Friday, 29 March 2024 »  Login
in

"Dholak Key Geet"

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

"Dholak Key Geet"

by Bhaimiya » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Baasi kadi mein makhi gheeri agey meri amma.
Bhaimiya
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by amoodi » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Bhaimiya tum bhi khoob topican dhoond dhoond key latien,yeh lo yeh suno, bus ek hi sentence yaad hey \"Hari mirchi hey ma meri nannd\"
amoodi
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Bhaimiya » Sat Jun 15, 2002 12:30 am

Hina bahen, Kulcha bhai, Shahid, Ajju miya, ucchu miya aur naye naye khajabi - hojayien kuch dholak key geet, koshish karien kamazkam char panch misrey honey chahiye. All the best.
Bhaimiya
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Ucchu Mian » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Bhaimiya - Tum bhi purane khajoor dikhrain.. Aaj itwaar ke din tum barson pehle ke itwaar ki yaad diladiye - Bahnaon ka programme bolke eik programme aata tha hyderabad radio pay - 2:30 baje do pahar mein.. Yaad hai naa.. Aksar hamara dopahar ka khana hota thaa is waqt aur radio pay arjumand nazeer ke dholak ke geet hote thay... Misrey yaad karne ki koshish karraun - yaad ateich post karunga.. waise do char bhot famous geetan thay jo Hina AAPA pehleich likh diyain. Tum to Eik misra likh ke \"Ched\" ke hat gaye hayeen... chalo yaad karo aur tum bhi likhkho...
Ucchu Mian
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Bhaimiya » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Ucchu Mian: Apna to hisaab yeh hey \"Aasmaan sey ghira khajoor mein atka\" arey yeh programme kesey bhul saktey bhai yeh programme title bhulney wala thodi hey, chalien ek dholak key geet ka misra sunley \"Aaya bana aaya raj dulara bana aaya, khaisar key phool laya, aaya bana aaya raj dulara bana aaya - bhai itaniech yad hey ab isko hina bahen ya koyee dusrey complete karien, apney ku to maaf karoo bhai.
Bhaimiya
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Hina Didi - thats incredible! Didi maan gaye apki yadaasht ko! Ab to apki ek dawat mere uppar udhar ho gayee! Amazing! How could you remember all these geets? Just wonderful.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Dailaan mein pinaaye haar kyaa qushnuma bana kay,
maali nay laya gehna malan nay layi haar,amma nay pinaaye haar kyaa qushnuma bana kay.
Raat ka jaaganwa mora dushala pinaya maa,
thussi laya jhumkay laya kangan ko tarsaaya maa.
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

banay teray jaybon ku heeray lagay,Ashrafiyaan luta they aaya bana, Banay teray baazuku baawa khaday ,susray ku nachatay aaya bana.
Chaar baigan haray haray walthi ka chuvva gazab kiya,Doolan apa ki choti katar liya ,Unki amma bolay yeh kyaa huwa ,unki saas bolay accha huwa .
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai, Jaisay hi board padi fowrun apni choti behnon ki shaadi ki cassette laga kar dekhi to do chaar gaane jo hum nay gaaye the woh likh diye.Yeh teen post karnay kay baad yaad karnay par aur ek geet yad aaya ,
Banay posay kyaa kya waroon maan, Heeray wari moti bhi waari ,banay posay than mun waaroon maa.
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Hina Didi, yaad nai ara bolko teen teen dholak ke geet likh diye na aap! yaad aya to poora page bharjainga! Bhaimiya, mereku to kuch bhi yaad nai hai, aaj sham mein joru se pooch ko kal posting karunga! naddi paar ki hai (old city) apki bhabhi, yaad rahna chahiyeh usko! \"Mera bhai dubai se aaya ma, angrezi chakki (grinder) laya ma\" I guess this one does not fits in \"Dholak Ke Geet\" category.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Shahed bhai yeh aapkay liye,
Bhai hamaray ho gaye bhabi kay deewanay allah,Bhabi ko hamaray saree bhi saajay, Bhai hamaray ho gaye pallo kay deewanay allah , Bhabi ko hamaray joda bhi saajay , Bhai hamaray ho gaye kangan kay deewanay allah .
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

samdhan kho gaayi maan charminar ki sadak pay samdhan kho gaayi maan. Idhar dekhi udhar dekhi charminar ki galiyaan ,Hai samdhan mil gaayi maan joday waalay ki dukaan pay samdhan mil gaayi maan.
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Kacchi kali todh laana ,
sajan saajan bun kay aajana,
milna ho to baghon mein milna,
mein malan bun jaaoon sajan maali bun kay aajana.
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Shahed » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Oye !! mujhe bhi kuch bolne do ...Sob Hina di bol rein dekho, ye unka department dikhra apan logaan kuch bhi nai bolrain, phir bhi baass mai ek pakad ke layaa zara sunn lo esko bhi ...\'Dailaan mein pinaaye haar kya khushnumaa lagaaa ke\'..Maali nein laaya Gajraa Maalan nein laayi Haar \' Dailaan mein pinaaye haar kya khushnumaa lagaa ke... Itaaaich aata dekho.. Sonch ke baad mein phir boloonga.
Aaayyooo ye sob sunke mai to phul ke kuppa ho ja raoun na. Jaldi ammi ku bolke kuch na kuch karna padega.. Abi se dil mein ladduaan phoot rein mere dil mein. Kya sama baadh diye aap sob logaan milke....Aaaisa lag ra mai jald se jald dulha ban jaaoon aur aap sob ko \'Mehmaane Khaas\' ki daawat doon.
Shahed
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Shahed » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Edekho Bhai logon !! ye dipartment ladies ka dikhra yaaro.. Hina di hai na.. UNOOO... nai nai bolke poore Dholak ke geet ga Lere, aur apan logaan khaali thaaliyan maarte reh gaye. Ek mai bhi setting ka laaya tha, uno woh pahleich bol diye. Ab uno aagey kya karte ki kiya nai ki..Arey yaaro ye sob geet gaane ke baad behnon ku paise bhi dena padhta kyaaa...Bolo yaaro main pehle seich bauraan hoon...Kuch le de ke maamla pata loonga.
Shahed
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai , Agar mouzoo accha ho aur board par aap jaisay log hon jinsay baatein karkay thoda waqt bahut accha guzarta hai to saari purani batein thodi hi dair mein yaad aajaati hain.Aap sub say is tarha batein karkay mujhe bada accha lagta hai .
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Shahed Bhai , aap parayshaan kyoon hain ? Mein kyaa karoon koi bhi Bhabiyon ko lanay tayyar nahi hai board par,sub ka jaiza mein le li waisa dikh raa . Aap jab bhi shaadi karen Bhabi ko zaroor Board par layen .
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Ucchu Mian » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Aaayee laay.. Kya khushi hai ji ... Magar wajib hai.. Khush hona kyku nain hona.. Yeh dinan phir waapis nain aatey.. jitti masti karna hai abbich karliyo eik baar shadi hogayee to phir mauqa nain milta .... Aur Kya Dulay .. Jaate waqat mehndi ke pudiyan lejana nakko bhulo.. Kya Samaa rahinga inshallah... mehndi ki khushboo , phoolaun ki khusboo mein Shahed mian peela kurta pyjama painke lal dastar ki chowki pe baithke manje ke phoolan peninge .. dholak ke geetan chalinge.. maliday ke roundan chalinge...OFFO.. ab kya hai bhai..
Ucchu Mian
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Shahed » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Aai-ley dekh rain bhai logon... Hina Di itte dinon se board pe nai aare they... Lekin Bhaimia tum ko bhi maan gaye Ustaaad, aaaisa TAAPIC leke aaye Hina Di khud ba khud nikal ke aa gaye aur full swing mein boling kar rain, sob ko BOLD kar ke rakh diye uno. Kya tareeque se nikaale ji tum bahar unko....Just joking Hina Di, Shaadi ka maamla hai na is liye thodi cheedh chaadh chalti hai... BTW we all know where u were these days...Aur haan Hind Di bhabhi to board pe kya mai to aap sab se milaoonga unse, aap sabhi ko meri shaadi mein shareek rehne ka hai. Is board ka har member ki maujooodgi mere liye bais-e-masarraat hogi. Bas aap sab logon ki duwaaon aur neik tamannaaaon ka qwaahish mand aapka apna Bhai..Waise bhi is board pe bahoot se log hai jo is bandhan mein bandne ja rahe hai....Jaise Imran etc. etc..
Shahed
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Shahed bhai ,Dholak kay geet topic he aaisa tha kay mein qamosh nahi baith sakti.One of the best parts of a wedding ceremony ,baaqi ka pura picture Ucchu bhai kheench diye aaisa dikh raa kay mein already kisi shaadi mein shareek hoon . Waisay allah aapki yeh qwahish jald puri karay aur aapke sehray kay phool jald khilen.
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Samdan ki sheqi pe matthi pado mein sharam say margai munni kay bawa , Samdan ka kala chashma mein jal gayi allah , sheqi mein aako chashma utari dikh ko gaya seedhi aankhi ka phulla ,samdan kay kaalay balaan mein jal gayi allah , sheqi mein aako choti jo jhatki gir ko gaya wo kalay balon ka chutlaa ...
hina
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Naseer » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Kali Murgi Kho gaye na, suno maheloowalo meri kali murgi kho gaye na- saas pooche bahu begum kase mein pakae, dal chanwal ambadee ki bhaje kali murgi kho gaye na...I don\'t remember next lines but when her husband says, dulan begum kase mein ka pakae,she says \" murgi ka salan, ghee ki parate kali murgi mel gaye na...
Naseer
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by khajabi » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

baafi chahta hoon doosto, main kal zara masroof tha, mujhe kuch yaad a\'ra, hina di se guzarish hai ke poora kare... haryal banna a\'yaa....
khajabi
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by Ucchu Mian » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Naseer mian asal asal linan yaad hai ..yeh to aap beeti dikhri.. Khaalama ku boltaun thairo..
Ucchu Mian
Guest
 

"Dholak Key Geet"

by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am

Bhaimiya adaab ,Aapnay to ek aur yaad ko taaza kar diya .Lekin afsos si baath ka ho raha hai kay lakh yaad karnay kay bawajood bol yaad hi nahin aarahay hain. shahed bhai ab jaldi ki jiye \"miraasniyon\" ka intezaam ki jiye. Ab dil bol kay koi shadi may jaana .
1. Doola dhoom machaya maan aaisay kicchad paani main.Lot poat ko aaya maan aaisay kicchad paani main.Main samjhi thi saj dhaj ko aainga . bheeg bhaag ko aaya maan aaisay kicchad paani mein.
hina
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: Google [Bot] and 11 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Banne tere jebon ko heere lage MP3 Download
https://forums.fullhyderabad.com/viewtopic.php?f=12&t=18075&start=25
Hydrabadi Dholak k geet lyrics
Hyderabadi Dholak ke Geet lyrics
Hyderabadi Dholak ke geet lyrics
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.