Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

dhakkan ke shair shaayaria

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

dhakkan ke shair shaayaria

by dhakkan » Mon Dec 04, 2006 1:50 pm

sob loga ghaor se suno dhakkan ke shaayaria...........yejo chahat naam ke shaayar hai unku challenge me deerau ye saare shaira mai

1 ek teri hi nahi saare zamaane ki nazar hai khafaa humse,arz kiya hai.... ek teri hi nahi saare zamaane ki nazar hai khafaa humse....jab naseeb me pyar hi nahi hamaare toh kaise kahe tu bewafa hai humse



2 kuch din baad husn ko deewane ki yaad aayi.......kuch din baad husn ko deewane ki yaad aayi,jab wo meri qabr par aayi toh andar se ek awaaz aayi....wah re khuda aaj mai hu parde me aur wo benaqaab aayi



3 unhe bhoolne ki koshish ki maine, dil ne kaha yaad karte rehna.......woh hamaare dard ki fariyaad sune na sune,hamaara toh kaam hai unhe pyar karte rehna



4 tera dukh hum seh nahi saktay,bhari mehfil me kuch keh nahi saktay......mere girte aansu pakad ke dekh,woh bhi kehte hai hum tere bin reh nahi saktay



5 manzile bhi uski thi,raasta bhi uska tha,hum hi thay tanha saara kafila uska tha.........saath chalne ki zidd bhi uski thi aur raasta badalne ka faisla bhi uska tha.......aaj main tanha hu toh dil sawaal karta hai "log toh uske thay hi kya khuda bhi uska tha?"



6 koshish bahot ki dil ko samjhaanay ki,aankho ko kasam di so jaane ki............bahot samjhaya fir bhi aankhein na soyi,soyi bhi taj jab maine baat ki tumhaare khwaab me aane ki



7 yu nazar se baat ki aur dil chura gaye,andhero ke saaye me dhadkan suna gaye......hum to aapko samjhay thay ajnabi par aap pehle nazar me hi apna banaa gaye



8 pyar itna karo ke dil bahal jaaye,is khadar bhi na karo ke dum nikal jaaye.....tu pyar itna kar jitna seh sake,agar juda hona padhe toh bhi zinda reh sake



bhai logo aap loga bhi apne apne shair shaayari plss share karo isme
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

shair

by dhakkan » Mon Dec 04, 2006 1:54 pm

1 Jab tum mere paas ate ho, yeh duniya rukh jati hain. Aur meri aakheein achank jhuk jati hain, jab tum haste ho, aasmanoon mein tu jaise ek pyar ki aag lagjati hain, aur yeh phool ajaab say mehekne lagjate hain, jab tum mujhey bahon mein lelete ho kuch kuch hota hain jo koi kabhi koi nahi sumjhega is saray kehkashan mein, jab tum mere aakhoon mein dekhte ho, yeh dil dhadkna bhool jata hain, ankhoon mein intezar rehta hain, dil mein behchaini si rehti hain, jab tum mere paas ate ho, yeh duniya tu jaise baaaas rukh si hee jati hain….



2 Hawao mein jo ye khushboo gungunati hai, mere jism ko chokar nikla jhonka tu nahi. Mere choomay hue phoolon per jo ye bondoon ki sajawat hai, mere kamptay honton ki haya tu nahi. Yeh kaali raaton ke khoobsurat andheray, meri ghani zulfon ki inteeha tu nahi....................... Chand bhi ab ghadi ghadi apni kirno ko dhoondta hai, ye mujhko ko dekhnay nikla hai shayad usko pata hee nahi. Aaj kal bijliyaan bhi kam girti hai, kahi meri angraiyaan iski waja to nahi. Dharkanoon ki tasalsul ko torne wali ye hawa, tumharay anay ki iteela tu nahi
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

Shayaron Mein Sher ... "dhakkan" Bhai!

by HH » Mon Dec 04, 2006 8:52 pm

Shayaron Mein Sher ... "dhakkan" Bhai!



Shayaron Ka Shahar Hai Bhai!

Hyderabad Dilwala Shahar Hai Bhai!

"dhakkan" bhai nikley

Shayaron Mein Sher

wah Wah WAH wah Wah WAH

wah Wah WAH wah Wah WAH!

Shayaron Mein Sher

Nikley bhai "dhakkan"!



Image Image Image
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

by indiabo » Mon Dec 04, 2006 9:55 pm

Kya sher bole shikari

tumhareku maare bhikaari





bhaouuu bhaouuuu



kya sher boley binjaaley

zara baazu hat key khujaaley





bhaouuuuuuuuuuu
indiabo
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

sollekom

by dhakkan » Wed Dec 06, 2006 11:02 pm

aray kya bhai tum loga shaayari ki tareef karrai ya hamaari taang kheenchrai nai samajh me aara yaaro... :lol: .......khair meri guzaarish hai aap loga bhi htode shaira thoko idhar....n thnks hh sir jo aap shaayaro ke sher bole mereku :D
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

mai shhayar to nahi magar haseeno ne banaa diya

by dhakkan » Wed Dec 13, 2006 11:37 pm

1 dil gumsum,zabaan khamosh,ye aankhein aaj nam kyu hai?

jab paaya nahi tha unko kabhi,toh aaj unko khone ka darr kyu hai



2 kyu kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai?kyu uski udaasi mujhe udaas kar jaati hai?........kya rishta hai mera uska jo har pal mujhe uski yaad aa jaati hai



3 muqaddar ka ghareeb magar dil ka ameer tha,arz kiya hai muqaddar ka ghareeb magar dil ka ameer tha,fir milkar bichadna mera naseeb tha..................chah kar bhi kuch na kar sake hum,ghar jalta raha jab ke samadar khareeb tha



4 kashish dil ki har chiz bhula deti hai,bandh aankho me sapne sajaa deti hai....sapno ki duniya zarur rakhna tum bhi,kyu ki haqeeqat toh aksar rulaa jaati hai



5 dil ke kareeb aake woh dur hogae,mere saare sapne choor hogae...humne wafa ki toh hume badnaami mili,aur wo bewafaai karke mashoor hogae



6 bewafaai ka darr tha toh pyar kyu kiya?tanhaai ka darr tha toh ikraar kyu kiya?.......maut bhi poochegi aane se pehle jo aane wali na thi uska intezaar kyu kiya?
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

Shayari

by FULL2HYDERABADI » Fri Dec 15, 2006 1:49 am

Hamare 'Dhakkan' bhai, subhanallah..................aisa lagra jabardast chot khaye aap.....likhte raho bhai
User avatar
FULL2HYDERABADI
Registered User
 
Posts: 9
Joined: Tue Dec 06, 2005 11:30 pm

mai shaayar to nahi...

by dhakkan » Fri Dec 15, 2006 11:30 pm

1 log kehte hai ladki zindagi hai maut nahi....log kehte hai ladki zindagi hai maut nahi..........par woh ye bhool jaate hai zindagi hi dhoka deti hai maut nahi



2 ansu ko bahot samjhaaya tanhai me aaya karo,mehfil me aaake yun hamaara mazaaq na udaaya karo.........ispar aansu tadap kar bolaitne logo me aapko tanha paate hai isliye chale aate hai



3 aap ki berukhi ko bhi rutba diya humne,pyar ka har farz ada kiya humne.......mat sonchna bhula diya humne aapko,aaj bhi sabse pehle aap ko hi yaad kiya humne



4 badi aasaani se dil lagaaya jaata hai,magar mushkil se ye wada nibhaaya jaata hai........le jaati hai mohabbat un raaho par jaha diya nahi dil jalaaya jaate hai



5 wo na aaye unki yaad humse wafa kar gai,unse milne ki tamanna hamaara sukoon tabah kar gai...aahat hui toh humne soncha asar dua kar gai,darwaza khola toh humne dekha humse mazaaq hawa kar gai



6 chale wo kadam kadam jo saath mere.to unke saath se pyar hojae...thaame jo pyar se haath mera,toh apne haath se pyar hojae...jis raat khwaab me aaye unka chehra,us haseen raat se pyar hojae...jis baat me aaya zikr unka,us pyari baat se pyar hojae...jab pukaare pyar se naam wo mera,toh apne naam se pyar hojae...hota hai itna khub surat ye pyar agar,to kaash........kaash unhe mere is beinteha pyar se pyar hojae.....





hamaare hyderabaadi bhai chot toh humne khaayi hai magar sambhal nahi paaye ab tak......toh itni salaah zarur denge sab kuch karna zindagi me magar dil kisi ko na dena
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

Dhakkan Hain Dadhkan

by HH » Mon Dec 18, 2006 9:47 am

Dhakkan Hain Dhadkan ...


Dhakkan Hain Dhadkan Hamarey
Dil Ka Dhadkan Sunaateinch
Dhakkan "Bedhakkan" Karteinch
Dhakkan Hain Dhadkan Hamsabkey!




:)
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

mai shaayar to nahi

by dhakkan » Mon Dec 18, 2006 12:13 pm

1 is dil ki berukhi ki wajah humse poochiye,mohabbat me mil rahi sazaa umse poochiye......kyu ho udaas tum ghum ki talaash me?ghum ki har gali ka pataa humse poochiye



2 phool hum par barse,phool unpar bhi barse........hum bhi saj rahe thay wo bhi saj rahe thay......farq sirf itna tha hum duniya se jaa rahe thay aur woh duniya basaa rahe thay :(



3 ye duniya wale bhi baday ajeeb hain,kabhi humse dur to kabhi humse kareeb hain......dard na bataaye toh kaayar kehte hain,agar dard bataade to shaayar kehte hain



4 unko khabar hai mere toote armaano ki,aaj zarurat padhegi kaanch ke paimaano ki.......khaali na hone dena jaam yaaro,warna fir yaad aaegi guzre zamaano ki.....



5 dil hi dil me unhe pyar kiya karenge,ye zindagi unki yaado me jiya karenge.........jis raah pe unka aana mumkin nahi,un raaho par bhi unka intezaar kiya karenge



6 roothe jo zindagi manaa lenge hum,mile jo ghum to nibha lenge hum.........bass tum rehna saath hamaare,pighalte aansuo ke sangh bi muskuraa lenge hum



sabhi logo so khaas guzaarish hai is shair ko ghaur se padhiye.......



7 masoom mohabbat ka bass tina fasaana hai,kaagaz ki haveli hai baarish ka zamana hai.......kya shart e mohabbat hai kya shart e zamana hai........awaaz bhi zakhmi hai geet bhi gaaana hai.......us paar utarne ki ummed bahot kam hai,kashti bhi puraani hai,tufaan ko bhi aana hai...........samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke........ek shaks ko aankho se shair sunaana hai bholi si ada koi fir ishq ki zid par hai............fir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

mai shaayar to nahi

by dhakkan » Thu Dec 21, 2006 10:53 pm

1 hazaaro jhopdia toot kar kahi ek mehal banta hai........aashiqo ke marne par ek kafan nahi milta aur hasino ke marne par taj mahal banta hai.......



2 gaa saku aap ka naghma wo saaz kaha se lau...suna saku kuch aapko wo andaaz kaha se lau....................yu to chand ki tareef karna aasaan hai par aapki tareef kar saku wo alfaaz kaha se lau!!!!!!!



3 nai thi jisko mere pyar ki qadar,ittefaq se usi se pyar kar baitha.........usi chiraagh ne jalaaya mere haatho ko jisay mai hawaao se bachaa raha tha



4 karni khuda se kuch fariyaad baaqi hai,hume unse kehni kuch baat baaqi hai...........maut agar aayegi toh keh denge "ruk abhi mere yaar se meri mulaqat baaqi hai"
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

mai shaayar to nahi

by dhakkan » Sun Jan 07, 2007 12:18 am

1 pyar ki har rasam nibhaa di humne,tujhe paane ke liye hasti mitaa di humne.....tumne qadar na jaani meri wafaao ki,teri aarzoo me har khushi luta di humne



2 ek mulaaqat karo hume inaayath samajh kar,saara hisaab denge qayaamat samjhkar.....mere pyar pe shak mat karna,hum pyar bhi karte hai ibaadat samajh kar



3 geelay kaagaz ki tarah hai zindagi apni,koi likhta bhi nahi koi jalaata bhi nahi.......is kadar akele hogae hai hum aaj kal,koi sataata bhi nahi koi manaata bhi nahi



4 chaand sitaaro me tum hi nazar aate ho,jidhar bhi dekhu tum hi tum ho.....hamaara pyar itna gehra ho,agar saans teri ruke toh maut meri ho



5 hasrat hai sirf tumhe paane ki,aur koi khwahish nahi is parwaane ki.....shikwa mujhse nahi khuda se karo kya zaroorat thi tumhe itna KHOOBSURAT banaane ki?



6 har dil me dard chupa hota hai,bayaan karne ka andaaz judaa hota hai........kuch log asko me dard ko bahaa dete hai,aur kisi ka dard hasii me chupa hota hai



7 intezaar ke pal bitaana mushkil hai,beete hue lamhe waapas laana mushkil hai......jo ek baar bass jae dil me dhadkan bankar,woh pyar dil se bhulaana mushkil hai



8 kaanch chubhe to zakhm reh jaata hai.dil toote to armaan reh jaata hai......waqt lagaa deta hai is dil par marham,par umar bhar ek nishaan reh jaata hai



9 jab achaanak unka deedar hota hai,2*dil me dheeme si dhadkan ruk jaati hai......itni khoob surat hai aankhein unki,nazre milaate hi nazre jhuk jaati hai



10 khuda k darbaar par jaakar dua karta hu,kahiin mai unse judaa na ho jau....mar jau agar mai to mujhe unse door hi rakhna,kahiin unki mehak se fir zinda na ho jaau



11 badi bedardi se meri duniya lutaai hogi,mere pyar ki hasti mitaai hogi......laa tere pairo par marham lagaa du,mere dil ko thokar maarne me chot to aayi hogi



12 tuthe hue paimaane me jaam nahi aata,ishq ke mareez ko aaraam nahi aata...ae dil todne waale itna toh sonch liya hota,toota *hua dil kisi ke kaam nahi aata



shaayar ko bass zaroorat hai toh waah waah ki kyu ki logo ko pasand aaye shair to isse encouragement milta hai THNKS ur DHAKKAN
LiFe SuCkS!!!sO Do I!!!!!
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

Re:

by Pakka hyderabadi » Wed May 07, 2014 5:30 pm

indiabo wrote:Kya sher bole shikari
tumhareku maare bhikaari


bhaouuu bhaouuuu

kya sher boley binjaaley
zara baazu hat key khujaaley


bhaouuuuuuuuuuu


:lol: :lol: :lol: :lol:
Pakka hyderabadi
Registered User
 
Posts: 174
Joined: Sat May 30, 2009 3:34 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 11 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Deedar yaara mohabbat shyri top
rasam ke phool wale in hyderbad
acha nhi lagra tre bin shyri
shaayaro ki duniya
zakhmi shaayaro.com
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.