by Bhaimiya » Sat Aug 10, 2002 11:03 pm
Hey baja halkey zawaj mein mashoor hoon, Tera bera, tera dhobi tera mazdoor hoon mein, Zan mureedee ka sharf pa key bhi ranjoor hoon mein, Khisaa dard sunatoon hoon key majboor hoon mein, Meree makahdama merey gham ki hikayat sun ley, Naz bardaar sey thodi ses shiyakat sun ley, Zaccha ban ban key budjet mera ghataya toh ney, Har naye saal naaya gul hey khilaya toh ney, Apna showroom merey ghar ko banaya toh ney, Jismein har rang ka model sajaya toney, Ghora bhi hey - kaala bhi - kaana bhi hey kaanee bhi, Is mein enlgish bhi hey deysee bhi hey japani bhi hey, Rishtedaaron ney terey jaan meree khayee hey, Foj ki foj mere ghar mein jo dar aaye hey, Koyee mamu - koyee khalu hey koyee bhai hey, Baat kheney ki nahee to bhi to harjayee hey, Kesey ghurbat mein mein paloon terey ghamkharon ko, In mahmoolon ko shabaloo key chadee maroon mein, Kis khadar tujh pey ghiraan subah ki beydaari hey, Ut key chuley ki taraf jana tujhey bharee hey, Mujh sey kab piyaar hey - neend tuhey piyaari hey, Toh hi khey dey yahi inaam wafadari hey, Mein shauhar hoon key khud aag jalayee jis ney, Lakey bistar pey tujhey chai pilayee jis ney, Toh hi keh dey key teraa husn nikhara kis ney, Is blackout sey mukhdey ko sanwara kisney, Kon terey liye darzee sey gharara laya, Wastey dey key gharebee ka khudara laya, Phir bhi mujh sey yeh ghila hey key kamata kham hoon, Ley key shopping keyliye tujh ko mein jaata kam hoon, Nawajawani mein tujhey aaesh kharata kam hoon, Aur palaza mein tujhey film dikhata kham hoon, Kash notton sey hukamat meree jabein bhar dey, Mushkil shohar mazloom ki aasaan kardey, Mahfil shar wa sukhn mein to chamak jata hoon, Teree sarkaar mein pahonch to dubak jaata hoon, Toh jo balgam bhi khankarey to thitak jaata hoon, Ghoor kar dekhey toh pihchey ko sarak jaata hoon, Phr bhi mujh sey yeh ghila hey key wafaadaar nahi, Toh hey bey kaar terey paas koyee car nahi