Thursday, 28 August 2025 »  Login
in

Kya yeh humari nazron ka dhoka to nahin??

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Kya yeh humari nazron ka dhoka to nahin??

by D.D.* » Sat Jan 11, 2003 12:19 pm

Mana ke ajnabi raaston ke musafir hai hum sare. Manzilon ki taalaash mein mubtelah. Hum raah nahin par taqdeer ke dhaagon ne hume ek shahar(hyd) se jo baandha hai hume.Sharafat hai humari ke zubaan per gila nahin SHAHED BHAI,HINA SHAHIBA,KULCHA HYDERABADI,BHAIMIYA,UCCHU MIYA se ke waaida kiya tha humse ke In marhoom boardon ke chehron se yeh giriyaan siyahi apne shaad payaam se door karenge. Par lagta hai humare Hijr ke daur chal rahe hai suroor-e-mehfil se. Guzarish hai ke suhbat-e-yaar mein jaame-zindagi uthayen zafar-e-dosti ke liye. In short and sweet words : \\\\
D.D.*
Guest
 

Kya yeh humari nazron ka dhoka to nahin??

by ufsoos » Sat Jan 11, 2003 2:40 pm

Can you repeat the question........ !!!! heheheheheheheheh
ufsoos
Registered User
 

Kya yeh humari nazron ka dhoka to nahin??

by Shahed » Sun Jan 12, 2003 1:07 pm

Tum nein pukaara aur ham chale aaye , Jaan hateli par le aaye rey ! Zindagi ki bhaag daud mein kuch is khadar masroof hai ham ke kabhi duniya simat ke haat mein aa jaati hai tou kabhi tinka bikhar ke pahaad nazar aane lagta hai. Aur is pahaad ko cross karke aate aate thodi der ho gayee..
Shahed
Guest
 

Kya yeh humari nazron ka dhoka to nahin??

by HiNa » Tue Jan 14, 2003 10:43 am

Sab ko Hina ka adaab, bhaiii hum to hain hi aaisi jagah jahaan atraaf mein sirf aur sirf barfeeli pahadiyon kay siwa kuch aur nazar hi nahin aata is mausam mein.isiliye zara mausam ki tabdeeli ka intezar hai....umeed aur duwa hai kay baharon ka mausam jab aayega to hum sab ko phir ek jagah zaroor milayega aur phir qushiyaan hi qushiyaan hongi..inshallah.Aur phir shahed bhai ki shaadi jo ho jayegi to unki taraf say mein aap sab ko walimay ki aam qaas dawath ka elaan karoongi....Kulcha bhai to na jaanay kahaan chup gaye hain....pata nahin unho nay bataya tha kay woh saath salon kay ek lothay \"behanwaiyi\"hain...zara fikr ho rahi hai...hum sab ko apni qairiyath ki ittellah zaroor dijiye.....
HiNa
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
nazro ka dhoka
vickykranti@gmail.com
nazron ka dhoka
nazron ka dhokaa
najro ka dhokha
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.