Thursday, 28 March 2024 »  Login
in

Deccani shayeri

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Deccani shayeri

by Guest » Thu Jul 04, 2002 1:19 pm

Aji Luckhnowi bhai,aap ku kyaa maloom Hyderabadi urdu kis cheez kaa naam hai, aaisi cheez hai jo duniya mein kayiin bi nai milti, hau !Jaisa kay saira bolrain naa aaap suno aur Hyderabad ku apni tashreef ka tokra lejao phir dekho aapki kaisi aao bhagath hoti, zindagi bhar yaad karna, luckhnow bhul jaana Hau.......lol
Guest
Guest

Deccani shayeri

by Shahed » Thu Jul 04, 2002 1:36 pm

Hyderabad ke baare mein kya kehna...Sirf naam hi kaafi hai!
Waise doston aap logon ko is board pe kisi ki kami mehsoos nahin hoti... daawat detoun bolke Ghayab ho gaye na ji uno.
Shahed
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 1:50 pm

Saira BAHEN: Mein aapka ek jumla quote kar raha hoon \"Magar Aap Se Yeh Ummid Nahin Thi HAHAHAHA\". Mein iska matlab nahee samja, BTW meiney to aapko apni biwi ki nanand kaha hey jiska matlab hey meree bahen aur meney aapko, Hina ko aur Radha ko hosh wa hawas mein hotey hoye Bahen banaya hey, Alhumdulliah aapki Bhabi yaani key meree Gharwalee bahut acchi hey (par aapku to malum aurat zara ziyada hee shakee hotee hey) isleye mein khud khabi khabi usko yeh board ghar key pc per pada deta hoon (Elaj sey bheter Ehtiyat - key mahavero per amal kartey huwey. Mujhey ummed hey key aapki ghalat fahmee dur hogayee hogee.
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Shahed » Thu Jul 04, 2002 1:56 pm

Doston Aur bhi gham hai zammane mein in baaton ke siwai.. Kuch aise aansoon hai jo abhi tak masoom nigaahon se chalak rahe hai. Kuch aaise ghar hai abhi jin mein abhi bhi dhuwwan uth raha hai, Kuch aaise nanhe masoom hai jinka ab koi na raha, Kuch aaise hai sawaal jinka koi jawaab nahi hai, Kuch aaise hai talq khayaal jinki koi misaal nahi hai, Kuch aaise bhi hai jinka sab kuch lut gaya, apne hi mulk mein apna hi koi pardesi ho gaya. Zaalim zamaane nein zakhm unhein diye hai itne, ke bharte bharte saari umar nikal jaayegee. Kitne maaon ki goudein ujdee, Kitne behnon ki izzatein luti, Kitni laashoun ko phir mara gaya, kaat kar unko aur zinda jalaaya gaya. Aao ham sab milke unko aansoo ponch dein, unke zakhmoun ko apne pyar se bhar dein, Kya lakhnavi , kya hyderabadi , insaaniyat se insaaniyat ka naata jod dein. Dear folks as all of u know that today is not a working day for me but still I am participitating on these boards thru cafe.. There are two reasons behind it first to share with all of you, The second is .........?
Shahed
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 2:15 pm

Shahed: The second is........? bhai ab aap bar bar suspense mein mat rakho, aajkal agar suspense ziyada hojaye toh heart attack key chances ziyad hey, toh batato jaldi sy kya bat hey?
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 2:29 pm

\"Lucknow bhool jana hao\" LOLOLOLOLOLOL
Saira
Guest

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 2:33 pm

Bhaimiyan aap bhi kin baton main ualjh gaye...mazakh ki baat thi..aai gai hogai. Please dil par mut liijyega. Bhabijaan ko bohot bohot salam.
Saira
Guest

Deccani shayeri

by Bhirr Ustaad » Thu Jul 04, 2002 2:34 pm

Janaab Lukhnawi sahab, Assalamalaikum, .....Waisey agar dekha jaaye to Hyderabad Gehwaara-e-Urdu kehlaata hai, apney hi Luckhnow mey kisi Ahl-e-Zauq se poochiyey key Urdu ka pehla saheb-e-deewan shair kaun thaa....Khair Na aap kabhi Dakkni ki mithaas se waqif huwe hain na yeh lagta hai ke hona chahtey hain,...........Biradaraan-e-Dakkan key liyey usi pehely sahib-e-dewwan shaair ka ek sher pesh hai.

Teraa Mul Dakkan tu Dakknich Bol
Tujhey Kya Paraayi tu apniich Bol

Wassalam
Bhirr Ustaad
Guest

Deccani shayeri

by Bhirr Ustaad » Thu Jul 04, 2002 2:36 pm

Teraa Mulk Dakkan tu Dakknich Bol

Tujhey Kya Paraayi tu apniich Bol
Bhirr Ustaad
Guest

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 3:05 pm

Yek yateem ladka apni maa ke qabr par By Suleman Qatib

tuch begla bana ko chhodi hai
ghair logan ka kya gila amma
tera saya jo uth gaya sir se
koi saya nahin mila amma
tere martech mar gai duniya
kaon jane kidhar gai duniya
teri turbat po motiyan barso
chaar ansoo chadhane laya hun
nange pavan se phatte kapdiyan se
eidd ka karne salam aaya hun
kon puchhenge hum yateeman ko
kon aata hai gham uthane ko
sare logan hain sab kitaban main
maa ka saya nahin zamane main

Saira
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 3:05 pm

Saira: Agar mein mein dil pey letaa toh samjiye mera dil abtak band hochuka hota, suniye ek sher dil pey:
\"Mein dil ko gham kee kasotee pey kas key dekhoonga, Badan kee baraf mein shuley nafs key dekhoonga, Kabhee kheeyalon mein apney usey basa loonga, Kabhee khud uskey kheeyalon mein bas key dekhoonga\"
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Saira » Thu Jul 04, 2002 3:09 pm

Yek yateem ladka apni maa ke qabr par By Suleman Qatib .. tuch begla bana ko chhodi hai.. ghair logan ka kya gila amma / tera saya jo uth gaya sir se.. koi saya nahin mila amma / tere martech mar gai duniya.. kaon jane kidhar gai duniya / teri turbat po motiyan barso..chaar ansoo chadhane laya hun / nange pavan se phatte kapdiyan se.. eidd ka karne salam aaya hun / kon puchhenge hum yateeman ko..kon aata hai gham uthane ko / sare logan hain sab kitaban main.. maa ka saya nahin zamane main ..
Saira
Guest

Deccani shayeri

by Saira Hyderabadi » Thu Jul 04, 2002 3:18 pm

Itna manoos na ho qilvate gham se apni..tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega..zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz..zalim ab ke bhi na roega tu marjayega
Saira Hyderabadi
Guest

Deccani shayeri

by Amma Hyderabadi » Thu Jul 04, 2002 3:20 pm

Aye Dulhan zara dekhna yeh kon toh bhee matheemila Lucknow sey hum Hyderabadiyon pen tankeed kara, uskoo boldo hum Hyderabadiyon pey tankeed nakko karo warna Lucknow phunckey mein usku mithee mein mila doongee.
Amma Hyderabadi
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 3:26 pm

Lucknowi Bhai: FYI urdu kee phelee university hyderabad mein khayam huwee thee \"Osmania University\" key naam sey jiska \"Medium of Language\" urdu tha yaani Engineering aur Medcine bhi urdu mein padayee jatee thee.
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Radha » Thu Jul 04, 2002 3:40 pm

Hina, Not you, i think most of the them has a big doubt. The first thing, how she speaks urdu very well? how she is writing sher-o-shayari, and so on. But i never asked any one to believe me, if you think iam male, thats ok. I just want every one on this board to be my freinds, i just love talking with you all and share my thoughts, this is only my hobby in pardes, it never makes me home sick. Hope you will be my freinds.

Just to say that i studied from a URDU medium School and then joined English medium. Iam SHAGIRD DR.ALI AHMED JALILI one of the great poets of HYDERABAD.
Radha
Guest

Deccani shayeri

by Radha » Thu Jul 04, 2002 3:48 pm

bhaimiya: Toofan kar raha tha meri Azm ka tawaaf,, Duniya Samajh Rahi Thi kishti Bhanwar Me Hai.
Radha
Guest

Deccani shayeri

by Radha » Thu Jul 04, 2002 3:51 pm

Ilzam ke baad kuch bhi kehne se darta hoon , apne hi ehbaab ne kitna sayana bana diya hamko == tamam shahar mein aaj mere hi charche hain uski nisbat ne ek fasana bana diya hamko.
Radha
Guest

Deccani shayeri

by maverick » Thu Jul 04, 2002 4:00 pm

hey guys this board is cool, i like it, cheers
maverick
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 4:21 pm

Welcome to the club maverick.
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by hina » Fri Jul 05, 2002 2:00 pm

Kaan to bi chup gaye hamaray luckhnowi bhai, darr gaye shaid hyderabadiyon say, aur yeh kulcha bhai bhi bhoth dino say ghayeb hain, kaisi hai ki kyaa hai ki unki tabiyath, flu hai bolay thay, qareeb hoti to soup-woop bana kay deti thi, bhabi bana rain ki nai ki, qair fikr to hai magar unkay saath saalay hain bhaii teemardari karraich hoongay!
hina
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 2:21 pm

Kya baat hey aaj koyee nazar nahee aaraha hey.
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 4:10 pm

Kay bat hey jesey hee fullhydteam ney Login ID aur password pucha sab ghayeb hogaye.
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Bhaimiya » Sat Jul 06, 2002 4:21 pm

Sachaeeyon ney kesa huliya bana liya, Cheron pey apney jhoot ka chehra laga liya, Dhuree hoyee kamar to nigahien bhi bujh gayee, Hans kar diye ney bojh hawa ka uthaa liya
Bhaimiya
Guest

Deccani shayeri

by Shahed » Sat Jul 06, 2002 4:49 pm

Aa gaya bola ABBU SHER maidaan mein - YAALI DOOLA ...., ab bolo kya boltain aap. Kisku Khaaau Bolo.
Shahed
Guest

PreviousNext

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 5 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad biryani khaani ho toh hyderabad jaana hai
khan saab hyderabadi mazahiya show
Gandhiji konsa Sanam Re
sanam re love sairai
kirak hyderabadi imran hair style
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.