Friday, 29 March 2024 »  Login
in

Deccani shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 5:31 pm

Welcome Shahed, chalo ek aur sher nikla, ummed key jald sabhee sher niklengey.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Shahed » Sat Jul 06, 2002 5:48 pm

Bhaimia, ek parsanal baat bolna hai yaaro aapku, idekho aap meri is baat ka bilkul bura... mannaa aur ghussa bhi karna.
Kya hai ke koi bade mia bole they \'A man will become a Poet when he is in Love\', Kya tou bhi hai. Aapka kya khayaal hai, aap tou chalte phirte sote jaagte sheeraan padhte rehte..ek aur haula bola tha, ek dil ke tukde hazaar huvee koi yahan gira koi wahan gira,, arey kya khaak yaan waan gira . Saare bhaimia ke dimaagh mein girey.... poore shaayaron ka mushakkal(Mixture) hai aap. Kya shaadi se pehle bhabi aapko bhooot tapai jo itte sheraan yaad kar liye so. Ek baar jo sheron ki daud shuroo karte tou ruk te-ich nai... Chale jaare Chale jaare.. Arey jangal khatam ho jaata lekin aapke sheraan khatam nai hote..Ab aapka naam badal ke bhaimia ki jagah Sher Kaan(Deposits) rakhna padenga. Aur laddu bhi nai leigne ham logaan.
Shahed
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 6:02 pm

Shahed: Mein ab aapku kya boloon, yaar yeh shouk ziyada purana nahi hey bas youn samjo koyee 5 ya 6 mahiney ka shouk hey. Woh kya baat hey ek site thee hyderbad.tv bolko, uspey hum bahut sey satiyaan roz chat karthey they (kuch key naam yeh hey, kc(dammam), lala, jhani bhai, buzair, dapto, nassers, frelancer, skhan, daddy aur ladkiyon mein saira, radha, asma, surab aur bahut see ladkiyan thee) aur yeh sab ek sey ek sher phektey they, tou mein soncha mein kyoun pheechey rahoon toh mereku bhi shayeri ka shouk hogaya, phir itney sher jama kara key pucho nakko ab itney sher hey merey pass, agar kisee ku kisee bhi topic pey sher chahiye apney pass majoujood hey bola, lekin woh site ki taraf sey achee baat yeh hoyee key internet pey idhar udha jhanka chod diya mein, werna bahut wahiyat cheezan dekhney mein aatee thee, aur ek bat aapku bataoon hamarey jo office mein internet connection hey woh direct satellite sey (uspey koyee bhi cheez censor nahi hotee, aap samaj rey na meri baat, jo chaye deklo, woh cheezan mujhey pasand nahee hey). Hyderabad.tv chat room band honey key baad mein is site per posting kar raha hoon, bus itnee see baat hey, wesey kabhi kabhi ghar mein aapki bhabi pey bhi koyee sher phek doton, bachey sunkey bahut hastein aur khetein ki pappa ka naya shouk bahut accha hey. Ummeed key aap meri bakwas sey bore nahi huye hongey - jawab zaroor dijiye - kya phir sunawoo koyee sher - just kidding.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Shahed » Sat Jul 06, 2002 6:48 pm

Arey NAKKO bhaimia aisa daraao NAKKO yaaro sher boltoun bolke. Waise aapke sheron ke ham bhi khayal hai, ye baat alag hai ke usmein se kuch hamaare ooper se nikal jaaate hai. Jab bhi dostoun ki mehfil mein koi sher phekta hai tou mai jhat se apni taraf se koi ek picture ke gaane ke 2 line kisi acche shayar ke andaaz mein bol deta hoon aur is andaaz pe sab yaar log hans dete hai. Tou arz kiya hai.. Tujhe dekha tou ye jaana sanam...Tujhe... Tujhe dekha tou ..ye jaana sanam..Wah! Wah! Pyaar Hota hai diwaana sanam..! Pyaar ... Hota hai... Diwaaana Sanam !! Ab yahan se kahan jaaye ham..Ab... Yahan se Kahan jaaye ham ... Teri Bahon mein mar jaaye Hammmm.. Wah Waaah Wah !! dekhe bhaimia aap kya andaaz hai aapke chote bhai ka. Waise ab ek bam phod roun dekho.. kya maze aainge dekho iskey..
Shahed
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 11:20 pm

Shahed: Aaj toh nahee sunaya koyee sher per kal subah mein zaroor sunayoonga, intezar karna, wesey merey allwa bhee aur bahut hein jo kaafi sher phektein - zara yeh board gor sey pado malum hojayeenga kon hey woh?
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Saira » Sun Jul 07, 2002 1:24 am

Ghaib nahin hazir hain janab, bus wkend par masrufiyat badh jati hain. Apke ashaar behad pasand aaye. Bhabijaan ko salam.
Saira
Guest
 

Deccani shayeri

by saira » Sun Jul 07, 2002 1:25 am

Hi Hina, Which city in Nevada?
saira
Guest
 

Deccani shayeri

by A silent Admirer » Sun Jul 07, 2002 3:08 am

very interesting board indeed.Three cheers to all the intellectuals who are making such wonderful contributions and reviving the rich traditions of our unique city.Keep it up.
A silent Admirer
Guest
 

Deccani shayeri

by hina » Sun Jul 07, 2002 9:22 am

Hi Saira, I live in Reno.
hina
Guest
 

Deccani shayeri

by hina » Sun Jul 07, 2002 9:32 am

Adaab Bhaimiya & shahed bhai, Bhai hum to sob paasword .naam waam dakay aagaye magar bhoth saaray logaan ghayeb hai, qaas kar kulcha bhai, uno har board pay jawaab detay they magr achanak kahin ghayeb hain, aur ucchu bhai, bhirr bhai baaqi sob bhaiyaan, qaali-qaali dikh ra board. Aur shahed bhai sahi bolrain yeh sher shayeri meray bhi sar kay uppar say guzar jaati, magar bhaimiya kay waisay meray ku bi yeh shouq paida ho rai zara zara!
hina
Guest
 

Deccani shayeri

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jul 07, 2002 12:56 pm

Gimme a break guyz! - I thought I am in for some good \"Deccani Shayeri\" - instead I find this more of a \"Personal Message Board\" - I guess we are not doing justice to this facility. Let us restric out postings relevant to the topic and for personal messages, we can exchange our e-mail ids... how about this
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Jul 07, 2002 1:28 pm

Shahed: Kal wada kiya tha key aaj ek sher sunawoonga aur merey wadey mein zikr tha \"KAL\" ka toh suniye sher \"KAL\" pey: \"Kal mila waqt to Zulfain teri suljha doonga, Aaj uljha hoon zara waqt ke suljhane main, Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain, Umar kat jati hai waqt key suljhane main.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Jul 07, 2002 1:33 pm

A silent Admirer: Welcome to the club and thanks for appreciating.
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Jul 07, 2002 1:36 pm

Kulcha Bhai: Aapka ishara meri aur shahed ki taraf toh nahi hey? ..... (aankh zaroor marta agar MSN ki tarah fullhyd board per bhi icons hotey).
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jul 07, 2002 1:44 pm

Ishara apki ya Shahed ki taraf nahin, general baat kar raha hoon. Bulletin Board ke title ke mutabiq agar postings ho to kuch mazaa ata hai. Warna, title ka matlab hi kya hua.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Deccani shayeri

by Shahed » Sun Jul 07, 2002 1:46 pm

Kulche mia ... kiya yaaro kaan tou bi they bhai aap itte dinon se ghar mein sab khairiyat se tou hai na ? Ama yaar ab ham sab aap jaise bade shayar tou nahi hai, naye zamaane ke haulfit hai, is liye sher o shaayari kar nahin sakte is liye kisi tarah apne dil ki baat keh dete hai is board pe dil ku thoda sukoon milta .. agar aapko hamaara aisa karna theek nahin lagta tou...! X-change email-ids not a bad idea..But i think it is already done..isn\'t it. M Waiting...
Shahed
Guest
 

Deccani shayeri

by Udhas » Sun Jul 07, 2002 6:09 pm

Wonderful board - keep it up good work.
Udhas
Guest
 

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sun Jul 07, 2002 6:18 pm

Aapkee Bhabijan (yaani mere ghar walee) bhi aapko salam keh rahee hey. Ashaar ko pasand kerney ka bahut bahut shukriya. Ab toh mein sher jab hee kahoonga jab Bhai Shahed ijjazet deiengey, kyonkey unko merey sheron sey cheed hogayee hey (just kidding).
Bhaimiya
Guest
 

Deccani shayeri

by Shahed » Sun Jul 07, 2002 7:04 pm

Hina di, aur Kulche bhai aap logon nein kuch waada kiya tha, mai intezaar kar raha hoon aapke jawaab ka. Waise agar thoda time nikaal ke \'Chul-buli Saas\' padh lijiye. Aap doston ke chere pe thodi muskaan laane ki koshish ki hai ham nein.
Shahed
Guest
 

Deccani shayeri

by khajabi » Sun Jul 07, 2002 8:04 pm

bhai o behnoo, yeh lo deccani main....
agar dawat ho kha ne ki to is main soonch na kiya hai, nahi gar yeh khuda ki dain to is ke siwa kiya hai... jo ghar main daal rooti roz hi khaye bila nagha, wohi jane ga biryani murghan main maza kiya hai... mera yeh mashwera to maan le ho ga bhala tera, kabhi yeh bhool kar mat daekh dastar pe rakha kiya hai... mukhadar main jo likha hai tere khale use dat ke, takalluf to sara-sar ek aziyat ke siwa kiya hai... samajh le naam tera hi likha hai dane dane par, kabhi mat soonchh saede ke liye accha bura kiya hai...kabhi too ne padha bhi hai mere kapde ke dastar par, jaali haroof ki jo tahreer hai us main likha kiya hai...\"shikam ko kar wasee itna ke har pakwaan se pehle, tujhe khud maizbaan pooche bata teri ghiza kiya hai... mujhe khane ke fouran baad hi phir bhook lagti hai, koi to yeh bataye kha-ma-khaw mujhe hoa kiya hai
khajabi
Guest
 

Deccani shayeri

by Faheem » Thu Jul 11, 2002 3:50 am

Good to know you live so close to where I live.
How did your family settled in Reno?
Faheem
Guest
 

Re: Deccani shayeri

by Aaquil » Sat Feb 11, 2006 10:30 pm

Saira wrote:mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain




---------------------------------

Kuch aur lines....Nai boleto Sunte Nai se...



khaye to ghee sich khayingay...nai to bhukke maringay / Jhooti Shaan mai marko jaarai .... Nai boleto Sunte Nai



Office se thak ko aayau .....Chumtiya nakko loo Soone Doo / Aab mai Kuch bhi kar sakta nai...Nai boleto sunte nai...



...Doostaoo....Mere ku Dakni Shayari bhoot pasand hai...aur hyderabad se door rakhoo aur bhi zyaadh miss kar rau....kisis ke pass Dakhni shayari rahe to .... plz plz plz...mail karoo...kyou ke rooz browsing mai Kar Sakta nai...(Nai boleto sunte nai ) .... mail me @ mdaaquil@gmail.com ..... Allah aap loogau ke Hyderabad mai Zyadah se Zyadah rahne ki Taufeeq ata farmai......(ye zara ajeeb dua hai...magar ...mere ku pasand hai ;) )
Aaquil
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Sun Jan 29, 2006 10:14 pm

Re: Deccani shayeri

by chaknaaurchakna » Tue Feb 28, 2006 1:16 pm

Kya gay sira...

Khamokha ke hayran aisa likhay kya ...apan likhay waisa..nai bole tou suntay nai



chakna aur chakna





ote="Saira"]mere ghar main rahko..baatan amman bava ke kartain / yaan ka kha ko vaan ka garain..nain bole to sunte nain / munh par makeup thoop ko..jati umar ke pichhe mut bhago / gai so jawani phir nain aati..nain bole tu sunte nain / balon main chutla jode tu..banta hai dil ka jooda / laikin balan cut karvarain..nain bole tu sunte nain / unke balan kat hone tak..mere sir main ginti ke..hain so balan jhad ko jarain..nain bole tu sunte nain / charbi chhat ko duble padh gain..yek hafte se tahel ko aain / chalte chalte dhaklian kha rain...nain bole tu sunte nain / jab puchha samdhi se main..kya samdhan ummid se hain / sharma ko bas itna bole..nain bole tu sunte nain[/quote]
chaknaaurchakna
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Tue Feb 28, 2006 12:56 pm

Great .... keep up the good work

by Deccani ... » Wed Mar 08, 2006 8:03 pm

I request all of you to please mail me deccani shayri .. aap sub logaa bhot accha kaam kar rai .. bhot dinaa ke baad deccani zubaan sunke kushi huee... Inshallah, i will also share my views and shayri .... see u all soon.
Deccani ...
Registered User
 
Posts: 4
Joined: Mon Oct 20, 2003 7:22 am
Location: Jeddah, Saudi Arabia

Nai Bolay to Suntay nai

by Mateen » Wed Apr 19, 2006 5:31 pm

Nai Bolay to Suntay nai is written by Ghouse Khamokha Hyderabadi.
Mateen
Registered User
 
Posts: 8
Joined: Tue Aug 23, 2005 12:06 am

PreviousNext      

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 9 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad biryani khaani ho toh hyderabad jaana hai
khan saab hyderabadi mazahiya show
Gandhiji konsa Sanam Re
sanam re love sairai
kirak hyderabadi imran hair style
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.