash”
Na Hota…..

Kaho,
Woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye

Kaha,
Sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklain
magar sub kuch baaha aaye
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Sat Mar 24, 2012 4:35 pm

Kaho,
Woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya

Kaha,
Bus aag Jaisa tha.

Suno!
Koi bhi Roug de dena
Koi bhi Naam de dena

Nahi Subah sohani to
Ghamo ki Shaam de dena

Magr itni Guzaarish he
Meri Taarik Raton se

Tum apni Chahton ki lo,
Kabhi Madham nhe krna

Faqat Ehsaan ye krna
Muhabbt km nhe krna.

Hum ko pyar itna do k had na rahe,
Magar aitbar b itna karna k shak na rahe,
Wafa itni karna k bewafai na ho,
Aur dua bus itni karna ka kabhi judai na ho..

Aap to manzil ko mushkil samajhte hain,
Hum aap ko manzil samjhte hain,
Bara fark hy aap k or hamare nazarye me,
Aap hame Sapna or hum aap ko Apna samajhte hain.

Mohabbaton Main Shumar Kaisa?

Yaqeen Kaisa?
Guman Kaisa?
Urooj Kaisa?
Zawal Kaisa?
Sawal Kaisa?
Jawab Kaisa?

Mohabbatain To Mohabbatain Hain,
Mohabbaton Main Hisab Kaisa?


:lol: :lol: :lol:
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:39 pm

Kuch aapke pesh-e-khidmat hei.

chupaye dil me gamo ka jahan baithe hai
hum teri yaad me bas bejawah baithe hai
ye baat aur hai ki hum manjil tak na pahuch sake
magar hum saare kante bhare rahon ko chun baithe hai
aur gardish me takdir hame kya satayegi
luta ke ishq me naamonisan baithe hai
ek lafjon mohabbat hi dil ka dushman hai
jise sariyat maan baithe hai...
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:47 pm

dil na milte to mulakat aduri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
shukriya tera tere aanese ronak to badhi
nahi to yeh mehfil ek jasbat aduri rehti
tune apne daman mein chupaye mere aasu
nahi to akho ki barsaat adhuri rehti
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:47 pm

Dard Hota Nahin Duniya Ko Dikhane K Liye
Har Koi Rota Nahin Ansu Bahane Kliye
Rutne Ka Maza To Tab Aata Hai
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:48 pm

Udaas na hona kion k main sath hon,
Samnay na sahi per aas paas hoon,

Aankhon ko band karo dil se yaad karo,
Main hamesha aap k liye eik ehsas hon,
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:49 pm

Aap Jab Saamne Se Gujar Jate Hain Armaan Dil Ke Saare Ubhar Aate Hain Dekh Kar Aapki Pyari Surat Sehme Hue Se Phool Bhi Muskura Jate Hain..
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:50 pm

Aisa Nahi Ke Hum Ko Muhabbat Nahi Mili,
Jaise Chahte Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milne Ko Zindagi Main Kai Humsafer Mile,
Par Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehron Main Dosron Ke Tumhe Dhoondhte Rahe,
Surat Nahin Milli Kahi Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya To Mere Pass Kya Kahoon,
Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mouhlat Nahi Mili,

Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajah Na Di Tujhe,
Lekin Humein Khud Apni Mohabbat Nahi mili,

Her Shakas Zindagi Main Bohat Dair Se Mila,
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili,

Hum Ko To Teri Aadate Achi Lagi,
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Milli.
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:50 pm

Baharon Main Ghataaon Main Tujhe Mehsoos Kiya

Jeewan Ki Raahon Main Tujhe Mehsoos Kiya

Meri Saanson Main Rahe Tere Khayal Se Hulchal

Dil Ki Panahon Main Tujhe Mehsoos Kiya

Khushboo Hi Khushboo Bikhar Gayi Har Sooo

Maine In Hawaaon Main Tujhe Mehsoos Kiya
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:51 pm

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…
Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko…
Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai…
Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost…
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Bhaimiya » Sun Mar 25, 2012 12:52 pm

Har koi pyar k liye tadapta hai.... Har koi pyar k liye rota hai.... Ae dost ye dosti sada kayam rakhna... Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he
User avatar
Bhaimiya
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by Arshad » Mon Mar 26, 2012 10:54 am

Sahi hain....bhai :)
Arshad
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm

Re: HYDERABADI POEM IN URDU

by adilnommi » Mon Dec 03, 2012 6:01 pm

hahaha kyaa baat hai,,,
adilnommi
Registered User
 
Posts: 1
Joined: Mon Dec 03, 2012 5:51 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 8 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
1942 ma hydrabad kasa tha
arshad-alfaz-ka sapna
Hyderabady dosti millna hotel mai me sms
kalkita ma sabsa bara koun se chig ha
Star plus yeh hai mohabbatein akho ka rishta aankhon se hota hi
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.