by Tappebaz » Mon Aug 18, 2003 6:38 pm
<br>Kulcha hyd\'i mujhe galat mat samjho, i was just joking i got those rhyming words so i typed it down. aab suno-
<br>
<br>sawan ka mausam tha, poonam ki raat thi, main uske paas tha, woh mere kareeb thi, woh mere paas aaye par thoda gabharaye, jab maine uska haath pakda to thoda sa sharmaye, usne kaha aao aaj hum aise bandhan me bandh jaaye jise duniya ki koi taqat na tod paye, meri khushi ka andaaz lagana mushkil tha, par is ke aage jo hua yeh bhi batana mushkil hai, usne mera haath hatoon me lekar kaha, yeh janam-jan\'oom ka bandhan hai !!!
<br>phir mujhe yaad aaya - yeh sawan ka mousam, yeh poonam ki raat to hai par aaj raksha bandhan bhi hai ....