Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Dollar Kamaye Bina Nahi Aaonga

For the Hyderabadis all over the world who believe there is only one home. Come in here and get a cuppa. Irani, of course!

Moderators: hitesh, The Moderator Team

Dollar Kamaye Bina Nahi Aaonga

by Ek Akeyla Is Shaher Mein » Sun Jan 01, 2006 1:25 am

Ek saal to kuch nahi hai yaaro, hum to yahan par zamane guzarne aaye hai. Bhai miya jab sab kuch chhod kar chale aaye hai to guzrey hue dinon ko yaad karke kya faida? Gaya hamara wo nawabi aur nizaami daur. :roll:

Idhar ghus ke humko ek saal to hogaya, Lekin kya hua is ek saal mein? Bhout kuch yaaro. Sabsey pehle to mai pehli bar western dunia dekha, waisey India ka to chappa chappa ghoomliya lekin India ke bahar pehli bar aur plane mein pehli baar baitha, LOL.

Badey badey maal dekha, ( Shoping centers yaro, India waley maal nahi.) Debit card aur credit card ke zariye logon ko dhandha karte dekha. Aisa transportation dekha jahan par sirf do rupee mein saara shaher skytrain se ghoomte hue logon ko dekha.

Kya kara kaam mein yeh to mat pucho, kuch khas pahad to nahi todliya abhi tak lekin chota mota kaam to mil jaata hai. Har subha agency mein phone karna padta hai ke "Ustaad aajh kaunsi jagah par mazdoori karne jaana hai?" agar naseeb acha hua to kaam bhi mil jaata hai warna library mein jaake fakhaat time kharab karna padta (Free ka internet jo hai).

Waisey Allah ka shukar hai meri naukri bhi achi chal rahi hai, 10 dollar ghante ke miltey hai, chalo usimey apan khush, specially jab yeh sab paisey india ki currency mein convert karta hoon to jab dil ko tasalli hoti hai ke, chalo miya mitthu apan bhi kuch aajh bangaye, hyderabad ki galiyon mein doston ke sath laundpana aur lathori karte kartey aajh Canada bhi pahunch gaye. (Maa-Baap ki duva hai bus, warna rishtedaron ki to maa ki -----).

8 ghante 10 ghante 12 ghante jitti bhi milti hai naukri, hao sir karleton bolke karna padta hai kyunke tanashahi rahi tabiyyat mein to guzara karna mushkil hojata phir. Car kharidliya mai to ek, lekin viasey yeh car bhi meri purani scooter ke samne kuch nahi hai. Phirbhi car to car hai na! Ek color tv vcr dvd player wagaira wagaira bhout cheezan leliya ek sal mein, waisey kabhi fursat ka time mila to dekhleton ko hindi film dvd ke uppar, purane din yaad aajate doston ke sath jumme ki namaz padhke theater ku bhaagna film dekhne ke liye. Shaadi hoke ded saal hi hua lekin biwi ko bhi kaam karana padta. Warna hatah bhout tight hojata yaro. Aur jab wo mere jaisa hi kamaati hai to gharmey uska ruwab bhi bhout badgaya hai. Bahut pachtata hu phirbhi kya karoon Dollar jo latai hai LOL.

Yeh saley makandar kamaai ko adha hissa lejaatey hai, aur income tax, cpp, insurance yeh bakhi ka jeetey hai.

Khatam hogaya ek saal abh, lekin abh kya? Agar aisa hi chala to hum kuch nahi bacha payenge, iseliye baz waqt raaton ko neend nahi aati.
Bus jeeraha hoon abh, abhi bhi umeed baakhi hai, Hyderabad ki garmi bakhi hai. Waisey kisine sahi kaha hai ke "Hazaron khawishen aisi ke har khawish pe dum nikley, bahut nikley mere armaan lekin phirbhi kam nikle."

Mazdoori karoonga, unemployment insurance loonga, tax returns loonga, char panch bacche paida karke assistance loonga, Biwi se bhi kaam karvaaonga, sale ka furniture loonga, har wo hushaari karoonga, Lekin Dollar kamaye bina nahi lautoonga.
:!:
User avatar
Ek Akeyla Is Shaher Mein
Registered User
 
Posts: 14
Joined: Tue Dec 23, 2003 2:34 pm
Location: Vancouver - British Columbia. Canada

Re: Dollar Kamaye Bina Nahi Aaonga

by Ustaad » Mon Mar 27, 2006 10:08 pm

Yeah, you keep doing that.
Prose for hos!

Image
Ustaad
Registered User
 
Posts: 262
Joined: Thu Mar 23, 2006 3:48 am
Location: ATL

Re: Dollar Kamaye Bina Nahi Aaonga

by ek hyderabadi » Mon Mar 27, 2006 11:30 pm

Ek Akeyla Is Shaher Mein wrote:Ek saal to kuch nahi hai yaaro, hum to yahan par zamane guzarne aaye hai. Bhai miya jab sab kuch chhod kar chale aaye hai to guzrey hue dinon ko yaad karke kya faida? Gaya hamara wo nawabi aur nizaami daur. :roll:

Idhar ghus ke humko ek saal to hogaya, Lekin kya hua is ek saal mein? Bhout kuch yaaro. Sabsey pehle to mai pehli bar western dunia dekha, waisey India ka to chappa chappa ghoomliya lekin India ke bahar pehli bar aur plane mein pehli baar baitha, LOL.

Badey badey maal dekha, ( Shoping centers yaro, India waley maal nahi.) Debit card aur credit card ke zariye logon ko dhandha karte dekha. Aisa transportation dekha jahan par sirf do rupee mein saara shaher skytrain se ghoomte hue logon ko dekha.

Kya kara kaam mein yeh to mat pucho, kuch khas pahad to nahi todliya abhi tak lekin chota mota kaam to mil jaata hai. Har subha agency mein phone karna padta hai ke "Ustaad aajh kaunsi jagah par mazdoori karne jaana hai?" agar naseeb acha hua to kaam bhi mil jaata hai warna library mein jaake fakhaat time kharab karna padta (Free ka internet jo hai).

Waisey Allah ka shukar hai meri naukri bhi achi chal rahi hai, 10 dollar ghante ke miltey hai, chalo usimey apan khush, specially jab yeh sab paisey india ki currency mein convert karta hoon to jab dil ko tasalli hoti hai ke, chalo miya mitthu apan bhi kuch aajh bangaye, hyderabad ki galiyon mein doston ke sath laundpana aur lathori karte kartey aajh Canada bhi pahunch gaye. (Maa-Baap ki duva hai bus, warna rishtedaron ki to maa ki -----).

8 ghante 10 ghante 12 ghante jitti bhi milti hai naukri, hao sir karleton bolke karna padta hai kyunke tanashahi rahi tabiyyat mein to guzara karna mushkil hojata phir. Car kharidliya mai to ek, lekin viasey yeh car bhi meri purani scooter ke samne kuch nahi hai. Phirbhi car to car hai na! Ek color tv vcr dvd player wagaira wagaira bhout cheezan leliya ek sal mein, waisey kabhi fursat ka time mila to dekhleton ko hindi film dvd ke uppar, purane din yaad aajate doston ke sath jumme ki namaz padhke theater ku bhaagna film dekhne ke liye. Shaadi hoke ded saal hi hua lekin biwi ko bhi kaam karana padta. Warna hatah bhout tight hojata yaro. Aur jab wo mere jaisa hi kamaati hai to gharmey uska ruwab bhi bhout badgaya hai. Bahut pachtata hu phirbhi kya karoon Dollar jo latai hai LOL.

Yeh saley makandar kamaai ko adha hissa lejaatey hai, aur income tax, cpp, insurance yeh bakhi ka jeetey hai.

Khatam hogaya ek saal abh, lekin abh kya? Agar aisa hi chala to hum kuch nahi bacha payenge, iseliye baz waqt raaton ko neend nahi aati.
Bus jeeraha hoon abh, abhi bhi umeed baakhi hai, Hyderabad ki garmi bakhi hai. Waisey kisine sahi kaha hai ke "Hazaron khawishen aisi ke har khawish pe dum nikley, bahut nikley mere armaan lekin phirbhi kam nikle."

Mazdoori karoonga, unemployment insurance loonga, tax returns loonga, char panch bacche paida karke assistance loonga, Biwi se bhi kaam karvaaonga, sale ka furniture loonga, har wo hushaari karoonga, Lekin Dollar kamaye bina nahi lautoonga.
:!:




arre, yaar, tabiyat hai, kyon rota hai, khamankha !

naukri hai, phir kyon rota hai, khamankha !

biwi hai jo tumhae sath kamaa sakthi hai. phir kyon rota hai, khamankha !

bin padhaaye hee canada bhi pohoncha, phir kyon rota hai, khamankha !

ammi, abba ki duvva hai, phir kyon rota hai, khamankha !

jab kaam nahi tho, library hai jahan se email/ surfing karsakta hai, free mein, phir kyon rota hai, khamankha !



par miyyan ! intne bacchon ko mathh paida kar ! ek hai biwi ki tabiyat haath aayegi, doosri hai, bache ko college kaise bhijayega? phir haathan badhhayega kya? aur bache college padthe nahin tho woh bhi haath badhaana padega. arre, miyyan, nawabi ghar se ayye ho tho nawab ke tarha seene ko thaamo aur apne self respect ke saath jiyyo.



mathh samnjho ke bache paida hone se bus sab guum khattam, arre yaar, woh, shuruvaath hai. ek yah do bus hai, tubb, bache khush, hum khush.
ek hyderabadi
Registered User
 



Return to NRIs

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
dollar kase kamaye wabsite se
caneda food par kar
jaake time kharab
canadame nokri karunga
hyderabad laundpana
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.