Aisa kyun hota hai.........
ye hawayen sangdil hoke ched rahi hai hamein.
Gudgudi karne lage hai uske ehsaas hamein,
Tamannayein ho gayi hai aaj shararti na jane kyun,
Kuch khwaab palkon mein aake satate hain hamein...
Aisa kyun hota hai................
Ab bina baat ke muskurane lage hai hum,
Sard raaton mein sapne sajane lage hai hum,
hota hai uski aagosh ka ehsaas hamein,
Ab apne aap mein hi simat jane lage hai hum...
Aisa kyun hota hai..................
Hone laga hai ab koi hamari duwaon mein shaamil,
Uske siwa rab se kuch maangne ko dil nahi karta,
Na ho agar wo hamare Rooh-O-Jaan mein shaamil,
To hamein ab zindagi jeene ko dil nahi karta.......