Thursday, 18 April 2024 »  Login
in

Hyderabad mein dulhan dekhna

For the Hyderabadis all over the world who believe there is only one home. Come in here and get a cuppa. Irani, of course!

Moderators: hitesh, The Moderator Team

Hyderabad mein dulhan dekhna

by AreyJaneDeReBhai » Sun Jan 28, 2007 6:56 am

Dekho bhai pehle to rishta lagnaich badi lambi kahani rehti hyderabad mein, kuch to bi rahne deo bhai, chalo shuru karinge.... Ghar ke baazu bacchiyaan rahte, rishte daaraon mein bacchiyaan rahte, magar na ladke ko na ladke ki amma ko koi bacchi pasand aati, jaake matrimonial ke daftaraon mein naam likhaate naama wo matrimonial ke, (khair ab to dinaan bi badalrain, potte tez hogae, pottiyaan bi tez hogae, sub kaaman net pe karlerain, wo shaadi.com hai nae, wiase bhot khulgae aajkal net pe, ye naseeb.com pe bi aajkal bhot logaan mil lerain, ab wo net me mil lerain udarich sub nain matakka hojaara, mil lerain, dekh lerain, dikhaalerain, sub hojaara phir jaake idar potta udar potti amma ko bolrain, ammi mereko wo bacchi se shaadi karma hai, but in most of other cases, its still a traditional way where in groom's mother is solely responsible to find a bride for her (beloved) son! Be it first or last…) Ab baari aati, ladkiyon ku dekhne ki, ghar mein, car rahi to car mein nae to bus mein jaane waale bi auto mein jaate ladki ku dekhne kaiku bolay to ruaab se jaana naa, ladke waale hai! Kon kon jaate bolay to ladke ki amma, bhainaan, agar bhabi rahay to uno (alag nae hogae to) bi jaate, Ghar se nikalne se pahleich zimmedaariyaan batt jaate ladke ki amma subko bolte ke rukhsana tum ladki ki amma pe nazar rakkho (amma tez rahi to ladki bi tezich rahti!!!), durdaana tum zara ghar ku dekho un logaon ka rahan sahan, rizwaana tum naa ladki peich nazar rakkho, mai bi dekhtiyoon agar kuch to bi bhulgae to tum bi dekhna (fall back option). Ab idar ladki ki amma ka lecture ghar mein, ghar mein zoraon se tayyariyaan, Ladki ki amma ladki ku bolte rahte, tu hasti bhot, has nakko unlogaon ke saamne, moo nakko khol, jitta puche uttaich bol.. unlogaan kuch to bi poochay aur samajh mein nae aaya to chup baith, main puchtiyoon terese khulla khulla jab bolna …phir ladki ka full make up hota n all. Ladki ka koi bhai agar zara lathoor kisam ka raha to usko boldete ke tum nakko raho aaj 9 bajay se 4 bajay tak, us din uska tadi paar rahta. Khair, jab ladki ku dekhne ka din aata to Idar se ladke ki amma bhainaan jaate n phir ladki waalaon ke ghar mein badi aau bhagat hoti, khaate peete, phir hallu se aati ladki aur subku salaam karke baith jaati, ladke ki amma bolte, idar aao bete zara (walking test) mere bazu baitho, idar dekho (eye test), phir haat pakad ke dekhte, poore paanch ungliyaan hai ke nae, idar se shuru hoti karwae…phir bolte, aapka naam kya hai (arey kya isam nawesi mein nae dekhay naam?) infact this is speech test. Sub hojaane ke ladke ki maa bolti, aapa (matlab ladki ki maa) ab ham jaate, ham aapku ek do din mein jawab dinge, saari baaten sirf aurtaon ki hoti, koi mard smein shaamil nae rahta... Ab agar gaadi mein aae to driver ko bolte gaadi lao door ke paas n wapis hojaate, ya phir agar auto mein aae to kon to jaake auto chukaa ke laate, aur ladke ke amma bhainaan chalay jaate. Jaisich gaadi mein baithay, geebaataan shuru hotay! Ladki ki amma ko dekhe kaisi thi, itta make up kari bichaari dikhra tha ke unkuch dekhne aae? Ladki thoda kaisa ki chalri thi ji ammi, main phir se bolongi boli chalke dikhao bolke magar nae boli kya samajhte ki bolke! Wo biscuitaan kaanse laae thay ki mereko to ek bi nae khae gaya. Aae chae mein shakkar bi kam thi, aisi kya to bi hai, kya sugar patientaan hai kya? (Comments on servings Ladki ki badi bhain saamne nae aae kuch to bi hai kya usko?Subse badi waali bacchon ke saath thi ghar mein thi, kaeen miyaan chor diya kya? Ladki ke bhai ke baalaan dekhay, choti daal sakte ekich dam laathoor dikhra tha. Ab ye chakkar tab tak chate rahta jab tak koi ladki pasand nae aajaati. Until this moment, ladka maximum sirf Photuaan dekh sakta ladkiyon ke (no more access for him)! Ab ladki agar koi pasand aagae to phir mardaane mein baat cheet shuru hoti, jahez lene waalay apni list pesh karte, phir uspe discussions hotay, phir maher ki baat hoti phir baaz waqat ye bi hota ke shaadi ke din chae paani rakhinge (ye ladki waale karte), valeema (ladke waale karte) mein dono milke karinge, kaiku bolay to ladki waalaon ki shaadi mein khaane ke paise bach jaate naa. Khair, sub hojaane ke baad rasam ki date fix hoti. Rasam se rishte ki karwae shuru hoti (hau hamare hyderabad mein engagement ku rasam bolte). Rasam haisiyat ke hisaab se ya ghar pe ya phir shaadi khaane mein hota (mostly it is in marriage halls these days). Ab ismein bi do baataan hai dekho, agar ladka udarich hyderabad meich raha aur rasam function hall mein hua to to phir dulay ki kursi aati uspe baithta ladka, Rasam mein khaas khaas logaon kuch daawat dete, phir angothiyon (rings) ka xchange hota, ladki waale ladke ku angothi pinaate and ladke waale ladki ko. Phir khaana khilaate, biryaani, dahi ki chatni, bagaare baigan, naan, kheema, double ka mittha, ye sub pahle ke dishaan hai, ab latest chalra Hyderabad mein, bhot nae nae dishaan banrain, nae nae naaman, nae nae taste, nae nae kharchay haisiyat ke mutabiq! (Most likely, expenses of this one single gathering will be sound enough for the whole marriage expenses in other states) Video lete, photuaan kheenchte aur bhot maza aata. Ab agar ladka baaher(abroad) raha to samjo ke video ke beech beech mein ladke ke photuaan bataate rahta, alag alag posaon mein. Ab agar kaeen rasam ghar mein hua to samjho roof (terrace pe) khaana khilaate mardaane ku aur aazu baazu ke pados se roomaan lelete logaon ku bithaane, ghar ke saamne shamiyanaa lagaate, udar kursiyaan daalke bi bithaate. Ab aisi jaga bichaara ladka bi kaaman karta. Hyderabad mein Zanaana ek taraf khaana khaata aur mardaana ek taraf! Matlab ke dono alag alag khaate....Rasam hojaane ke baad baday logaan baithke shaadi ki taareeq tae karte. :D
If you can't dazzle them with your intelligence, baffle them with your bullshit.
User avatar
AreyJaneDeReBhai
Registered User
 
Posts: 14
Joined: Tue Dec 23, 2003 2:34 pm
Location: Vancouver - British Columbia. Canada

NICE

by SAMEER » Sun Jan 28, 2007 1:56 pm

NICE BUT U GOT TO IMPROVE..
User avatar
SAMEER
Registered User
 
Posts: 10
Joined: Thu May 16, 2002 11:04 am

god plz save us

by lotus » Mon Jan 29, 2007 3:23 pm

lots o patience to compose all that crap in typical hyderabadi lingo... :roll:
lotus
Registered User
 

Re: Hyderabad mein dulhan dekhna

by Nuktachin » Wed Apr 01, 2009 9:09 am

daymmm. Not precise! The ladke wale seem so mean. Another thing you did not mention - Jode ke paise. The ladke wale ask for money from the ladki wale - about 2-3 lakhs now and the ladke wale buy shadi and walima ke kapde. The clothes are from typical charminar with gaudy chamki and don't even cost upto 2-3 lakhs! tsk tsk! disgusting!
Nuktachin
Registered User
 
Posts: 3
Joined: Wed Apr 01, 2009 8:51 am
Location: Canada

Re: Hyderabad mein dulhan dekhna

by fb » Fri Jun 12, 2009 2:58 am

Achha naqsha kheechey utsad, enjoyed reading it :lol:
fb
Registered User
 
Posts: 25
Joined: Tue May 27, 2003 5:55 pm

Re: Hyderabad mein dulhan dekhna

by jackiechan » Sun Jun 14, 2009 3:10 pm

Miyan tum shaadi byah ke barey main accha khasa lecture de diye.

Kuch bhi bolo chindiyan kar diye.
jackiechan
Registered User
 
Posts: 10
Joined: Sun Jun 14, 2009 3:08 pm



Return to NRIs

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hedrabad kedekhne wale stad
hotstar mein dekhna hai Hyderabad Aur Ka Delhi ka
Hyderabad dulhan chudai
hydrabad.ke.ladke.ke.chudai
gawty chodai.com
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.