Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Shayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari

by Baqtiar » Sat Aug 30, 2003 2:57 pm

Yaar Kulcha, isliye tou mein ne kaha tha:

Ke baat nikley gi tou bahut dooor talak jayegi

Ye baat hi hai jo falak tak jayegi

Baat se baat hoti hai aur phir mulakhat hoti hai
Baqtiar
Registered User

Shayari

by Radha » Sat Aug 30, 2003 11:44 pm

Kulcha bhai, humdum aur Baqtair ki nazar.

Ponch kar ashak apney ankhon say muskurao toh koi baat banay,

Sir jhukaanay say kuch nahin hota sir uthaao toh koi baat banay,

Zindagi bheek main nahin miltee zindagi barh kay cheenee jaatee hai,

Apna haq sang dil zamanay say cheeen pao to koi baat banay,

Rang aur nasal, zaat aur mazhab jo bhi hay aadmee say kum ter hai,

Es haqeeqat ko tum bhi meree tarha maan jao to koi baat banay,

Nafraton kay jahan main hum ko pyar ki bastiyaan basaanee hain,

Duur rehna koi kamal nahin, paas aao to koi baat banay.
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 31, 2003 9:17 am

Allama Iqbal ke ash\'aar, sabhi sathiyon ki nazar:

Baatil se darney waley ai aasmaan nahin hain ham

Sau baar kar chuka hai tu imtehaan hamara

Mazhab nahin sikhata aapas mein bayr rakhna

Hindi hain ham watan hai saraa jahan hamaara
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 31, 2003 12:11 pm

Bohot khoob Radha!

Magar mai kya Kara bhai, aap sob ku nazar kare, mere ku ignor kar diye, khair mai itna regular bi nahi hoon waiyse. I am a fan of Iqbal but I dont remember many of his asha\'ar. If anyone can help me...

Masjid toh banali pal bhar mein

Imaan ki hararat walon ne

Man apna puranaa paapi hai

Barsaon mein namaazi ban naa sakaa.

Then is something like.

Tu naamo nasab ka hijaazi hai

Par dil ka hijaazi ban naa sakaa...
shaikh
Registered User

Shayari

by Baqtiar » Sun Aug 31, 2003 2:08 pm

Wah wah wah. Kya baat hai Radha...

Paas aney ko bahana chahiye

Batkey musafir ko thikana chahiye

Kahne ko tou sara jag hamara hai

Lekin koi humdum koi dilbaar chahiye
Baqtiar
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 31, 2003 2:34 pm

Waqaee (really) Radha ki nazm mein bhot jaan hai.

Agar hamara desh isska ek sh\'er bhi follow karinga

Toh koyee baat bane, balke saari baat ban jayegi.
shaikh
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 31, 2003 4:53 pm

Great lyrics by, I guess, Rajinder Krishan, for the film \"Naya Raasta\". Music scored by N. Dutta, and Mohammad Rafi did a fabulous job of singing it. The film starred Jeetendra and Asha Parekh, a story about a rich Zamindar (Jeetendra) falling in love with a Dalit girl (Asha Parekh) ...and when she\s depressed and scared about the love affair.. Jeetu baba sings this song. Poch Kar Ashk Apney Aankhon Se...

Chaman cafe mein hai bhyee yeh record 35 paise deke sunna hoga aaj jaakey! Aao Shiekh tum bhi, dono milkey maaringe aadi pyali chai aur ek ek four square. Paan to free mein hai naa!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 31, 2003 5:13 pm

Shukriya Kulcha bhai, bohot shukriya.

Waiyse apni baithak Anwar cafe pe rahti bhai. Nayaab say leke Pista House tak apni hawa hai dekho. Aap nayaab pe ajjaaiye aapki pasadida (dish) biryani haazir kartoun mai.

Zafar wafar sob apne yaar log hai.
shaikh
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Sun Aug 31, 2003 5:55 pm

Shukriyah Sheikh bhai, aaongaa, zaroor aaonga aur apki hawa bhi dekhunga! Aapke zouq ko madde-nazar rakhtey huve, Allama Iqbal ke chand ash\'aar post kar raha hoon. Ek sabakh hai ham sab ke liye.

Dhoondne wala sitaron ki guzar gahon ka

Apney ufkaar ki duniya mein safar kar na saka

Jis ne suraj ki shu\'aaon ko giraftaar kiya

Zindagi ki shab tareek sahar kar na saka

Ek aur... Qateel Shifai sahab ka... mera pasandeeda shayr hai yeh

Mar gaye ham to yeh katbey pey likha jayega

So gaye aap zamaaney ko jagaaney waley!!!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Sun Aug 31, 2003 8:29 pm

By the way, it is truly amazing for me to see what Iqbal has said (commented) 50-60 years ago about Arabs (Arab-brothers) in \"tu dil ka hijaazi ban naa saka\". It\'s amazing that it is coming true, and we are seeing history written before our eyes.!

I am out of here.
shaikh
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Mon Sep 01, 2003 1:25 pm

Even about the Afghans what he wrote is amazing.

Mousam accha, paani waafir, mitti bhi zarkhez

Jis ne apna kheth na seencha wo kaisa dahkhaan

Apni khudi pahchaan, o ghafil Afghan!

Teri be ilmee ne rakh li be ilmon ki laaj

Aalim faazil bech rahein hain apna deen eemaan

Apni khudi pahchaan, o ghafil Afghan!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by Humdam » Mon Sep 01, 2003 3:00 pm

Kabhi main sare sajdah huwa kabhi

To zameen se ane lagi sada

Tera dil to hai sanam aashnaa

Tujhe kya milega namaaz main
Humdam
Registered User

Shayari

by Radha » Mon Sep 01, 2003 9:54 pm

Humdam, aap ke liye.

Pairaahan-e-kub\'r chaak ho jaata hai

Nafas-e-sar-kash halaak ho jaata hai

Muslim ke liye ajab nai\'mat hai namaaz

Sir qhaak mein rakh ke paak ho jaata hai
Radha
Registered User

Shayari

by Humdam » Tue Sep 02, 2003 12:29 am

Bahot khoob \"Radhaji\". Bahot umda ashaar likhti hain aap. Guzishta shaaeri board main bhi app ke ashaar qabil-e-daad they aur is board main bhi Keep it up :)

\"MAJID DEOBANDI\"

Ham hindustaan ki maati hain

Jo chaahe zamaanaa kuchh bhi kahe

Ham yuun chamakte jaayenge

Hamsafron ne barbaad kiyaa

Raston ne phir yaad kiyaa

Aur manzil ne aabaad kiyaa

Ham maanavta ke raahi hain

BhaTke to sambhalte jaayenge

Amn kaa jo paiGaam sunaane vaale hain

Galiyon galiyon aag lagaane vaale hain

Tum le jaao nezaa Khanjar aur talvaar

Ham maqtal mein sar le jaane vaale hain

Zulm ke kaale baadal se Darnaa kaisaa

Ye mausam to aane jaane vaale hain

Bimaaron kaa ab to Khudaa hi haafiz hai

Saare masihaa zaher pilaane vaale hain

Jaan bachaane vaale to sab hain lekin

Ab kitne imaan bachaane vaale hain

Ham ko un valiyon ki nisbat haasil hai

Dasht ko jo gulzaar banaane vaale hain

Bhukaa rah ke saahil ko khairaat jo de

Ham bhi \'Majid\' usi gharaane vaale hain
Humdam
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Tue Sep 02, 2003 5:10 pm

Bahadur Shah Zafar...

Na thee haal ki jab hamey apney khabar, rahe dekhtey auron ke aib o hunar

Padi apni buraiyon par jab nazar, to nigah mein koyee bura na raha!
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Tue Sep 02, 2003 6:08 pm

Bohot khoob, Radha-ji.

Kiya kehne hai aapke. Qaabile taareef. Bohot acchha sher hai, shukriya. Magar pehle sher ka matlab mai nahin samjha theek say.
shaikh
Registered User

Shayari

by Humdam » Tue Sep 02, 2003 8:27 pm

Janaab kulcha bhai, \"Bahadur Shah Zafar\" ki umda ghazal aap ki nazar.

Na kisi ki aankh ka noor hoon

Na kisi ke dil ka qaraar hoon

Jo kisi ke kaam na aa sake

Main vo eik musht-e-Gubaar hoon

Na to main kisi ka habeeb hoon

Na to main kisi ka raqeeb hoon

Jo bigad gayaa vo naseeb hoon

Jo ujad gayaa vo dayaar hoon

Mera rang-roop bigad gayaa

Mera yaar mujh se bichhad gayaa

Jo chaman fizaan mein ujad gayaa

Main usi ki fasl-e-bahaar hoon

Paye faatehaa koi aaye kyoun

Koi chaar phool chaDaaye kyoun

Koi aake shamma jalaaye kyoun

Main vo bekasi kaa mazaar kyoun

Main nahin hoon naGmaa-e-jaan_fishaan

Mujhe sun ke koi karega kyaa

Main baDe barog ki hoon sadaa

Main baDe dukh ki pukaar hoon
Humdam
Registered User

Shayari

by Radha » Thu Sep 04, 2003 9:06 pm

Shukriya Shaikh saheb,

Pairhan = dress

Kub\'r = arrogance

Naf\'s = soul/self,

Sar-kash = disobedient

Mere khayal sey ab koi parishani nahi hogi.

Lazzat-e-sajdah-e-sang-e-dar kya kahein

Hosh hi kab raha sar jukhaney key baad

Kya hua har hasrath agar chin gayi

Aadmi ban gaya gham uthaaney key baad
Radha
Registered User

Shayari

by Radha » Thu Sep 04, 2003 9:12 pm

Kulcha bhai, Janab Iqbal ka ek sher yaad aaraha hai

Aaj bhi ho gar Ibraahim ka sa imaan paida

Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistan paida
Radha
Registered User

Shayari

by Kulcha Hyderabadi » Fri Sep 05, 2003 1:28 am

Kuch meri yaadasth se bhi...

Kaha mujh se mujahid-e-turki ne baad-e-namaaz

Is qadr taweel sajda hain kyoon tumharey imaam

Qoum kya cheez hai aur qoumon ki imaamat kya hai

Isko kya samjhenge yeh becharey do rak\'aat ke imaam
Kulcha Hyderabadi
Registered User

Shayari

by shaikh » Fri Sep 05, 2003 9:32 pm

Bohot bohot shukriya Radha.

Aapki inayat kaa, hamaray alfaaz angrezi may likhnay ki wajhe say zara faraq padjata hai (i think). Aapka sher \'payrahane kubr chaak hojata hai\' beautiful hai. Iss tarha ka ek khulasaa mai hazrat shaikh zakariya (a.rah) ka dekha huwa hun ek kitaab mein. Few important things...

Apna board \'shayari\' kaafi ful hogaya hai, aur khulna impossible hogaya hai. I think we should start a new one like \'shayari II\' Beher haal, Radha aur Kulchay ka bohot bohot shukriya, aur sab doosray bhi saathiyon ko aadab aur salaam arz... Ijaazat.
shaikh
Registered User

Shayari

by Humdam » Sat Sep 06, 2003 4:10 pm

Radhaji, aap ke liye.

Namaaz sar jukhane se bhi adaa ho jaati hai

Dil ka jhukna bhi zaroori hai ebaadat ke liye
Humdam
Registered User

Shayari

by shaikh » Sat Sep 06, 2003 7:32 pm

Kulcha bhai and Radha

I think this is a record breaking board \'shayari\' that has crossed 100 in just two weeks. But, it is hard to open now.

Something needs to be done...
shaikh
Registered User

Previous

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 10 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
shayri teri wajhe namaz
wo haydrabad jayegi sayri
hyderabadi paya shayari
shyri on chiragoon
Trade mark से आप क्या samjte h
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.