Wednesday, 8 May 2024 »  Login
in

Songs we forgot

Quizzing? Movies? Music? Tech? Cricket? God? Whatever your interests be, there are hundreds of your alter-egos on fullhyd.com - it's a whole city out there!

Moderator: The Moderator Team

Songs we forgot

by MAK » Fri Jun 07, 2002 12:30 am

AE musavir mere mahboob ki tasvir bana
Us se banjaye meri taqdeer bana.....Koi jante hain yeh kis film ka gana hai. Singer is Mohd Rafi
Anyone else say more forgot good songs.
MAK
Guest
 

Songs we forgot

by Prince » Fri Jun 07, 2002 12:30 am

If anybody can tell me who the singer is and which film is this song. I\'ll really appreciate. -----Song---- Khoobsoorth hai mayri jaan sharaboon ki tarha, Sard raatoon main silagtay huve khaboon ki tarha.
Prince
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 08, 2002 12:30 am

Film \"Tasveer\" - Feroze Khan and Kalpana, music by C. Ramchandra. If my memory serves me right, the movie was released in Ashok Talkies and unfortunately did not see the light of second week!
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 08, 2002 12:30 am

@Prince: Bhai, yeh koyee non-filmi ghazal/nazam lag rahi hai. Apan bhi morning show ki pethi hai, yani, Ranjan aur Mahipal ke kilass mate! Koyee baat nahin, apne shaddon se poochtaun, teen hai woh bhi, ek Anwar mein, ek Shahran aur teesra Chaman Cafe mein, recording po baithain. Aaj nazar nai aai, mereku chati deko chakna khaney gai honge! Accha jaataon ab main, dabbey po giraak bahut hai aur apna potta (side kick) bada chaakta hai, mouqa miltech ghalley ku saaf kar deta!
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by MAK » Sat Jun 08, 2002 12:30 am

Thank you Kulcha Bhai I really appreciate it.
MAK
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 09, 2002 12:30 am

You are welcome MAK, its a pleasure buddy.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by Huda » Tue Jun 11, 2002 12:30 am

Anybody please tell me the name of the film of this song plese. main tum hi se pochti hoon mujhe tum se pyar kyoon hai,kabhi tum dagha na doge mujhe etebar kyoon hai. Thank you.
Huda
Guest
 

Songs we forgot

by Bhaimiya » Tue Jun 11, 2002 12:30 am

Huda: Iska toh jawab Kulcha bhaiech dein saktien, unko bhot malumat hein (really Kulcha bhai\'s knowledge is great, I salute Kulcha bhai).
Bhaimiya
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

@Bhaimiya - Shawl mein lapat ko nakko maro mereku pasha! main chota mota admi hoon. Aap logan badey badey fankaar hain. Phir bhi apka shukriya. @ Huda: Film \"Black Cat\" Balraj Sahini and Minoo Mumtaz. Incidently, this song is one of the favorites of your Bhabhi too. Poor soul, she thinks shez married to a swell guy! lol
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by Bhaimiya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai: Aapka andaaza bilkul ghalat hey, meiney aap per tanz nahi kiya aur mujhey puree ummeed thi key srif aur srif aap hi iska jawab dey saktey hein aur dekhiye mera andaaza bilkul durust nikla, chalien zara is ghane key barey mein bhi bata dein \"Jab bhi yeh dil udhas hota hey, janey kon aas pass hota hey\".
Bhaimiya
Guest
 

Songs we forgot

by Saps » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai..

aapko tho kaafi baataon ki jaankaari hain... sahin main aap tho kaamal ke insaan ho!!
Saps
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Bhaimiya, main ney kabhi apki baat ko tanz nahin samjha. Main ney apne andaaz mein apki tareef ka jawab diya, jo bilkul \"Hyderabadi ishtyle\" hai. Khair ch\'hodiyeh, Kaash aap hamare dil mein jhank kar dekhe hotey, kitnee qadr hai apki hamarey paas.. Aaiyeh apke ganey ki taraf: Film \"Seema\" and the song was picturized on Kabir Bedi and Simi Garewal. Agar yeh gana apka favorite hai, to samjho ham aur aap ek hi manzil ke musafir hain! Ello, yeh belgaam elaichi ka beeda munh mein rakh lo aur gussa thook do! Jahil admi hun bhai, agar ayl fayl bol diya to maaf kardo.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by Bhaimiya » Thu Jun 13, 2002 12:30 am

Kulcha bhai, yes yeh ghana apna bahut hee favorite hey aur aksar mein isey apney dil mein gungunatey rahta hoon, to chaliye apan dono ek hi kishti key sawar hein. Shukriya pan ka aur aapka diya huwa belgaam elaichi ka beeda bahut hi mazeydaar tha - shayed apney hi dabbey ka hey.
Bhaimiya
Guest
 

Songs we forgot

by MAK » Fri Jun 14, 2002 12:30 am

Kulcha bhai there is another song I remember. Singer is mukesh and we used to listen in shama hotel Talab Katta. the song is like...Zindagi aur bata tera iradaa kiya hai. ....Pyar mile, main ne manzil to talasha mujhe bazaar mile. Kiya aap ko yaad hai yeh kis film ka nagma hai. You are great. Thanks
MAK
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Fri Jun 14, 2002 12:30 am

Film \"Zindagi Aur Toofan\" - Sajid Khan played the lead role. Remember Sajid? he was the one who played child role for Sunil Dutt in Mother India. He starred in \"Son of India\" too. If I remember correctly, this film \"Zindagi Aur Toofan\" wasnt released in Hyderabad. But the song is just fabalous. \"Meri Kashti tera toofan se waada kya hai\" great lyrics. Bhai, yeh gana my bhi Chaman Cafe mein suna karta tha. Double record hai yeh aur hamara hamesha jhagda hota tha ke ham sirf ek ganey ke paise denge, and at that time it was 15 paise per song. Have fun.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by MAK » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Kulcha bhai your memory is fabulous. I almost forgot everything away from India but I still listen old songs sometimes. I still remember we used to listen songs in Awami hotel in sultan shahi, Shama hotel at Moghal pura. also Zehra hotel in front of suraj talkies. There was another hotel in dabeer pura before police station I believe. Thanks again.
MAK
Guest
 

Songs we forgot

by MAK » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Kulcha bhai your memory is fabulous. I almost forgot everything away from India but I still listen old songs sometimes. I still remember we used to listen songs in Awami hotel in sultan shahi, Shama hotel at Moghal pura. also Zehra hotel in front of suraj talkies. There was another hotel in dabeer pura before police station I believe. Thanks again.
MAK
Guest
 

Songs we forgot

by tarun » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Hi , Mr kulcha garu. I am surprised at ur datbase. old hindi songs r my obsession , even though i cannot remember any song at this point of time , well , i too need the details for lot many songs.Its really great to have a person there givin out the details immediately.U r great buddy.
tarun
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Hey Tarun buddy, any time partner. Just give a shout and I am around! Have a good day.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Songs we forgot

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

MAK Bhai, insaan ki zindagi se bachpan kabhi juda nahin ho sakta. Yeh woh yadien hain jo dil aur dimaag per kabhi na mitney waley naqosh bana chuke hain. Agar aap lakh bhulana bhi chahein, to inhe bhula nahin sakte. Isi liye kisi ne khoob kaha hai \"Yaad maazi azaab hai ya Rabb - Cheen le mujh se hafiza mera\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 



Return to Special Interest Groups

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 10 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
mahepal puar hotl masaj.com
pacha pottaside
jabbhi mon udhas - Singer's name
Huda elaichi ka
khoobsoorth film song
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.